Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

*Best Friend Ka Intikhaab *

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: *Best Friend Ka Intikhaab *

    dard ki barish sahi maddham zara ahista chal
    dil ki miti hai abi tak num zara ahista chal!

    tere milney aur phir bichar janey ke beech
    fasla ruswai ka hai kum zara ahista chal

    apney dil hi mein nhin hai us ki mehrumi ki yaad
    uss ki ankhoon mien be hai shabnam zara ahista chal

    koi be ho humsafar na ho khush iss qadar
    ab ke logoon mein wafa hai kum zara ahista chal

    Comment


    • #32
      Re: *Best Friend Ka Intikhaab *


      Dukh dard ke maaron se mera zikar na kerna
      ghar jao to yaaron se mera zikar na kerna

      woh zabt na ker payenge aankhon ke samandar
      tum raah guzaron se mera zikar na kerna

      phoolon ke nasheman mein raha hoon mein sada se
      dekho kabhi khaaron se mera zikar na kerna

      shayad ye andhere hi mujhe raah dikhayein
      ab chaand sitaron se mera zikar na kerna

      woh meri kahani ko galat rang na de dein
      afsana nigaaron se mera zikar na kerna

      shayad woh mere haal pe besakhta rodein
      is baar baharon se mera zikar na kerna

      le jayenge gehrayi mein tum ko bhi baha ker
      darya ke kinaron se mera zikar na kerna

      woh shakhs mile to usey har baat batana
      tum sirf isharon se mera zikar na kerna

      Comment


      • #33
        Re: *Best Friend Ka Intikhaab *

        :welcome:
        yeh yaad to ik azab hai,magr pyar be hisaab hai
        in jazboon kia hisaab kia,,yeh zindagi ki kitaab hai

        yeh jo zindagi ki kitab hai,,,yahan hadsaa hi nisaab hai
        yeh jo wakea jis main hum mille...inhein hadsoon ka jawab hai

        is dil k khana-e-naaz main,,hain kaye aayene jure hooe
        kahin us main khud apna aaks..kahin chehra woh benaqab hai

        us ki yaad hai agar azabto,,sakoon-e-jaan hai us ka nam
        jo saheefa-e-dil palat bhi lein to usi ka nam hai her baab

        yeh dhund si q chane lagi..jo sitare chamke aayoon main
        jab aashk hi zabt ho gaye ,,to roooh main kaisa selab hai

        :tauba

        Comment


        • #34
          Re: *Best Friend Ka Intikhaab *

          Originally posted by best friend View Post

          Us AIk Fard Key Wastey Merey Dil Main Dard Hey Kis Liyey
          Meri ZIndagi Ka Mutalba Wohi Aik Shakhs Hey Kis Liyey
          Meri Qismat Ka Likha Kahin Tu Ney Perh Tu Nahi Liya
          Terey Hath Sard Hain Kis Liyey, Tera Rang Zard Hey Kis Liyey
          nice collection...Best friend:thmbup:

          Comment


          • #35
            Re: *Best Friend Ka Intikhaab *

            Collection Pasand karne ka Shoukriya


            Comment


            • #36
              Re: *Best Friend Ka Intikhaab *

              Originally posted by best friend View Post
              Collection Pasand karne ka Shoukriya


              :lol :lol :lol hahaha...boht zabardast....daykhiay hum to itna hansay k hamaaray daant bhi gir gay...:hehe: :hehe:

              Comment


              • #37
                Re: *Best Friend Ka Intikhaab *

                Ye Gazal Mujhe Bohoot Pasand Hai,, Umeed Hai App Saab ko Bhi Pasand Aye Ge




                Usey Apni Farda Ki Fikar Thi, Woh Jo Mera Waqif-e-hal Tha,
                Woh Jo Us Ki Subh-e Urooj Thi, Woh Hi Mera Waqt-e-zawal Tha.

                Kahan Jao Gay Mujhay Chor Kay, Ye Mein Pooch Pooch Kay Thak Gaya,
                Woh Jawab Na Mujh ko Dey Saka, Woh To Khud Sarapa Sawal Tha.

                Meri Baat Kaisay Woh Manta, Meray Dard Ko Woh Kaisay Janta,
                Woh To Khud Fana Kay Safar Mein Tha, Usey Rokna Bhi Mahal Tha.

                Woh Jo Us Kay Samnay Aa Gaya, Woh Hi Roshni Mein Naha Gaya,
                Ajab Us Ki Hayat-e-ishq Thi, Aajab Us Ka Rang-e- Jamal Tha.

                Damay Wapsi Aray Kia Howa, Na Woh Roshni Na Woh Tazgi,
                Woh Sitara Kaisay Bikhar Gaya, Woh To Aap Apni Misal Tha.

                Woh Mila To Sadyoon Kay Baad Bhi, Meray Lub Pay Koi Gila Na Tha,
                Usay Meri Chup Nay Rula Diya, Jisay Guftago Mein Kamal Tha

                Meray Saath Lag Kay Woh Ro Diya, Mujhay Bus woh Itna Hi Keh Saka,
                Jisay Janta Tha Mein Zindagi, Woh Mehaz Wahm-o-khiyal Tha.
                Attached Files

                Comment


                • #38
                  Re: *Best Friend Ka Intikhaab *

                  Originally posted by best friend View Post

                  Meray Saath Lag Kay Woh Ro Diya, Mujhay Bus woh Itna Hi Keh Saka,
                  Jisay Janta Tha Mein Zindagi, Woh Mehaz Wahm-o-khiyal Tha.

                  boht heee khoobsoorat Ghazal hay.....Dil ko chhu laynay waali

                  Comment


                  • #39
                    Re: *Best Friend Ka Intikhaab *

                    Sumera Gazal Pasand karne ka Shoukriya


                    moosam moosam aankhoon ko ik sapna yaad raha,,,,
                    sadyaan jis main simat gayein woh lamha yaad raha,,,
                    qoose qaza k saat rang the us k chehre per,,,,
                    sari mehfil bhool gaya,,,bas ik chehra yaad raha

                    Comment


                    • #40
                      Re: *Best Friend Ka Intikhaab *

                      Usey Apni Farda Ki Fikar Thi, Woh Jo Mera Waqif-e-hal Tha,
                      Woh Jo Us Ki Subh-e Urooj Thi, Woh Hi Mera Waqt-e-zawal Tha.

                      Kahan Jao Gay Mujhay Chor Kay, Ye Mein Pooch Pooch Kay Thak Gaya,
                      Woh Jawab Na Mujh ko Dey Saka, Woh To Khud Sarapa Sawal Tha.

                      Meri Baat Kaisay Woh Manta, Meray Dard Ko Woh Kaisay Janta,
                      Woh To Khud Fana Kay Safar Mein Tha, Usey Rokna Bhi Mahal Tha.

                      Woh Jo Us Kay Samnay Aa Gaya, Woh Hi Roshni Mein Naha Gaya,
                      Ajab Us Ki Hayat-e-ishq Thi, Aajab Us Ka Rang-e- Jamal Tha.

                      Damay Wapsi Aray Kia Howa, Na Woh Roshni Na Woh Tazgi,
                      Woh Sitara Kaisay Bikhar Gaya, Woh To Aap Apni Misal Tha.

                      Woh Mila To Sadyoon Kay Baad Bhi, Meray Lub Pay Koi Gila Na Tha,
                      Usay Meri Chup Nay Rula Diya, Jisay Guftago Mein Kamal Tha

                      Meray Saath Lag Kay Woh Ro Diya, Mujhay Bus woh Itna Hi Keh Saka,
                      Jisay Janta Tha Mein Zindagi, Woh Mehaz Wahm-o-khiyal Tha.
                      aahaa nice sharing
                      Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                      Comment


                      • #41
                        Re: *Best Friend Ka Intikhaab *

                        Dil_E_Veran App Ka Shoukriya

                        Aik Sawal Zindagi se kiya Karte Hain
                        K Hum is Duniya may kiyon jiya karte hain
                        Jab kisi k liye kisi k pass wakt nahi
                        Toh loog kiyon rishte bana liya karte hain

                        Comment


                        • #42
                          Re: *Best Friend Ka Intikhaab *

                          main lafzon mai kuch bhi izhar nahi karti,
                          iska matlab ye nahi k main tujhe pyar nahi karti ....

                          chahti hoon main tujhe aaj bhi par,
                          teri soch mei apna waqt bekar nahi karti...

                          tamasha naa ban jaaye kahin mohabbat meri .....
                          isi liye apne dard ko namoodaar nahi karti....

                          jo kuch mila hai usi mei khush hoon main....
                          tere liye khuda se taqraar nahi karti ....

                          par kuch tou baat hai teri fitrat mein zalim...
                          warna Mein tujhe chahne ki khtaa bar bar nahi karti....:tasali:

                          Comment


                          • #43
                            Re: *Best Friend Ka Intikhaab *

                            :clap:
                            Attached Files

                            Comment


                            • #44
                              Re: *Best Friend Ka Intikhaab *

                              outstanding hai ,waise BEST FRIEND kia ye app ki apni shayri hai?agr hai tu very nice hai,haqeeqat me very nice hai,i love it,keep it up, batana zaroor/

                              Comment


                              • #45
                                Re: *Best Friend Ka Intikhaab *

                                very nice BEST FRIEND,collection bohot achee hai,apni hai yaa nahi pl z batana zaror/

                                Comment

                                Working...
                                X