Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

PinkRoseJust4U ka Intikhaab

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab

    Masoom Mohabbat ka bas itna sa fasana hai,
    Kagaz ki haveli hai barish ka zamana hai

    Kya shart-e-mohabbat hai kya shart-e zamana hai
    Awaz bhi zakhmi hai aur geet bhi gaana hai

    Uss par utarne ki umeed bahut kamm hai
    Kashti bhi purani hai tufaa ko bhi aana hai

    samjhe ya na samjhe wo yeh andaaz mohabbat k
    Ek shaks ko ankho se ek sher sunana hai

    Bholi si adaa......
    Koi phir ishq ki zid par hai
    Phir aag ka dariya hai aur doob ke jaana hai

    Comment


    • Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab

      raat ki tanhayion main awaz diya karte hai
      chand or sitaron se tumhari baat kiya karte hai

      mujhe nahi pata mere ghar wale kahte hai
      hum neend main bhi tumhara naam liya karte hai ...

      Comment


      • Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab

        Originally posted by pinkrosejust4u View Post
        raat ki tanhayion main awaz diya karte hai

        chand or sitaron se tumhari baat kiya karte hai

        mujhe nahi pata mere ghar wale kahte hai

        hum neend main bhi tumhara naam liya karte hai ...
        bauht khoob :thmbup:

        Comment


        • Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab

          Chorr ke naa jana tum
          K Raasto ko mod ke aaya hun mein!
          Jo Khali raha tere darr pe bhi daman mera..
          Laut bhi naa paunga mein!

          Todi hai kitni bandishen,
          Uthe kitne hi sawaal,
          Phir bhi hun mein tere shehar..
          Bane aur bigre sainkro khayaal..

          Tujhko bhi ab nibhana hai woh waada ,
          k reh na jaye koi malaal .

          Dekh le tuh meri sarfaroshi ko..
          K teri chahat ko bhi azmane aaya hun mein !
          Chorr ke naa jana tum
          K Raasto ko mod ke aaya hun mein!


          Comment


          • Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab

            Wo samne aye to nazron ko jhukaa loon gaa
            Dekhoon gaa nahi phir bhi tasweer bana loon gaa

            Aana ho to aa jao ruswayee nahi ho gee
            Dekhe ga nahi koi palkon main chupa loon gaa

            Jo ham per guzarni hai ik bar guzar jaye
            Her gham ki tarha tujh ko seene se laga loon gaa

            Weeran agar dil ho ankhon main andhera ho
            Yaadon ke diye apni palkon main saja loon gaa

            Manzoor agar ho gee ruswayee teree mujh ko
            Main beth ke sahil se toofaan utha loon gaa

            Naraaz agar wo hain mere nasheman se,
            Main apnay nasheman ke tinkon ko hata loon gaa

            Kyon mujh se khafa ho ker wo door gaye
            Baanhon main wo aa jayain main un ko mana loon gaa

            Comment


            • Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab

              Dil se chaha hai tujhey
              haath uthaye jab bhi dua ke liye
              dil se manga hai tujhey
              paas ho ya na ho
              tera ehsas meri har simt
              aaj bhi zinda hai
              dil se chaha hai hai
              dil se manga hai tujhey

              Comment


              • Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab

                aik din jab ho mumkin

                ye fasley mit jayen ge

                tum aa jana!

                aik pal jab aankhon se

                chalkein aansoo aur

                honton pe kaamp jaaye duaa

                tum aa jana!

                kertey kertey intezaar

                jab raahen thak si janey lagen

                aur barrhtey andherey

                umeed ki kirnen bujhaney lagen

                tum aa jana

                jab bulbul geet sunaney lagey

                hathon mein choori khankney lagey

                tum aa jana

                band hoti in aankhon se jab

                saarey sapney tootney lagen

                tum aa jana

                lehrati hawa

                jab jhoomney lagey

                khushi se lab muskaney lagen

                aur aahat ho

                tum aa jana

                ujli subh ki kirnon ke

                baghon mein kaliyon ke

                khilney se pehley

                tum aa jana

                namumkin to nahen

                ye fasley mit jayen ge

                dekh lo

                tum aa jana!!!!!!

                Comment


                • Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab

                  ey dost aa bhi jaa ke tera intezaar haiy !
                  khamosh hooN magar mera dil beqaraar haiy !
                  aankheiN beechi huviN haiN tere intezaar me
                  aur ab bhi be-panaah mujhe tujh se pyaar haiy
                  har-dam ke jhoote vaadoN se ye dil figaar haiy
                  jisko madaam tujh se shiqayat hazar haiy !
                  sir-kham kiya haiy tere sabhi faisloN pe aaj
                  lekin ajeeb si teri yeh rah-guzaar haiy !
                  mausam ke saath saath hi rishte badal gaye
                  aane lagin vafaaoN me keysi daraar haiy ?
                  tanha hi tey karenge safar zindaghi ka ab
                  veeran raastoN meN ye dil sau-gavaar haiy!
                  aati haiN ye sadaayeN mere dil se baar baar
                  Ey dost aa bhi jaa ke tera intezaar haiy !

                  Comment


                  • Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab

                    dekha tujh ko to pyaar ki chaahat si ho gai
                    ham ko har lamha khush rehne ki aadat si ho gai

                    pukaara hai tujh ko har maurdh par zindagi ke
                    tujh ko paane ki aarzoo me shiddat si ho gai

                    teri aaankhoon me vo nasha hai ke kya kahoon
                    bin piye behakkk jaane ki aadat si ho gai

                    rehte the har lamha udaas, har pal bechain ham
                    aane se tere hamain musarrat si ho gai

                    teri mann-mohni si soorat, khuda ka karishma hai
                    na dekh paaon gar jisse to qayaamat si ho gai

                    tumhaare pekar ko dekhta hoon chaudvein raatoon mein
                    haseen rukh-e-roshan chaand ki soorat si ho gai

                    soocha na tha kabhi ishq bhi karoon ga ASIM
                    abh mohabbat se mujhe bardi mohabbat si ho gai

                    Comment


                    • Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab

                      Mohabbat main asar hoga to ek din tum ko paalenge
                      Kisi surat se hum bigrri hui Kismat banalenge

                      Sitaron main Phoolon main Chaand main tum mil hi jaoge
                      kahan tak hai mohabbat main haqeeqat aazma lenge

                      Zamaane ko dikha denge ke do DIL kaise milte hain
                      Is duniya main hum tum doosri duniya basalenge

                      Comment


                      • Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab

                        Originally posted by pinkrosejust4u View Post
                        Mohabbat main asar hoga to ek din tum ko paalenge

                        Kisi surat se hum bigrri hui Kismat banalenge

                        Sitaron main Phoolon main Chaand main tum mil hi jaoge
                        kahan tak hai mohabbat main haqeeqat aazma lenge

                        Zamaane ko dikha denge ke do DIL kaise milte hain

                        Is duniya main hum tum doosri duniya basalenge

                        himmat kabhi nahi choorni chahyeaa

                        very nice:thmbup:

                        Comment


                        • Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab

                          teri batien sun ke aa gaya hai humein batein karna
                          warna humein toh jina be na ata tha

                          mohabat ki dastan kya likhtey tujh ko
                          humein toh nazrein milana na ata tha

                          likh diya hai ajj tujeh hum ne paighaam_e_mohabat
                          warna tujh se milne se pehley humein yoon khat likhna na ata tha

                          jub mila tu mujhe toh hi humein hasna aya
                          warna mere laboon ko muskurana be na ata tha

                          azma letey hein hum be ab dost dushmanoon mein
                          waran kissi ke dil mein utarna humein na ata tha!!

                          Comment


                          • Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab

                            Originally posted by pinkrosejust4u View Post

                            zinda rahein to kya hai jo mar jaye ham to kya
                            duniya mein Khamoshi se guzar jaye ham to kya

                            hasti hi apni kya hai zamane ke samne
                            ek Khvab hain jahaa mein bikhar jaye ham to kya

                            ab kaun muntazir hai hamare liye vaha
                            shaam a gai hai laut ke ghar jaye ham to kya

                            dil ki Khalish to sath rahegi tamam umr
                            dariya-e-Gam ke par utar jaye ham to kya
                            buht umda collection hai...
                            For New Designers
                            وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                            Comment


                            • Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab

                              Originally posted by Rida View Post
                              buht umda collection hai...

                              Thnx dear

                              Comment


                              • Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab

                                mein yoon miloon tujh se ke tera libaas bun jaoon
                                tujhe bana ke samundar aur khud payas bun jaoon

                                ajj pehloon mein mujhe toot ke bikhar janey doh
                                kal ko shahid mumkin nhin ke mein tum ko paoon

                                tu bun jaye lehar aur mein sahil bun jaoon
                                ho ishq mera sahil toh mein roz tujh se takraoon

                                mein yoon miloon tujh se ke tera libaas bun jaoon
                                tujhe bana ke samundar aur khud payas bun jaoon!!

                                Comment

                                Working...
                                X