Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

PinkRoseJust4U ka Intikhaab

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #91
    Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab

    wafa k udaas raston pe kon ab chala kare
    jis rah guzar ka raahi ta umar safar te tanha kare

    marna ho jise yahan use zindagi or mila kare
    jise muraad ho yaan jeena pehle wo mara kare

    seerat b ho gar dekhni kisi aayne main apni
    zamaane ki nazron mian khud ko wo dekha kare

    zakhmon ko kured kar hi nikla karti hai raah_e_ sukhan
    sukhanwar hai tu aasoodagi se pare apna rasta kare

    misl_e_khaar gulo main 'Dosh' atki hai azl se jaan
    ek khalash hai jise zindagi koi kehta hai toh kaha kare

    Comment


    • #92
      Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab


      socha na tha aisa bhi mod ayega zindagi main kabhi
      tanha hoon main zindagi ki in kathin rahoon main

      tapti dhoop main nange paaon rait per
      main aur meri perchaye,tishna lab
      chali jaa rahi hain, apni manzil ki talash main

      jis manzil ka pata mujhe hi nahi pata
      sirf ek tujhe paane ki pyaas hai aur ek teri hi aas
      chala jaa raha hoon
      isi aas main..
      haan milenge hum kabhi..
      haan milenge hum kabhi!!

      Comment


      • #93
        Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab


        Ik tere naam se kitni yadain beykal ho jati hain
        Mein rona nhy chahta lekin ankhain jalthal ho jati hain

        Kahan se aayi janey mujh mai itni chahat itni shiddat
        Judai k naam pey meri apni sansain qatal ho jatie hain

        Jo jo sun ker sehtey they aab sab samjh main aata hai
        Bicher ker kissi se kaisey bhala....... umaiden pagal ho jati hain

        Sab darwaze band hue tu dar khula duaoon ka
        Uss k karam se dekha aksar rahain manzil ho jati hain.

        Comment


        • #94
          Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab

          BACHPAN KE DIN KITNAY ACHHAY HOTAY THAY
          JAB TO SIRF KHILONAY TOTA KERTAY THAY

          WOH KHUSHIAN BHI KAISI KHUSHIAN THI
          TITLION K PER NOCH KER UCHALLA KERTE THAY

          APNAY JEL JANAY KA IHSAS TEK NA THA
          AAG K JALTAY SHOLAY PAKRA KERTAY THAY

          PAAON MAR K KHUD BARISH K PANI MAIN
          APNI NAO AAP DABOYA KERTAY THAY

          CHOTAY THEY TO MAKR-O-FREB BHI CHOTAY THAY
          DANA DAAL K CHIRIAN PAKDA KARTAY THAY

          AB TO IK ANSOO BHI RUSWA KER JATA HAY
          BACHPAN MAIN JEE BHER K ROYA KERTAY THAY

          Comment


          • #95
            Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab

            Meri Mohabbat say tu kuch dost bhi jal jatay hain
            Dushmanoo say bhi kuch agay hi, nikal jatay hain

            Ghaer tu Ghaer hain,Ghaeroon say Gilla kia kerna
            Kia kahien Unn ko jo teeer apnoo say chal jatay hain

            Aasteenoo ko bacha kar tu buhat rakhtay hain
            Phir bhi kuch saanp jo Anjanay main pal jatay hain

            Aap iss Shakhs ko Pathar bhi nahi keh saktay
            Garri_e_Ishq say pathar bhi pighal jatay hain

            Apnay haathoon main liey phirti hay Dunia SooRAJ
            Ik hum hain kay CharraGhoon say Behal jatay hain

            Itni jaldi tu badaltay nahi Mossam bhi"Asim"
            Jitni teezi say Yahaan Loog baddal jatay hai

            Comment


            • #96
              Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab

              zindagii ko na banaa lein woh sazaa mere baad
              hausalaa denaa unhein mere Khudaa mere baad

              haath uThate hue un k na koii dekhegaa
              kis k aane kii karenge woh duaa mere baad

              kaun ghuNghaT ko uThayega sitam_gar keh kar
              aur phir kis se karenge woh hayaa mere baad

              phir zamaane mai muhabbat kii na purastish hogii
              royegii siskiyaN le le k vafaa mere baad

              woh jo kehta tha k 'Asim' k liye jiitaa huN
              us kaa kyaa jaaniye kyaa haal hoga mere baad

              Comment


              • #97
                Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab

                Tum nay muj ko pyar se na daikha aik baar
                Mein khara raha niharata raha tumhein
                Tum na sun sakay sada jo mere dil se aa rahi thee
                mein magar pukarata raha tumhein

                Zindagi ki rah mein chura kar haath tum agar
                chalay gaye toh chout kyun lagi mujay
                Rooshni tumharay bhaag mein likhi howi hai
                aur mere bhag mein diye bujay bujay

                Aab yeh soochta hoon dil k aaiynay mai
                Kis liye mein raat utarata raha tumhein
                Tum nay muj ko pyar se na daikha aik baar
                Mein khara raha niharata raha tumhein

                Kia mera naseeb hai k zindagi ki rah mein
                Na tum milay, na ghar milay na raasta
                Aik tumhari justajoo mai bun k reh gaye
                yeh zindagi kisi shikasta dil ki baduwaa

                Tum ko jeetnay k daao dhoondta raha magar
                qadam qadam per haarta raha tumhein
                Tum nay muj ko pyar se na daikha aik baar
                Mein khara raha niharata raha tumhein

                Is qadar milay hein ghum k aab kisi bhi baat pe
                Na dil duhkay na dard ka pata chalay
                Laakh kooshishein karo phir bhi kum na ho sakay
                Do diloon mein ho gaye jo faaslay

                Jaanta tha khawab hai toot jaye ga kisi gharri
                Magar sanwarata raha tumhein
                Tum nay muj ko pyar sai na daikha aik baar
                Mein khara raha niharata raha tumhein

                Comment


                • #98
                  Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab



                  Kal subah yeh zindagi jo na rahi
                  Tamaasha dekheNge apne aur paraaye bhi

                  Vo gair hai to gair ban-na bhi seekh le
                  YaadoN meiN aake baar-baar aazmaaye bhi

                  Kehta hai duniya ko chhoD dega humeiN
                  MuD ke dekhe baar-baar, ghabraaye bhi

                  Comment


                  • #99
                    Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab


                    Aye hawa le chal mujhe unke paas
                    Aye ghata de de mere hatho main unka haath

                    woh ayege leke meri dil ki khoshi ko
                    unse kehna zara woh thaam le meri zindagh ko
                    kerni hai mujhe unse apne dil ki baat
                    Aye hawa le chal mujhe unke paas

                    pyaar unse mein had se zyada karoga
                    woh jahan hoge unse milne pankh lag ke chloga
                    qadm qadm pe donga mein unka saath
                    kerni hai mujhe unse apne dil ki baat

                    unki perchayi banke rhna hai
                    saath unka mujhe bas dena hai
                    woh jahan rahege mein raho ga unke saath
                    dil se rooh se hoge ham pas pas

                    barish ki bondo main chehre ko main chomoga
                    lapti hawao k rokh se unko main cho loga
                    suraj ki kirno se roshni mein doga
                    bas mujhe phaoncha de tu unke pass
                    Aye hawa le chal mujhe unke paas

                    ankho se unki mein taro ko cho loga
                    chanda ki roshni unko mein de donga
                    patto main bikher k qadmo ko cho loga
                    bijli se lipat k baho main bher loga
                    suraj ki pehli kirno ka unko bosaa mein doga
                    aaj bas mein nahi mere ye jazbaat

                    chooke tu ana unhe ye bas batana unhe
                    mere wo dilber hai tu na satana unhe
                    mera paigham dena chooke tu unko phir mujh ko choona
                    aye hawa tu samj jana tu mere dil ki baat
                    woh ho jhaa kahi hai tu mere saath

                    waqt se halaat se raasta doshwaar hai
                    mera jana na hoga tu chali ja woh mera pyaar hai
                    saanso se unki lipat k etna tu kah dena
                    tere bina dil nahi lagta oo mere sajna
                    woh hai sanam mere samjhe ge her ek baat

                    tujhko pata nahi maloom aa de do unka pata
                    ankho main tasweer unke meri hi hogi
                    honto se naam mera dherkan le rahi hogi
                    qadmo ki aahate mujhko hi dhond rahi hogi
                    baho main leke meri yadein ankhein so rahi hogi
                    palko se mohbbat unki tujhe eshara degi
                    lakho main ek hai wo chahat ye nazara degi
                    phir tu khoshi se unke gale lag jana
                    mohbbat hai woh meri tu unko batana
                    hogi kitni haseen woh raat
                    jis rooz karegi tu unse mulaqaat
                    kerna tu unse mere dil ki baat
                    Aye hawa le chal mujhe bhi unke paas

                    Comment


                    • Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab


                      hum har baat jinhe dil ki batate rahe
                      woh chahte the kya hum se chupate rahe

                      Humne bahut koshish ki unhe samajh pane ki
                      woh mere har fasle ko uljhate rahe

                      Humne pyar main unke pana chaha sukun
                      woh har kadam pe humko tadpate rahe

                      Jagah nahi badli unke intazar ki
                      us jagah ab shaks naye aate rahe

                      Us nazar mein kabhi ek jhalak thi hamari
                      yahi sooch kar dil bahlate rahe

                      Jinke dil mein jagah na thi hamare liye
                      hum unki yadoon ko dil se lagate rahe

                      Unhe bhool pane ki ek nakam koshish mein
                      unhe yaad karke unko bhulate rahe

                      Comment


                      • Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab

                        Originally posted by pinkrosejust4u View Post
                        hum har baat jinhe dil ki batate rahe
                        woh chahte the kya hum se chupate rahe

                        Humne bahut koshish ki unhe samajh pane ki
                        woh mere har fasle ko uljhate rahe

                        Humne pyar main unke pana chaha sukun
                        woh har kadam pe humko tadpate rahe

                        Jagah nahi badli unke intazar ki
                        us jagah ab shaks naye aate rahe

                        Us nazar mein kabhi ek jhalak thi hamari
                        yahi sooch kar dil bahlate rahe

                        Jinke dil mein jagah na thi hamare liye
                        hum unki yadoon ko dil se lagate rahe

                        Unhe bhool pane ki ek nakam koshish mein

                        unhe yaad karke unko bhulate rahe

                        nice

                        Comment


                        • Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab



                          unhe mere dil ki awaaz sona de
                          KHUDA mujh ko meri mohbbat dila de
                          main hoo ab akela woh hogai joda kiu
                          mere MALIK mujhe mera pyaar waps dila de
                          unhe mere dil ki awaaz sona de

                          tota mera di kiu mere sanam se
                          meri wafa ki laaj bacha le
                          door mujh se kiu mera pyaar howa hai
                          KHUDA tuhi jane hai ye pyaar hai sacha
                          mere MOLA tu unhe ye bata de
                          main kab tak yunhi rooz rooz maroga
                          bina unke main ab kaise jioga
                          rahem mujh pe ker ALLAH koi raasta dikha de
                          unhe mere dil ki awaaz sona de

                          ye dil ki ghotan meri na ab saho mein
                          hoo bimaar unka unhi se dawa de
                          jo kerte thy pyaar woh kiu aaj dil ko dokhai
                          woh mudat se hamko kiu na mil pai
                          unhe mere paas tu waps la de

                          mere RAB meri mohbbat se tu na joda ker
                          rahem kerne wala hai tu rahem bas dikha de
                          meri khoshi meri zindaghi hai jo
                          un khoshio se mujhko RABBA mila de

                          tujh pe aqida hai tu mera KHUDA hai
                          ye gham k saye ALLAH hata de
                          main kis se kaho jo dard mujhe horaha hai
                          bina unke her aanso mujhe chob raha hai
                          unhe bas KHUDAYA mera bana de

                          tu hai karishme wala tu hai RABUL AALA
                          mujhe ye karishma tu ALLAH dikha de
                          unhe mere dil ki awaaz sona de
                          KHUDA mujhko meri mohbbat dila de

                          Comment


                          • Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab


                            milkar judaa hue to na soyaa karenge ham

                            ek duusare kii yaad mein royaa karenge ham

                            aaNsuu chhalak chhalak ke sataaenge raat bhar

                            motee palk palk mein piroyaa karenge ham

                            jab duuriyon kii aag dilon ko jalaaegii

                            jismon ko chaaNdnii mein bhigoyaa karenge ham

                            gar de gayaa daGhaa hamen tufaan bhii 'Qateel'

                            saahil pe kashtiyon ko Daboyaa karenge ham

                            Comment


                            • Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab


                              zinda rahein to kya hai jo mar jaye ham to kya
                              duniya mein Khamoshi se guzar jaye ham to kya

                              hasti hi apni kya hai zamane ke samne
                              ek Khvab hain jahaa mein bikhar jaye ham to kya

                              ab kaun muntazir hai hamare liye vaha
                              shaam a gai hai laut ke ghar jaye ham to kya

                              dil ki Khalish to sath rahegi tamam umr
                              dariya-e-Gam ke par utar jaye ham to kya

                              Comment


                              • Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab

                                zinda rahein to kya hai jo mar jaye ham to kya
                                duniya mein Khamoshi se guzar jaye ham to kya
                                v nice

                                Comment

                                Working...
                                X