Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

S. Faryal. Naz Ka Intikhaab

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Muhabbat ki ranginian chor aaye

    Muhabbat ki ranginian chor aaye
    Tere shaher mein ik jahaan chor aaye

    Bohat meharbaan thein wo gul posh raahein
    Magar hum onhein maharbaan chor aaye


    Ye ijaaz hay husnain awargi ka
    Jahaan bhi gaye dastaan chor aaye


    Bohat milay thay hum safar rastay mein
    Nahi yaad kis ko kahaan chor aaye


    Jis nay chora tha humko beech manjdhar
    osay hum khooshion k haan chor aaye

    Comment


    • #17
      Re: Muhabbat ki ranginian chor aaye

      Lafzon ki justuju mai sub kuch ganwa dia,
      Woh chal dia main tarz-e-ada dhundta raha,
      Us ko kisi ne rab se mang lia aur main,
      Sajdey mai gir k harf-e-dua dhundta raha

      Comment


      • #18
        Re: Tum ne kia nahi dia

        Tujhe dekhe bina teri tasveer bana sakta hoon
        Tujhe jane bina tera haal bata sakta hoon
        Hey meri mohabbat main itna dam
        Apni ankh ka ansoo teri aankh se gira sakta hoon...
        :rose

        Comment


        • #19
          Re: Kia Kabhi Dekha Hai Tum Ne

          koun kehta hai k tumse hamari judae hogi!
          yeh afwah zaror kisi dushman nay urae hogi!
          shan se rahaingay tumhare dil main HUM!
          itnay dino main kuchh to jaga banae hogi
          :rose

          Comment

          Working...
          X