Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

PinkRoseJust4U ka Intikhaab

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab

    Apni to duniya hi doston se hai.....

    Khushi bhi doston se hai

    Gam bhi doston se hai

    Takraar bhi doston se hai

    Pyaar bhi doston se hai

    Roothna bhi doston se hai

    Manana bhi doston se hai

    Baat bhi doston se hai

    Misaal bhi doston se hai

    Nasha bhi doston se hai

    Shaam bhi doston se hai

    Zindagi ki shuruvaat bhi doston se hai

    Zindagi main mulakaat bhi doston se hai

    Mohabbat bhi doston se hai

    Inaayat bhi doston se hai

    Kaam bhi doston se hai

    Naam bhi doston se hai

    Khyal bhi doston se hai

    Armaan bhi doston se hai

    Khwab bhi doston se hai

    Maahol bhi doston se hai

    Yaadein bhi doston se hai

    Mulakaatein bhi doston se hai

    Sapne bhi doston se hain

    Apne bhi doston se hai

    Ya yun kahun yaro

    Apni to duniya hi doston se hai

    Comment


    • Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab

      PinkRoseJust4U
      Attached Files

      Comment


      • Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab

        Muddat se jis k waaste Dil beqarar tha
        Woh lout ker na aya mager Intizar tha

        Jo HUmsafar tha chorr gaya Raah mai mujhe
        Mein phans gaya bhanwar mai woh darya k paar tha

        Manzil kareeb aye toh tum doooor ho gaey
        Itna toh tum batao k ye kaisa piyar tha

        Chilman giradi ye kisne hum dono k dermiyan
        Na woh sakoon se betha na mujh ko qarar tha

        Ye mukhtasar sa haal hai rukhsat k waqt ka
        Ankho mai ansoo aur dil beqaraar tha

        Ye baat umar bhar samjh na paya mein
        Kyun Dil mera sirf ussi ka talabgar tha

        Comment


        • Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab

          Jaise kanch ki chooreyyan haseeen hotee hain

          Khuwaab bhi dil-nashin hotey hain

          Jaise kanch ki chooreyyan kallaeyyoon mein sajti hain

          Khuwaab bhi palkoon mein sajtay hain

          Jaise kanch ki chooreyyan gungunaatti hain

          Khuwaab bhi dharkan ka sur ban jatay hain

          Jaise kanch ki chooreyyan larkeyo ka zaivar hain

          Khuwaab bhi larkeyo ki ankh ka kajal hain

          Magar janaaa'n !!!!!!!!!!!!

          Jaise kanch ki chooreyyan toot jaati hain

          Aur kircheyyan kallaeyyoon mein chubh jati hain

          Khuwaab bhi tu bikhar jate hain

          Aur ansoo ban kar ankh mein utar ate hain
          Dekho tu kanch ki chooreyyan
          aur Khuwaab

          Donoo kitne milte julte hain

          Comment


          • Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab

            Fraz Karo Tum Meri Tarah Mujh ko aise chahte ho
            Jaise Tum ko Mein Chahun
            Farz karo Tum Meri tarah mujh ko apna sab kuch mano
            Jaise Tum ko Mein Manun
            Farz karo Tumhe bin Mere kuch nazer na aey duniya main
            Jaise Meri duniya main srif Tumhara chehra hai
            Farz karo Tum mujhko samjho chara-ger sab zakhmon ka
            Farz karo kuch pas rahe na Tum ko sari rasmon ka
            Farz karo Tum bagi ho jao zaat-paat k bandhan se
            Farz karo Tum kante pao chahat k is gulshan se
            Farz karo Tum kuch na pao apna app luta ker bhe
            Farz karo koi muker hy jaey sachi qasam utha ker bhe
            Farz karo eik lamba sehra paat k manzil jana ho
            Farz karo woh sara rasta bilqul hy anjana ho
            Aur
            Farz karo ye ferzi na ho sachi eik haqeeqat ho
            Tere ishq k har raaste per Janan eik qayamat ho
            Aur suna hai ye Qayamat khoon jiger ka peeti ho
            Tum toh sirf Farz karoge, Mujh per ye sab beeti hai

            Comment


            • Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab

              buhat khoob..............

              Comment


              • Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab

                Dil behal jaey tou loag chor detay hain
                Koi aur mil jaey tou loag chor detay hain

                Chaar din ki chandni ka kya kerna
                Chandni badal jaey tou loag chor detay hain

                Qasmain tou khate hain sada saath dene ki
                Zehan badal jaey tou loag chor detay hain

                Aaj kal k loagon ka kya bharosa
                Mousam badal jaey tou loag cjor detay hain

                Comment


                • Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab

                  Tumhare Saath Guzra Howa Har Ek Lamha
                  Meri Yaadon Main Jab Mujh Ko Sataye Gha Mujhe Tum Yaad Aao Ghe .
                  Kisi Bhi Shaam Ki Tanhayoun Main
                  Koi Pursukon Lamha Jab Aye Gha Mujhe Tum Yaad Aao Ghe .

                  Mujhe Tum Yaad Aao Ghe !


                  Kabhi Hansna Kabhi Rona
                  Kabhi Ghuse Bhari Batain
                  Kabhi Gumsum Buhat Chup Chup Mulakatain
                  Agar Ainda Saalon Main Koi Mousam Kabhi
                  Yeh Rang Dekhae Gha Mujhe Tum Yaad Aao Ghe .

                  Mujhe Tum Yaad Aao Ghe !

                  Main Apne Aap Main Khush To Reh Sakte Hon Buhat ,
                  Lakin Mujhe Ek Baat Ka Dar Hai ..
                  Agar Agey Buhat Agey Khud Ko Mere
                  Nazdeek Koi Laiye Gha Mujhe Tum Yaad Aao Ghe ..

                  Mujhe Tum Yaad Aao Ghe !

                  Duniya Main Aetibar Ke Kabil Koi Nahi
                  Mere Zindagi Ka Ab Tak Haasil Hai Yehi Phir Bhi .
                  Zindagi Ke Kissi Kamzor Lamhe Main Kabhi Koi
                  Agar Dil Main Samaye Gha Mujhe Tum Yaad Aao Ghe .

                  Mujhe Tum Yaad Aao Ghe !

                  Waqt Ke Saath He Rafta Rafta Loog Yaadain
                  Or Buhat Si Dosri Batain Bhool Jate Hai ..
                  Per Yeh Tay Hai Agar Kabhi Koi Mere Dil Se
                  Teri Yaadain Bhulaye Gha Mujhe Tum Yaad Aao Ghe ..

                  Mujhe Tum Yaad Aao Ghe !

                  Main Tum Ko Khud Se Bhi Agar Bholne Ki Jo
                  Koshish Karon gha To Yeh Kabhi Ho Hi Nahi Sakta ..
                  Tumhara Hizer Reh Reh Kar Mere Dil Ko Kabhi Jab
                  Khoon Ke Aansoo Rulaye Gha Mujhe Tum Yaad Aao Ghe

                  Mujhe Tum Yaad Aao Ghe !

                  Comment


                  • Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab

                    Tujh ko maloom nahin tujh ko bhala kia maloom......

                    jab bhi dekha hai usay dil nay yeh mahsoos kia
                    jaisay meray saher-o-shaam ka mehwar hai yehi
                    meray takhuul kay aazar nay taraasha hai jisey
                    meray khwabon ka woh benaam sa paiker hai yehi
                    Tujh ko maloom nahin tujh ko bhala kia maloom......

                    us ki aankhon ki woh masoom si duzdeeda chamak
                    kitnay nagafta fasaanon ki hai tamheed na pooch
                    us ka gul rang labon ka woh tabassum woh hijaab
                    kis tamnna ki hai besaakhta taaid na pooch
                    Tujh ko maloom nahin tujh ko bhala kia maloom......

                    us kay andaaz-e-takklum ki woh mohtaat rawish
                    kis nawaazish ki hai ghammaz koi kiya jaaney
                    paass reh kar bhi woh kuch door hi rehnay ki adaa
                    kis rafaqat ka hai aaghaaz koi kiya jaaney
                    Tujh ko maloom nahin tujh ko bhala kia maloom......

                    itna manoos hai us ka har andaaz kai dil
                    us ki har baat ka afsaana bana leta hai
                    us kay tarshey hua paiker say chura kar kuch rang
                    apnay khwabon ka sanam khana saja leta hai
                    Tujh ko maloom nahin tujh ko bhala kia maloom......

                    jaaney us husn-e-tasswur ki haqeeqat kiya hai?
                    jaaney in khwabon ki qismat mein saher hai kai nahin
                    jaaney woh kon hai mainey usay samjha kiya hai
                    jaaney us ko bhi meray dil ki khabar hai kay nahin
                    Tujh ko maloom nahin tujh ko bhala kia
                    maloom......???????
                    Tujh ko maloom nahin tujh ko bhala kia
                    maloom......!?!?!?!?!?

                    Comment


                    • Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab

                      Click image for larger version

Name:	HAQEEQAT_copy.jpg
Views:	1
Size:	80.6 KB
ID:	2417343

                      Comment


                      • Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab

                        اسلام علیکم
                        بھائی آپ کا انتخاب تو ہمیشہ ہی عمدہ رہا ہےلیکن لگتا ہے آپ صرف یہاں پر اپنی پسندیدہ شاعری ہی شئیر کرتے رہے ہیں باقی پی جی پر آپ کی پوسٹس نہ ہونےکے برابر ہی ملی ہیں
                        تین سال بعد آپ آئے ہیں اُمید ہے اب یہ سلسلہ رکے گا نہیں اور ساتھ ہی آپ میل ملاقات بڑھائیں گے دوسروں کے تھریڈ پر بھی رپلائی کریں گے اور اپنی پوسٹس بھی بڑھائیں گے
                        ایک اور درخواست ہےکہ اگر ممکن ہو تو شاعری کو اردو میں پوسٹ کریں رومن میں رک رک کر شاعری پڑھنے میں سارا مزہ کرکرہ ہو جاتا ہے۔
                        اُمید ہے آپ میری باتوں کا برا نہیں منائیں گے
                        اللہ جی آپ کو شاد رکھیں آباد رکھیں آمین
                        :star1:

                        Comment


                        • Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab

                          ارے واہ آپ تو چھپے رستم نکلے سرکار
                          بہت ہ شاندار بہت ہی عمدہ ڈیزائینگ فریم،ٹیکسٹ،کلر،بیک گراونڈسب کچھ عمدہ ترین
                          ریپوٹیشن کا نزرانہ قبول فرمائے
                          اُمید ہےکہ اب یہ سلسلہ جاری وساری رہے گا
                          اللہ جی آپ کو شاد رکھیں آباد رکھیں آمین
                          :star1:

                          Comment


                          • Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab

                            Originally posted by S.A.Z View Post
                            ارے واہ آپ تو چھپے رستم نکلے سرکار
                            بہت ہ شاندار بہت ہی عمدہ ڈیزائینگ فریم،ٹیکسٹ،کلر،بیک گراونڈسب کچھ عمدہ ترین
                            ریپوٹیشن کا نزرانہ قبول فرمائے
                            اُمید ہےکہ اب یہ سلسلہ جاری وساری رہے گا
                            اللہ جی آپ کو شاد رکھیں آباد رکھیں آمین
                            Assalamo Alaikum,
                            Intikhab to beshuk zabardast he - me ne kal is thread ko bookmark bhi kya tha perhne k lie
                            lekin app ne jo design ki tareef ki he app zara zoom in kar ke dekhie....mujhe to yeh in ki apni designing nahi lag rahi
                            bottom left pe paint se karwai ki hoi lagti he - app designing karte rehte he app achi tarah se bata paenige :-P

                            Intikhab bila'shuba Umdah he (Y)

                            Comment


                            • Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab

                              mere khayal me yeh Hala ki designing he
                              aur thread yeh he - designing albata nazar nahi arahi per aik reply se me ko undaza hoa he

                              http://www.pegham.com/thread48300.html

                              PinkRoseJust4u chachu, u ko Hala ko credit dena chahie tha - Edit nahi karna chahie tha ...!!

                              Comment


                              • Re: PinkRoseJust4U ka Intikhaab

                                Buhat Khoobsoorat collection !

                                Comment

                                Working...
                                X