Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Choice OF ~!~ I SEE YOU !~!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #61
    Re: ?????????

    if u want it in urdu font.....it is available here

    http://www.pegham.com/showthread.php...769#post369769

    Comment


    • #62
      Re: Choice OF ~!~ I SEE YOU !~!


      khushun ki ek tahreer!

      bohat tareek jungle mein

      samatee roshni mein ne

      bohat gumnaam rastun se

      utha li zindagi mein ne

      bohat khamosh loogun se

      suni hai unkahi mein ne

      bohat mushkil zamne se

      rakhi hai dosti mein ne.....:rose

      Comment


      • #63
        Re: Choice OF ~!~ I SEE YOU !~!


        ugharay howay loogun se gurazan na howa kar
        halaat ki qabrun k yhe kutbay bhe paraha kar

        her waqt ka hasna tujhe barbaad na kar de
        tanhai k lamhun mein kabhe ro bhe lia kar

        is shaks k tum se bhe marasam tou hun ge
        wo jhut na bole ga mere samne aakar

        wo ajj bhe sadyun ki musafat pe khara hai
        dhunda tha jise waqt ki deewar gira kar

        Comment


        • #64
          Re: Choice OF ~!~ I SEE YOU !~!

          good v nice choice
          Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

          Comment


          • #65
            Re: Choice OF ~!~ I SEE YOU !~!

            Thanks

            Comment


            • #66
              Re: Choice OF ~!~ I SEE YOU !~!

              Good ...........

              Ankhen to pyaar mein dil ki zuban hoti hai
              sachi chahat tau sada bezuban hoti hai
              pyaar mein dard bhi mile to kya ghabrana
              suna hai dard se chahat aur jawan hoti hai....!

              Comment


              • #67
                Re: Choice OF ~!~ I SEE YOU !~!

                thanks

                Comment


                • #68
                  Re: Choice OF ~!~ I SEE YOU !~!

                  hum k chehray pe na laay kabhe weerani ko
                  kia yhe kafi nahi zalim teri hayrani ko

                  kar-e- farhad se yhe kam tu nahi jo hum ne
                  ankh se dil ki taraf moor dia pani ko

                  sheesha-e-shok pe tou sang-e-mumlamat na gira
                  aks kalring hi kafi hai giran jani ko

                  tu ruke yh na ruke faisla tuj pe chora
                  dil ne dar khool diye teri asani ko

                  Comment


                  • #69
                    Re: Choice OF ~!~ I SEE YOU !~!

                    kia baat hai jis ka gham bohat hai
                    kuch din se yhe ankh nam bohat hai

                    mill leti hai guftugu kia haad tak
                    itna hi tera karam bohat hai

                    ghar aap ki jagmaga uthay ga
                    dehleez pe ek qadam hi bohat hai

                    mill jay agar teri rafaqat
                    muj ko toh yahi janab bohat hai

                    kiun bujhne lage chiragh mere
                    ab k toh hawa bhe kam hai

                    chup kiun tujhe lag gai
                    sunte thay k tuj mein dam bohat hai:rose

                    Comment


                    • #70
                      Re: Choice OF ~!~ I SEE YOU !~!

                      barsoon k baad dekha ek shaks dil ruba sa
                      ab zahan mein nahi hai per naam tha bhala sa
                      abroo khiche khiche se,ankhin jhuki jhuki see
                      batein ruki ruki see,lajha thaka thaka sa
                      alfaaz k thay jugnoo,awaz k safar mein
                      ban jay junglo mein jistra rasta sa
                      khoabon mein khoab usk,yaadun mein yad uski
                      neendun mein ghul gaya ho jaise k raat jaga sa
                      pehle bhe loog kitne hi zindagi mein
                      wo har tra se lakin aurun se tha juda sa
                      kuch yhe k mudatun se hum bhe nahi thay rooay
                      kuch zaher mein bujha tha ahbab ka dilasa
                      phir yun k sawan ankhun mein abase
                      phir yun howa k jaise dil bhe tha abla pa sa
                      ab sach kahin toh yaarun,humko khabar nahi thi
                      ban jay ga qaymat ik waqiya zara sa
                      tawar thay berukhi k andaaz disti ka
                      wo ajnabi tha lakin lagta tha aashana sa
                      hum dasht thay k daryahum zaher thay k imrat
                      nahaq thay zaym humkojab wo nahi tha pyasa
                      hum ne usse dekha kal shaam itfaqan
                      apna bhe haal hai ab loogun FARAZ ka sa:rose

                      Comment


                      • #71
                        Re: Choice OF ~!~ I SEE YOU !~!

                        jo achi cheez hoti hai ,wo aksar kho bhe jati hai
                        kabhe koi angothi ,jo nishani hoti hai "uski"
                        makeen hota hai jo dil mein
                        kahin goom ho hi jati hai
                        kabhe guldan laataay hain bare hi shol se ghar mein
                        wo anjane mein
                        mamoli se ek thokar se aksar toot jata hai
                        bare hi chao se,le aate hain koi naya malboos
                        apne chahne wale ka
                        iaka koi hisa jal hi jata hai
                        wohi,jisk liay raaton mein jagaain
                        aur din mein khoab dekhin jisk
                        jo ankhun mein basta hai
                        isee apna bna k koi dooja le hi jata hai
                        na jane kaise kaise khoab apne toot jate hain
                        toh jana!isqadar tum pyar karna chor do muj ko
                        mujhe dharka laga rehta hai her lamhe
                        jo achi cheez hoti hai wo aksar kho bhe jati hai

                        Comment


                        • #72
                          Re: ?????????

                          Originally posted by i see u View Post
                          apne ehsaas se choo kar mujhe sandal kar do
                          k mein sadyun se adhora hun mukamal kar do
                          is k saay mein mere khoab dhak uthayin gay
                          mere chehray pe chamak ta howa anchal kar do
                          masla hun tou nighain na chourao muj se
                          apni chahat se towja se mujhe haal kar do
                          apne gham se kaho her waqt mere sath rahay
                          ek ehsaan karo isko musalsal kar do
                          :rose
                          Originally posted by i see u View Post
                          kuch duur humare sath chalo
                          hum dil ki kahani keh dein ge
                          samjho na jise tum ankhun se
                          wo baat zubani keh dein gay
                          phoolun ki tra hoontun pe
                          ek shok-e- tabussam bikhray ga
                          hum phir se tumhare kanu mein
                          ek baat purni keh dein gay
                          izher-e-wafa tum kia jano!!!
                          iqrar-e- wafa tum kia jano!!
                          hum zikar karin gay gehrun ka
                          aur apni kahni keh dein gay
                          kuch duur ............................:rose
                          Originally posted by i see u View Post
                          safar mein aane wali her azyet farz karte hain
                          chalo kuch duur yunhi rafaqat farz karte hain
                          dil e betaab ko jo mutmain kar de judai per
                          teri janib se ek aisee wazahat farz karte hain
                          wahin shahyad koi rasta nikal ata kahani mein
                          jahan se hum tere kehne mein hijrat farz karte hain
                          yh tere qurb mein kis narsai ki shabat hai
                          k jaise hum mohabbat ko mohabbat farz karte hain:rose
                          Originally posted by sumera View Post

                          A beautyful poem by mohsin naqvi...


                          Main nay iss toor say chaha tujhay aksar jana'n!
                          jaisay mehtab ko bay antt samandar chahay !!
                          jaisay sooraj ki kiran seep k DIL main utray
                          jaisay khushboo ko hawa rang say hat ker chahaay


                          jaisay pathar k kalaijay say kiran pothtee hay
                          jaisay gunchay khulay musam say hina mangtay hain
                          jaisay khabou'n main khayalou'n ki kama'n toot tee hay
                          jaisay barish ki DUA aabla paa mangtay hain !!


                          maira har khab mairay sach ki gawahi day ga
                          wusat_e_deed nay tujh say tairee khahish ki hay
                          mairee sochoun main kabhi daikh sarapa apna !
                          main nay duniya say alag tairee parastish ki hay


                          khahish_e_deed ka musam kabhi dundhla jo hua
                          nooch dali hain zamanoun ki naqabain main nay
                          tairee palkoun pay utartee hoie subhoun k liye
                          tood dali hain sitaroun ki tanabain main nay !



                          Main nay chaha tairay husn ki gulzar fiza !
                          mairee ghazloun ki qataroun say dakhaktee jaye
                          main nay chaha k mairay fan k gulsita'n ki bahar
                          tairee aankhoun k gulaboun say mahaktee jaye


                          tay to ye tha k sajata rahay lafzoun k kanwal
                          mairay khamosh khayaloun main takalum taira
                          raqs kerta rahay bherta rahay khushboo ka khumar
                          mairee khahish k jazeeroun main tabasum taira


                          tu magar ajnabi mahool ki perwerda kiran !!
                          mairee bhujhtee hoie ratoun ko sehar kar na saki
                          tairee sansoun main maseehaie thee lekin tu bhi
                          chara_e_zakhm_e_deeda_e_tar kar na saki !!


                          tujh ko ahsas hi kab hay k kisi dard ka dagh
                          Aankh say dil main utar jaye to kiya hota hay ?
                          tu k seemab tabiyat hay tujhay kiya maloom ??
                          musam_e_hijr tahar jaye to kiya hota hay ??


                          Tu nay uss moor pay toda hay taluq k jaha'n
                          daikh sakta nahin koie bhi palay ker jana'n

                          abb ye alam ha k aankhain jo khulai'n ge apnee
                          yaad aye ga tairee deed ka manzar jana'n !!!

                          mujh say mangay ga tairay ahed_e_muhubat ka hisab
                          tairay hijra'n ka dahkta hua mahshar jana'n

                          yooun mairay dil k barabar taira gham aya hay
                          k jaisay shheshay k muqabil pathar jana'n !!

                          jaisay mahtab ko bay antt samandar chahay
                          main nay iss toor say chaha tujhay aksar jana'n

                          Buhat Hee Khoob Collection ....Daad Qabol kijay ..ap ki Choice Buhat achi hai...:) Keep On sharing

                          Comment


                          • #73
                            Re: Choice OF ~!~ I SEE YOU !~!

                            thanks gul

                            Comment


                            • #74
                              Re: Choice OF ~!~ I SEE YOU !~!


                              iss qadar gor se uss shakas ko dekha na karo
                              wo bhare ghar ka aadi hai usse tanha na karo
                              shor mein dab na rah jay tumhari awaz
                              shahr mein agar khao zakham toh chikha na karo
                              gar wo aadi na raha dhoop na seh pay ga
                              chand lamhun ka kisee shaks pe saya na karo
                              dostoon ne jo diay hain tumhain palkun k liay
                              aisee moti ser-e-mehfil toh lutaya na karo
                              zard chehray per jo ghazay ka gulabi pan hai
                              bheegi ankhoon se tum isko rang ko ruswa na karo
                              sookhay paatun ki sadaoun se karo samjhota
                              waqt se pehle bahroun ki tamana na karo
                              mand par jay HUMERA na damak chehroon ki
                              pichlay khoaboun ko ser-e-bazm sunaya na karo:rose

                              Comment


                              • #75
                                Re: Choice OF ~!~ I SEE YOU !~!

                                Originally posted by i see u View Post
                                iss qadar gor se uss shakas ko dekha na karo
                                wo bhare ghar ka aadi hai usse tanha na karo
                                shor mein dab na rah jay tumhari awaz
                                shahr mein agar khao zakham toh chikha na karo
                                gar wo aadi na raha dhoop na seh pay ga
                                chand lamhun ka kisee shaks pe saya na karo
                                dostoon ne jo diay hain tumhain palkun k liay
                                aisee moti ser-e-mehfil toh lutaya na karo
                                zard chehray per jo ghazay ka gulabi pan hai
                                bheegi ankhoon se tum isko rang ko ruswa na karo
                                sookhay paatun ki sadaoun se karo samjhota
                                waqt se pehle bahroun ki tamana na karo
                                mand par jay HUMERA na damak chehroon ki
                                pichlay khoaboun ko ser-e-bazm sunaya na karo:rose
                                :rose :rose :rose
                                Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                                Comment

                                Working...
                                X