Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

***Aquari ki Biyaaz***

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

    Originally posted by sumera View Post
    intikhaab acha hay dear:rose...magar taqreeban sara intikhaab hee zindagi ki ik haqeeqat ko byaan kar rha hay...zindagi k aur haqayaq bhi to hien na......kuchh udher bhi to nazar hoo.....:)

    pr zindagi sey bari koi or haqeeqat bhi tu nahi,....abhi tu is ko hi samjh nahi paii..is sey fursat mileyy tu kisi or taraf dekhoo :)

    Comment


    • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

      Originally posted by sarfraz_qamar View Post
      bohht hee achha intikhab haii
      thx

      Comment


      • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

        bheer main ik ajanabii kaa saamanaa achchhaa lagaa
        sab se chup kar vo kisii kaa dekhanaa achchhaa lagaa

        surmaii aankhhoon ke niiche phuul se khilne lage
        kehte kehte kuchh kisii kaa sochanaa achchhaa lagaa

        baat to kuchh bhii nahii thii lekin us kaa ek dam
        haath ko honto'o. pe rakh kar rokanaa achchhaa lagaa

        chaay mainn chiinii milaanaa us gharii bhaayaa bahut
        zer-e lab vo muskuraataa shukriyaa achchhaa lagaa

        dil main kitane ahad baandhe the bhulaane ke use
        vo milaa to sab iraade tornaa achchhaa lagaa

        beiraadaa lams kii vo san_sanii pyaarii lagii
        kam tavajjo aankh kaa vo dekhanaa achchhaa lagaa

        niim shab kii Khaamushii main bhiigtii sadkoon pe kal
        terii yaado.n ke jaalo me.n ghuumanaa achchhaa lagaa

        us uduu-e-jaa.N ko 'Amjad' mai.n buraa kaise kahoo
        jab bhii aayaa saamane vo bevafaa achchhaa lagaa

        Comment


        • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

          One of my all time fav.

          kahaan aake rukane the raaste kahaan mor thaa use bhuul jaa
          vo jo mil gayaa use yaad rakh jo nahin milaa use bhuul jaa

          vo tere nasiib kii baariishain kisii aur chhat pe baras ga_ii
          dil-e-beKhabar merii baat sun use bhuul jaa use bhuul jaa

          main to gum thaa tere hii dhyaan main terii aas main, tere gumaan main
          havaa kah gaii mere kaan main mere saath aa use bhuul jaa

          tujhe chaand ban ke milaa thaa jo tere saahilon pe khilaa thaa jo
          vo thaa ek dariyaa visaal kaa so utar gayaa use bhuul jaa

          Vo jo bisat-e-jaan hi ulat gaya ,woh jo rastey sey palat gaya
          ussey roolney sey hasool kyaa ,ussey mut bulaa ussey bhool ja

          Comment


          • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

            jo utar ke ziinaa-e-shaam se terii chashm-e-Khush me.n samaa gaye
            vahii jalate bujhate se mahar-o-maah mere baam-o-dar ko sajaa gaye

            ye ajiib khel hai ishq kaa mai.n ne aap dekhaa ye mojezaa
            vo jo lafz mere gumaa.N me.n the vo terii zubaa.N par aa gaye

            vo jo giit tum ne sunaa nahii.n merii umr bhar kaa riyaaz thaa
            mere dard kii thii daastaa.N jise tum ha.Nsii me.n u.Daa gaye

            vo charaaG-e-jaa.N kabhii jis kii lau na kisii havaa se niguu.N hu_ii
            terii bevafaa_ii ke vaasavaa use chupake chupake bujhaa gaye

            vo thaa chaa.Nd shaam-e-visaal kaa ke thaa ruup tere jamaal kaa
            merii ruuh se merii aa.Nkh tak kisii raushanii me.n nahaa gaye

            ye jo bandagaan-e-niyaaz hai ye tamaam hai vo lash_karii
            jinhe.n zindagii ne aman na dii to tere huzuur me.n aa gaye

            terii beruKhii ke dayaar me.n mai.n havaa ke saath havaa huaa
            tere aa_iine kii talaash me.n mere Khvaab cheharaa ga.Nvaa gaye

            tere vaasavaao.n ke fishar me.n teraa sharar-e-rang uja.D gayaa
            merii Khvaahisho.n ke Gubaar me.n mere maah-o-saal-e-vafaa gaye

            vo ajiib phuul se lafz the tere ho.nTh jin se mahak uThe
            mere dasht-e-Khvaab me.n duur tak ko_ii baaG jaise lagaa gaye

            merii umr se na simaT sake mere dil me.n itane savaal the
            tere paas jitane javaab the terii ik nigaah me.n aa gaye

            Comment


            • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

              Haan, Zindagi say Darta hoon
              Zindagi Jo tum bhee ho, Zindagi Jo hum bheee hain
              hum or tum say wabasta khawab na bikhar jaain
              khwab kay bikharnay say, aah kay nikalnay say
              zindagi kay aangan main khamshi kay chanay say
              khamashi say wabasta, Her Ghari say darta hoon


              Ankahi say darta hoon
              Jo abhi nahin aayi , ussi ghari say darta hoon
              uss ghari ki aamad say, phool jo bikhar jayain, bagh jo ujar jayain
              Bagh kay ujarnay say, phool kay bikharnay say
              Uss ghari ki aamad ki aagahi main posheeda
              bay basi say darta hoon

              Aadmi say darta hoon,
              aadmi jo tum bhi ho, aadmi jo hum bhee hain
              aadmi zuban bhi hay, aadmi bayaan bhi hay,
              iss zuban ki talkhi si, iss bayan ki shiddat say, aah jo nikalti hay
              aah say main darta hoon, chah say main darta hoon
              Chah ki tamanna main, zindagi say larnay say
              Zindagi kay hotay bhi, aadmi kay marnay say
              zindagi say darta hoon, aadmi say darta hoon

              Haan, abhi say darta hoon
              Woh abhi jo tum bhi ho, woh abhi jo hum bhi hain
              Hijr kay andheray main, aas kay ujalay hain
              wasl kay ujalay main, aas ki judai say
              Baykhudi say payvasta, Khud ki khudai say
              Main abhi say darta hoon. Khud khudi say darta hoon

              Comment


              • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                very nice

                Comment


                • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                  Originally posted by musaddaq View Post
                  very nice

                  Thank you

                  Comment


                  • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                    mai rooth jaun to woh manane nahi aate
                    Ulfat ke takajon ko nibhane nahi aate
                    Jaalim hai ye woh karam ki koi ummeed nahi hai
                    Jo aag lagate hai woh bujhane nahi aate
                    Dab kar koi us bheed mein dum tod raha hai
                    Masroof hain sab log koi bachane nahi aate
                    Nafrat ke andheron mein bhatakte hi rahenge
                    Chaahat ke diye jinko jalane nahi aate

                    Comment


                    • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                      Nikla tha jinhay dhoondnay,
                      jo jala gaye mera hi ghar
                      Meray aas paas k log thay,
                      meray humnawa aur mein be khabar

                      Comment


                      • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                        Originally posted by imtiazyaqoob View Post
                        Nikla tha jinhay dhoondnay,
                        jo jala gaye mera hi ghar
                        Meray aas paas k log thay,
                        meray humnawa aur mein be khabar
                        nice :thmbup:

                        Comment


                        • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                          dil se tu musalmaan ossay kuch na kehna,waah jee waah ek se bharr kar ek hai,very nice

                          Comment


                          • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                            Originally posted by shanafridi View Post
                            dil se tu musalmaan ossay kuch na kehna,waah jee waah ek se bharr kar ek hai,very nice


                            pasandeedga ka shukriyaa..

                            Comment


                            • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                              dil ne vafaa ke naam par kaar-e-jafaa nahii.n kiyaa
                              Khud ko halaak kar liyaa Khud ko fidaa nahii.n kiyaa

                              kaise kahe.n ke tujh ko bhii hamase hai vaastaa koii
                              tuune to hamase aaj tak koii gilaa nahii kiyaa

                              tuu bhii kisii ke baab main ahad-shikan ho Gaaliban
                              main ne bhii ek shaKhs kaa qarz adaa nahiin kiyaa

                              jo bhii ho tum pe mautariz us ko yahii javaab do
                              aap bahot shariif hain aap ne kyaa nahin kiyaa

                              jis ko bhii sheKh-o-shaah ne hukm-e-Khudaa diyaa qaraar
                              hamane nahii kiyaa wo kaam haan baa-Khudaa nahii kiyaa

                              nisbat-e-ilm hai bahot haakim-e-vaqt ko aziiz
                              us ne to kaar-e-jehl bhii be-ulaamaa nahii kiyaa

                              Comment


                              • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                                sazaa


                                har baar mere saamane aatii rahii ho tum
                                har baar tum se mil ke bichhartaa rahaa hoon main
                                tum kaun ho ye Khud bhii nahin jaanatii ho tum
                                main kaun huun ye Khud bhii nahin jaanataa hoon main
                                tum mujh ko jaan kar hii pa.Dii ho aazaab me.n
                                aur is tarah Khud apanii sazaa ban gayaa hoon main

                                tum jis zamiin par ho main us kaa Khudaa nahiin
                                bas sar basar aziiyat-o-aazaar hii raho
                                bezaar ho ga_ii ho bahut zindagii se tum
                                jab bas main kuchh nahiin hai to bezaar hii raho
                                tum ko yahaan ke saayaa-e-paratau se kyaa Garaz
                                tum apane haq main beech kii diivaar hii raho

                                main ibtadaa-e-ishq main bemahar hii rahaa
                                tum intahaa-e-ishq kaa miyaar hii raho
                                tum Khuun thuukatii ho ye sun kar Khushii huii
                                is rang is adaa main bhii purkaar hii raho

                                main ne ye kab kahaa thaa ke muhabbat main hai nijaat
                                main ne ye kab kahaa thaa ke vafadaar hii raho
                                apanii mataa-e-naaz luTaa kar mere liye
                                baazaar-e-iltafaat main naadaar hii raho

                                jab main tumhain nishaat-e-muhabbat na de sakaa
                                Gham main kabhii sukuun-e-rafaaqat na de sakaa
                                jab mere saare chiraagh-e-tamannaa havaa ke hain
                                jab mere saare Khuwaab kisii bevafaa ke hain
                                phir mujhe chaahane kaa tumhain koii haq nahiin
                                tanhaa karaahaane kaa tumhain koii haq nahiin

                                Comment

                                Working...
                                X