Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Choice OF ~!~ I SEE YOU !~!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Choice OF ~!~ I SEE YOU !~!

    kabhe kabhe mere dil mein khayal ata hai
    k zindagi teri zulfoon ki naraam chaown mein jo guzarne pati,
    tou shadaab ho bhe sakti thi
    yh ranj-o-gham ki seyahi jo dil pe chai hai
    teri nazar ki showaun mein kho bhe sakti thi
    magar yh ho na saka!!
    aur ab yh aalam hai
    k tu nahi ,tera gham teri justuju bhe nahi
    guzar rahi kuch is tra zindagi hai jaise
    ise kisi k sahare ki arzoo bhe nahi
    na koi rasta,na koi manzil,na roshni ka suraagh
    bhatak rahi meri zindagi
    inhi andharun mein reh jaoun ga mein kho kar
    mein janta hun meri hum nafas!!
    magar yunhi kabhe kabhe
    mere dil mein.......................:rose

  • #2
    wo bhoolne k taqzay

    wo bhoolne k taqzay na bhool paya koi
    kisi ki yaad mein ro ro k muskuraya koi
    dharaktay dil mein yhe aahat sunai deti hai
    fareeb kha k koi fareeb khaya koi
    andheeri raat k saaay, ghanaray ashak rawan
    saray chasham se moti chrya laya koi
    mein aitbarki dehleez pe raha barsoo
    tha intezaar,magar loat k na aya koi...

    Comment


    • #3
      Re: wo bhoolne k taqzay

      very beautiful

      Comment


      • #4
        Re: kabhe kabhe..........

        bohat umda

        Comment


        • #5
          Re: kabhe kabhe..........

          thanks sohno

          Comment


          • #6
            kuch khas

            kuch dostun ka karam kaam kar gaya
            manzil se fasla humain gumnaam kar gaya

            khush bakhti-e-naseeb ka tara ajeeb tha
            roshan howa tou zindagi ki shaam kar gaya

            kuch zindagi guzarne ka dhang tha mukhtilif
            kuch naam hum ko bewaja bednaam kar gaya

            wo shaks apne ishq ki qimat na de saka
            aur hum ko rastay mein hi neelaam kar gaya

            sang apny le gaya meri duniya ki roshni
            aur lamhe be basi k mere naam kar gaya

            FAROOQI apni oot mein chupty rahao gay tum
            karna tha jis ne kaam sar-e-aam kar gaya:rose

            _________________
            JAMEEL FAROOQI

            Comment


            • #7
              Re: kuch khas

              very nice sharing hay lakin main aap kee ejazat sy esy es k mozoon section main move ker raha hun...................be happy

              Comment


              • #8
                Choice OF ~!~ I SEE YOU !~!

                kia kahun us se k jo baat samajta hi nahi
                wo tou milne ko mulaqat samajta hi nahi

                hum ne dekha hai faqat khoab khuli ankhun se
                khoab thi wasal ki wo raat samajta hi nahi

                mein ne poanchyaa usee jeet k har khane mein
                meri bazi meri maat samjhta hi nahi

                dukh tou muj ko bhe judai ki ghari ka hai magar
                ajj kyun sochain her ek baat samajta hi nahi

                raat pawai ne usko bhe gaya hi nahi
                raat kyun na kat sakti raat samajta hi nahi

                shiree ka koi andaaz samajta hai unhain
                wo mohabbat ki rivayaat samajta hi nahi
                ___________
                fatima hassan:rose

                Comment


                • #9
                  Re: kia kahun us se

                  very nice :)
                  kuch logon se kuch bhi kehna baz aukat bekar hota hai
                  woh hame samjhna chahte hi nahi
                  :rose Refreshing_breeze :rose

                  Comment


                  • #10
                    Re: kia kahun us se

                    fatima gee aap apni poetry yehan es section main share kia karian
                    Thanks

                    Comment


                    • #11
                      Re: kia kahun us se

                      mera naam fatima nahi hai
                      mera naam sanya hai
                      fatime is ghazal ki writer ka naam hai:)

                      Comment


                      • #12
                        Re: kia kahun us se

                        Originally posted by i see u View Post
                        mera naam fatima nahi hai
                        mera naam sanya hai
                        fatime is ghazal ki writer ka naam hai:)
                        oho ...........aap ny likha tha to main ny yehi samjna thaa

                        any way acha name hy sanya aap ka khush rahin.
                        aur ager aap chayee to aap k name ka thread bana skty hian jis main aap sari poetry aik hee jaga share ker sakin??

                        Comment


                        • #13
                          Re: kia kahun us se

                          yhe mojza bhe mohabbat kabhe dekhiya mujhe
                          k sang tuj pe gire aur zakham aaye mujhe

                          mein apny paoun talay rondta hun saaye ko
                          badan mera hi sahi dhoop na bhay mujhe

                          wohi tou sab se zaida hai nukta chee mera
                          jo muskara k humasha galay lagay mujhe

                          mein apni zaat mein neelaam ho raha hun QATEEL
                          gham-e- hayat se keh do khareed laaye mujhe:rose

                          Comment


                          • #14
                            Re: kia kahun us se

                            wo kiase

                            Comment


                            • #15
                              Re: Choice OF ~!~ I SEE YOU !~!

                              wo aisy es ka title dekhain. aur abi main sab es main ker daita hun...

                              Comment

                              Working...
                              X