Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

PinkRoseJust4U ka Intikhaab

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab

    AA
    good vary good
    mohsin rehman

    Comment


    • Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab

      Main Diya Hoon Toote Mazaar Ka
      Sar-e-shaam Kiss Ne Jala Diya

      Teri Berukhi Adaoon Ne
      Mujhe Zarra Zarra Bana Diya

      Naye Manzalon Par Pohanch Kar Bhi
      Yahi Sochta Hoon Ke kis Tarah

      Kin Rastoon Pe Mile Thay
      Kin Raston Ne Bichaar Diya

      Yeh To Apna Apna Naseeb Hai
      Koi Mil Sake Ya Na Mil Sake

      Na Ho Gham Zada Dil-e-Maharbaan
      Phir Kya Howa Jo Bula Diya

      Mera Hum Safar Zara Soch Ley
      Teri Ratoon Ka Khalus Honn
      Tere Samne Jo Bicha Diya

      Rahey Umar Bhar Jisey Dondatey
      Who Mila To Usse Ghawa Diya

      Comment


      • Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab

        wow really nice sharing
        "Do Not Wish For Less Problems, Always Wish For More Skills"

        Comment


        • Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab

          Meri Dharkan Se Dil Ka Dharkna Mangoge
          Ek Din Tum Mujhse Mera Pyaar Udhar Mangoge

          Main Voh Phool Hoon Jo Tere Chaman Se Na Niklega
          Apni Veeran Zindagi Ke Liye Bahar Mangoge

          Farsh Ta Arsh Ajal Aur Abad Sab Dekhenge Manzar
          Beete Huei Har Lamho Ka Tum Azaab Mangoge

          Abhi Dekha Hi Kahan Hai Tumne Meri Muhbbat Ka Asar
          Tum Mujhe Ulfat Main Apni Shamo-o- Sahar Mangoge

          Behtar Hai Waqt Se Samjhuta Kar Lo
          Guzre Waqt Se Phir Kaisay Apna Hisab Mangoge


          Comment


          • Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab

            Originally posted by Aarzo View Post
            wow really nice sharing
            Thnx Arzoo
            wel eik baat poochun ap ho kis ki arzoo :p

            Comment


            • Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab


              dilnashiN zindgi Dilrubaa zindgi
              Bemurawat badi bewafa zindgi

              maine socha bahut phr bhi samjha nahi
              maut se ye tera silsila zindgi

              nafrateN dushmani sarhadeN dooriyaaN
              aisi baatoN meiN rakha hai kya zindgi

              haath tera jo choota to sab chut gya
              mujh se cheenegi ab aur kya zindgi

              gham hi jin ka muqddar hai un ke liye
              maut se bhi badi bad dua zindgi

              ya kahiN to hai khushiyoN ki barsaat si
              hai kahiN dard ki intiha zindgi

              Comment


              • Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab


                Dosti ko maat mat kar dosti k naam par,
                Is tarah ki baat mat kar dosti k naam par

                gar bharosa uth aya hai haath mera chhod de
                talkh yooN jazbaat mat kar dosti k naam par

                mujh pe pehle hi zamaane bhar k haiN ehsaaN bahut
                aur ehsaanaat mat kar dosti k naam par

                dosti se hi yakiN apna na uth jaye kahiN
                paida woh haalaat mat kar dosti k naam par

                mujhse koi baat kar khoti khari achhi buri
                haaN magar kuchh baat mat kar dosti k naam par

                dosti ehsaas hai ehsaas rehne de usey
                behas yooN din raat mat kar dosti k naam par

                Comment


                • Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab

                  jahaan mein nahi ek tu tanhaan, tanhaan aur bhi hain,
                  abhi manzilein aur bhi hain, kaarwaan aur bhi hain.

                  jo rah-e-ishq mein saath chalne ki Qasam khayi hai,
                  abhi mushkilein aur bhi hain, kehkashaan aur bhi hain.

                  sukoot-e-raah karti hai har pal ka tazkirah,
                  abhi istefsaar aur bhi hain, khamoshiyaan aur bhi hain.

                  ae dil na ghabra jahaan mein hujuum-e-tanhayee se,
                  abhi dasht aur bhi hain, viraniyaan aur bhi hain.

                  bayan-e-raqeeb ka zara bhi aitbaar na karna,
                  abhi afwaahein aur bhi hain, gumaan aur bhi hain.

                  hadd-e-nazar mein nahi manzil to hiraas kya,
                  abhi nawrdee aur bhi hain, awargiyaan aur bhi hain.

                  yun pashemaan na ho, hausalah-e-dil banaye rakho,
                  abhi gilay aur bhi hain, rusvaaiyaan aur bhi hain.

                  hosh ka vasta de k meh (Sharab) se mahroom kiya saaki ne,
                  abhi mehkada aur bhi hain, sagar-o-meena aur bhi hain.

                  dil-e-maftoon ko saja-e-maut ka ranj nahi koi,
                  abhi hukm aur bhi hain, farmaan aur bhi hain.

                  maut ko muqaabil dekh kr yun khush na ho "Asim",
                  abhi gardish-e-dauraan aur bhi hain, tufaan aur bhi hain.

                  Comment


                  • Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab

                    Sakoot-e-jaan ka matlab batado phir chalay jana
                    Ya phir sargoshian dil ki suna do phir chalay jana

                    Jo mera aur tumhara waqt guzra hansnay ronay mai
                    Usay puri tarha se tum bhulado phir chalay jana

                    Ye saray pair poday tum bin kai raat jagay hai
                    Tum aakay ek baar inko sulado phir chalay jana

                    Kisi ko chahne ka aur kisi se chahay janay ka
                    Jo hai ahsaas tum usko bhulado phir chalay jana

                    Bus ik murda hansi se apnay ashko ko chupanay ka
                    Jo fun aata hai tum ko, wo sikhado phir chalay jana

                    Wo jo ik lafz-e-ulfat hai, juda hai apnay maani se
                    Bus in alfaz-o-mani ko milado phir chalay jana

                    Jo kehte kahte ruk gaye, un sari bato ki
                    Sama'at ko talab hai wo suna do phir chalay jana

                    Na janay q hai lakin dekhne ki tum ko aadat hai
                    Meri ye be-waja aadat chura do phir chalay jana

                    Merey in roz-o-shab ka ek fakat unwan bus tum ho
                    Mujhe tum doosra unwan lado phir chalay jana

                    Pyar ki koshish, ay KHUDA, na jaye raigan
                    Mujhe is sabr ka kuch phal dila do phir chalay jana..

                    Comment


                    • Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab

                      zGham ko chupaanay ki aadat si hai mujhe...!

                      Khud ko sataane ki aadat si hai mujhe...!


                      Jaan le na koi haal-e-dil is dar se...!

                      Bewajha muskurane ki aadat si hai mujhe...!


                      Youn to tere dar se namuraad lauta hoon...!

                      Qismat ko aazmaane ki aadat si hai mujhe...!


                      Mein jantaa hoon ke too laut kar na ayegaa...!

                      Dil ko behlaane ki aadat si hai mujhe...!


                      Chaand gham na kar mein bhi tera saathi hoon...!

                      Ke ratjagae manane ki aadat si hai mujhe...!


                      kabhi to woh bhi sochain ge acha nahi hua...!

                      Khush fehmian jagane ki aadat si hai mujhe...

                      Comment


                      • Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab

                        NICE SHARING PINK ROSE JUST 4 U.


                        _________________

                        Main jis ki Ankh ka AANSOO tha usne Qadar na ki
                        Bichkar gya to ab reait se uthaye mujhe ,

                        Comment


                        • Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab

                          Phir Kisi Yaad Ne Shab Bhar Hai Jagaya Mujh Ko
                          Kiya Saza Di Hai Mohabat Ne Khudaya Mujh Ko

                          Din Ko Aaram Hai Na Raat Ko Hai Chain Kabhi
                          Jaane Kis Khaak Say Qudrat Ne Banaya Mujh Ko

                          Dukh Toh Ye Hai Ke Zamaney Mein Miley Gair Sabhi
                          Jo Mila Hai Wo Mila Ban Ke Paraya Mujh Ko

                          Jab Koi Bhi Na Raha Kandha Maire Roney Ko
                          Ghar Ki Deewaron Ne Seenay Say Lagaya Mujh Ko

                          Yoon To Umeed-e-Wafa Tum Say Nahin Hai Koi
                          Phir Charaghon Ki Tarah Kis Ne Jalaya Mujh Ko

                          Bewafa Zindagi Ne Jab Chor Diya Hai Tanha
                          Mot Ne Piyar Say Pehloo Mein Bithaya Mujh Ko

                          Wo Diya Hoon Jo Mohabat Ne Jalaya Tha Kabhi
                          Gham Ki Aandhi Ne Sar-e-Shaam Bujhaya Mujh Ko

                          Kaisey Bhoolon Ga Woh Wasl Ke Lamhey
                          Yaad Aata Raha Zulfon Ka Hi Saaya Mujh Ko

                          Comment


                          • Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab

                            Asalam'O'Alaikum!!

                            Howz u all??? Well I hv came back........
                            Last edited by pinkrosejust4u; 15 November 2008, 08:47.

                            Comment


                            • Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab

                              Tanha Hoon.......
                              Attached Files

                              Comment


                              • Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab

                                Ussay Kehna....................
                                Attached Files

                                Comment

                                Working...
                                X