Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

*Best Friend Ka Intikhaab *

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #46
    Re: *Best Friend Ka Intikhaab *

    Shanafridi Sahab!! Collection Pasand Karne ka bohoot Bohoot Shoukiya
    Main Shayer nahi hoon...... mujhe Shayere Bohoot Pasand hai............
    Umeed hai app ko sawal ka jawab mil gaya ho ga.............................

    Aye Dost Tu Bhi Likha Kar Shayari,
    Meri Tarahn Tera Bhi Naam Ho Jaaye Ga,
    Log Phekenge Anday Aut Tamatar,
    To Raat Ki Sabzi Ka Intezaam Ho Jaaye Ga
    Attached Files

    Comment


    • #47
      Re: *Best Friend Ka Intikhaab *

      :tasali:
      Attached Files

      Comment


      • #48
        Re: *Best Friend Ka Intikhaab *


        MAIN MOUM HOON


        Aankhoon main raha dil main uter kar nahi dekha
        Kashti kay musafer nay sumander nahi dekha

        Bay waqt ager jaon ga sub chonk paray **
        Ak umer hoe din main kabhi ghar nahi dekha

        Jis din say chala hoon meri manzel pey nazer hay
        Aankhoon nay kabhi mail ka pather nahi dekha

        Yah phool mujhay warasat main melay hain
        tum nay mera kantoon bhara bister nahi dekha

        Mahboob ka ghar ho ya buzurgoon ke zameen
        Jo choor dia pher usay mur kar nahi dekha

        Khat easa likha hay kah nageenay say juray hay
        In hatoon nay lakin koe zever nahi dekha

        Pather mujhay kahta hay mera chahanay wala
        Main moum hoon us nay mujhay choo kar nahi dekha

        Wo meray masaael ko samaj hi nahi sakta
        Jis nay meri aankhoon main sumander nahi dekha

        Comment


        • #49
          Re: *Best Friend Ka Intikhaab *

          hmmm...
          itni mazar mazay ki poetry kisi zamaanay mien hamaray baray bhai hamien sunaya karty thay.....
          khayr .... ab woh baray ho gay hien

          Comment


          • #50
            Re: *Best Friend Ka Intikhaab *

            Pather mujhay kahta hay mera chahanay wala
            Main moum hoon us nay mujhay choo kar nahi dekha
            Wo meray masaael ko samaj hi nahi sakta

            Jis nay meri aankhoon main sumander nahi dekha

            boht khoobsoorat ghazal hay:thmbup:

            Comment


            • #51
              Re: *Best Friend Ka Intikhaab *

              Gazal Pasand Karne ka Shoukriya, Sumera App Ka

              KHAK RAKH DEIN GEIN HATAILEE PEY ZAMANAY WALEY
              TUM MOHABBAT K LIYE HATH BARDHA KER DEKHO
              CHOUT LAG JAYE TO KIYA HOTE HAY DIL KI HALAT
              EK SHEESHEY KO PATTHER PEY GEERA KER DEKHO

              Comment


              • #52
                Re: *Best Friend Ka Intikhaab *

                Originally posted by best friend View Post


                Ye Gazal Mujhe Bohoot Pasand Hai,, Umeed Hai App Saab ko Bhi Pasand Aye Ge



                Usey Apni Farda Ki Fikar Thi, Woh Jo Mera Waqif-e-hal Tha,
                Woh Jo Us Ki Subh-e Urooj Thi, Woh Hi Mera Waqt-e-zawal Tha.

                Kahan Jao Gay Mujhay Chor Kay, Ye Mein Pooch Pooch Kay Thak Gaya,
                Woh Jawab Na Mujh ko Dey Saka, Woh To Khud Sarapa Sawal Tha.

                Meri Baat Kaisay Woh Manta, Meray Dard Ko Woh Kaisay Janta,
                Woh To Khud Fana Kay Safar Mein Tha, Usey Rokna Bhi Mahal Tha.

                Woh Jo Us Kay Samnay Aa Gaya, Woh Hi Roshni Mein Naha Gaya,
                Ajab Us Ki Hayat-e-ishq Thi, Aajab Us Ka Rang-e- Jamal Tha.

                Damay Wapsi Aray Kia Howa, Na Woh Roshni Na Woh Tazgi,
                Woh Sitara Kaisay Bikhar Gaya, Woh To Aap Apni Misal Tha.

                Woh Mila To Sadyoon Kay Baad Bhi, Meray Lub Pay Koi Gila Na Tha,
                Usay Meri Chup Nay Rula Diya, Jisay Guftago Mein Kamal Tha

                Meray Saath Lag Kay Woh Ro Diya, Mujhay Bus woh Itna Hi Keh Saka,

                Jisay Janta Tha Mein Zindagi, Woh Mehaz Wahm-o-khiyal Tha.



                very nice:thmbup:

                Comment


                • #53
                  Re: *Best Friend Ka Intikhaab *

                  bohat khoob...:)

                  nice choice...

                  Comment


                  • #54
                    Re: *Best Friend Ka Intikhaab *

                    I See U App ka Shoukriya


                    Mujh ko ik hamdam mila tha,ik safar ki raat main
                    Main bohat baykhud hoa tha,ik safar ki raat main

                    jany kis ki yaad thi k ik manzar dekh kar
                    toot kar main roo para tha!ik safar ki raat main

                    Woh k jis sayy umar bhar ki Doryian mansoob hain
                    Mery seenay sy laga tha ik safar ki raat main

                    Har taraf phaily hoye thy yaad-e-gham k silsilay
                    Kitna mushkil raasta tha, ik safar ki raat main

                    ghar sy bahar paon rakhty hi Laraz uth-ta hai Dil
                    Hadsa aisa hoa tha Ik safar ki raat main

                    Aaj bhi Gungunata hon usy tanhai main
                    Geet jo humny suna tha Ik safar ki raat main

                    Comment


                    • #55
                      Re: *Best Friend Ka Intikhaab *

                      Miss Sng , Thanks



                      تھی جس سے روشنی وہ دیا بھی نہیں رہا
                      اب دل کو اعتبارِ ہوا بھی نہیں رہا
                      تُو بجھ گیا تو ہم بھی فروزاں نہ رہ سکے
                      تُو کھو گیا تو اپنا پتا بھی نہیں رہا
                      کچھ ہم بھی تیرے بعد زمانے سے کٹ گئے
                      کچھ ربط و ضبط بھی خدا سے نہیں رہا
                      گویا ہمارے حق میں ستم در ستم ہوا
                      حرفِ دُعا بھی ، دستِ دُعا بھی نہیں رہا

                      Comment


                      • #56
                        Re: *Best Friend Ka Intikhaab *

                        Originally posted by best friend View Post
                        I See U App ka Shoukriya


                        Mujh ko ik hamdam mila tha,ik safar ki raat main
                        Main bohat baykhud hoa tha,ik safar ki raat main

                        jany kis ki yaad thi k ik manzar dekh kar
                        toot kar main roo para tha!ik safar ki raat main

                        Woh k jis sayy umar bhar ki Doryian mansoob hain
                        Mery seenay sy laga tha ik safar ki raat main

                        Har taraf phaily hoye thy yaad-e-gham k silsilay
                        Kitna mushkil raasta tha, ik safar ki raat main

                        ghar sy bahar paon rakhty hi Laraz uth-ta hai Dil
                        Hadsa aisa hoa tha Ik safar ki raat main

                        Aaj bhi Gungunata hon usy tanhai main

                        Geet jo humny suna tha Ik safar ki raat main
                        ik safar ki raat mien
                        good one:thmbup:

                        Comment


                        • #57
                          Re: *Best Friend Ka Intikhaab *

                          Bohoot Shuokriya...

                          Yeh Bhi Theek Hai K Woh Chala Gaya Mujhay Band Raastay Par Chor Kar
                          Yeh Bhi Theek Hai K Na Aaye Ga Woh Kabhi Buut Ana Ka Tor Kar
                          Woh Juda Bhi Kaisay Huwa, Main Koi Rasm Bhi Na Nibha Saka
                          Woh Hansi Hansi Mein Hi Chala Gaya Mein Hath Tak Na Hila Saka

                          Comment


                          • #58
                            Re: *Best Friend Ka Intikhaab *

                            :tasali:

                            Naama-e-barr apna hawaon ko banane wale
                            Ab na aayen ge palat kar kabhi jane wale

                            Kia mile ga tujhe bikhre hoye khawabon ke siwa
                            Rait pe chaand ki tasweer banane wale

                            Sab ne pehna hai bare shoq se kaghaz ka libaas
                            Jis qadar log they barish mein nahane wale

                            Marr gaye hum tu ye kutbey pe likha jaye ga
                            So gaye aap zamane ko jagane wale

                            Dar-o-deewar pe hasrat si barasti hai Qateel
                            Jaane kis Des gaye piar nibhane wale

                            Comment


                            • #59
                              Re: *Best Friend Ka Intikhaab *

                              :khi:

                              Saawan ka mausam tha,
                              Poonam ki raat thi,
                              Mein uske paas tha,
                              Woh mere karib thi

                              phir woh mere paas aayi,
                              Aur thodi si ghabraayi,
                              Jab meine uska haath pakara,
                              To woh thori si sharmaayi

                              Usne kaha aaj hum
                              Aise bandhan me bandh jaaye,
                              Jise duniya ki,
                              Koi taakat na tor paaye,

                              Meri khushi ka andaaza,
                              Lagana mushkil tha,
                              Par iske aage jo hua,
                              Woh batana bhi mushkil hai

                              Usne mera haath,
                              Haatho me lekar kaha,
                              Yeh to janam janmo,
                              Ka bandhan hai

                              Phir mujhe yaad aaya,
                              Woh Saawan ka mausam,
                              Woh poonam ki raat,
                              Yeh to Raksha Bandhan hai!
                              Last edited by best friend; 20 April 2007, 20:35.

                              Comment


                              • #60
                                Re: *Best Friend Ka Intikhaab *

                                wah bohat khoob bohat umda

                                Comment

                                Working...
                                X