Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

***Aquari ki Biyaaz***

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

    Malaal ka yeh mausam hai badalta hi nahi
    June ka sooraj hai k dhalta hi nahi
    Ajeeb hallat hai is saray-e-dil kii
    K musafir is main koi tehrta hi nahi
    Dagmagaya is tu'r sey mera qadam ik bar
    Liya saharey bauht mager abb sambhalta hi nahi
    Yu bujha diyaa bad-e-mukhalif ney umeed k chiragh
    Lakh jatan ker choorey per diya yeh jalta hi nahi
    Hoo kaisey sabz patey abb khushboo k sagar
    K badal duwaoo ka barasney ko machalta hi nahi

    Comment


    • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

      Bari haseen yeh aaj ki raat hai
      Nikli teri yaadoo ki barat hai
      Ankhain nazar kerti hai motti tujhey
      k bauht anmool yeh saughaat hai
      Tishnagi ki qabr main dafn hochuki her khuwahish
      Chand sansain liya zinda bus meri baat haii
      Hai merey askhoo ki shamil tarawat is main
      Jisey samjhey tu shabnam sey bheegi raat hai
      Tujh ko bhi guzarna hogaa kal isi mu'r sey
      Kyunk yeh zindagi rah-e-makafat haii
      Zara dhoo loo main ashkoo sey chehraa apnaa
      Sagar honi khuwaboo main un sey mulaqat haii

      Comment


      • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

        Yu tu apney qasid-e-dil k pass
        Janey kis kis k liya pegham hain
        Jo likhey jatey rahey auroon k naam
        Merey woh khat bhi tumharey naam hain
        ......................................

        Comment


        • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

          Sir main takmeel ka thaa ek sa'uda
          zaat main apni thaa adhura main
          Ka'in kahoo tum sey kitna nadim hoo
          TUm sey mil ker na howa poora main

          Comment


          • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

            Seena dah'ak raha hai tu kya chup rahye koi
            Ku cheekh cheekh ker na gala cheel ley koi

            Sabit howa sukoon-e-dil-o-jaan kahi nahi
            Rishtoo main dhoondta hai tu dhoonda karey koi

            Tark-e-tauluq masala nahi koi
            Yeh tu woh rasta hia k bus chal parey koi

            Dewar janta thaa jissey man woh dhool thi
            Abb mujh ko aeitemad ki dawat na dey koii

            Main khud yeh chahta hoo k halaat hoo kharab
            Merey khelaf zehr ugalata phirey koi

            Haa thek hia main apni anaa ka mareez hoo
            Akhir merey mizaj main ku dakhal dey koi

            Ek shaks kerraha haii abhi tak wafa ka zikr
            Kash is zaban daraz ka moo nooch ley koi [/CENTER][/CENTER]

            Comment


            • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

              Main ney her bar tujh sey miltey waqt
              Tujh sey milney ki arzoo ki haii
              Terey janey k baad bhi main ney
              Teri khushboo sey guftugoo ki haii

              Comment


              • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                Originally posted by aquari View Post
                Malaal ka yeh mausam hai badalta hi nahi
                June ka sooraj hai k dhalta hi nahi
                Ajeeb hallat hai is saray-e-dil kii
                K musafir is main koi tehrta hi nahi
                Dagmagaya is tu'r sey mera qadam ik bar
                Liya saharey bauht mager abb sambhalta hi nahi
                Yu bujha diyaa bad-e-mukhalif ney umeed k chiragh
                Lakh jatan ker choorey per diya yeh jalta hi nahi
                Hoo kaisey sabz patey abb khushboo k sagar
                K badal duwaoo ka barasney ko machalta hi nahi
                good
                Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                Comment


                • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                  Originally posted by aquari View Post
                  Seena dah'ak raha hai tu kya chup rahye koi
                  Ku cheekh cheekh ker na gala cheel ley koi

                  Sabit howa sukoon-e-dil-o-jaan kahi nahi
                  Rishtoo main dhoondta hai tu dhoonda karey koi

                  Tark-e-tauluq masala nahi koi
                  Yeh tu woh rasta hia k bus chal parey koi

                  Dewar janta thaa jissey man woh dhool thi
                  Abb mujh ko aeitemad ki dawat na dey koii

                  Main khud yeh chahta hoo k halaat hoo kharab
                  Merey khelaf zehr ugalata phirey koi

                  Haa thek hia main apni anaa ka mareez hoo
                  Akhir merey mizaj main ku dakhal dey koi

                  Ek shaks kerraha haii abhi tak wafa ka zikr
                  Kash is zaban daraz ka moo nooch ley koi [/center][/center]
                  good
                  Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                  Comment


                  • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                    thankyou

                    Comment


                    • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                      Originally posted by aquari View Post
                      Bari haseen yeh aaj ki raat hai

                      Nikli teri yaadoo ki barat hai
                      Ankhain nazar kerti hai motti tujhey
                      k bauht anmool yeh saughaat hai
                      Tishnagi ki qabr main dafn hochuki her khuwahish
                      Chand sansain liya zinda bus meri baat haii
                      Hai merey askhoo ki shamil tarawat is main
                      Jisey samjhey tu shabnam sey bheegi raat hai
                      Tujh ko bhi guzarna hogaa kal isi mu'r sey
                      Kyunk yeh zindagi rah-e-makafat haii
                      Zara dhoo loo main ashkoo sey chehraa apnaa

                      Sagar honi khuwaboo main un sey mulaqat haii
                      good
                      Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                      Comment


                      • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                        Palkoo ki dehleez pey chamka ek sitara thaa
                        Sahil ki is bhee'er maiun janey kon humara tha!

                        Kuhsaaroo ki gonj ki soorart phel gaya hai woh
                        Main ney apney app main chup ker jissey pukara thaa

                        Sir sey guzarti her ek mouj ko aisey dekhtey hain
                        jaisey is girdab fanaa main yehi saharaa thaa

                        Hijr ki shab woh neeli ankhain or bhi neeli thi
                        Jaisey us ney apney sir sey boojh utara thaa

                        Jis ki jhilmilta main tum ney,mujh ko qatl kyaa
                        Pat jhar ki us raat woh sub sey roshan tara thaa

                        Tark-e-wafa k bad jub mila tu maloom howa
                        Iss main koitney rang they us k ,kon humara thaa

                        Jo maznil bhi rah main aai ,dil ka bojh bani
                        Woh us ki ta'abeer na thi jo khuwab humara thaa

                        Comment


                        • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                          Tara tara utar rahi haii raat samandur main
                          Jaisey doobney waloo k ho hath samandur main

                          Sahil per tu sub k hongey apney apney loog
                          reh jaye gii kishti ki her baat samandur main

                          Ek nazar dekhaa tu us neyy,agey yaad nahi
                          Khul jati hai darya ki auqaat samandur main

                          Main sahil sey laut aya thaa,kishti k chalney per
                          Pighal chuki thi laikin meri zaat samandur main

                          Comment


                          • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                            Larzish nigah main ,lehjey main luknat ajeeb thii
                            uss awali'in wisal ki wehshat ajeeb thii

                            Roshan hoi ussi sey,ussi sey bikhar gaii
                            shabnum ko aftab sey nisbat ajeeb thi

                            Ansoo diya per ankh ko rooney ki kh'u na di
                            aye badshah-e-ghum,yeh inaya'at ajeeb thi

                            Khirki main aker chand ney jhapki nahi palk
                            kal shab merey makan main suhbat ajeeb thii

                            Ek pal ko tu jaisey sara badn sansa'na uthaa
                            us sarsiry nigah main dawat ajeeb thi

                            Sahil pey they tu rait ka jadoo thaa har taraf
                            kishti chalii tu bahr ki dehshat ajeeb thii

                            Dil main na reh sakey,jo kahin tu kahi na jayee
                            Amjad shikast-e-dil ki hikayat ajeeb thiii

                            Comment


                            • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                              Phir aaj koi Ghazal Tere Naam na ho jaye
                              Aaj kahin likhte likhte Shaam na ho jaye

                              Kar rahi hon Intizar Tere Izhar-e-Mohabbat ka
                              Isi Intizar main Zindagi Tamam na ho jaye

                              Ab to nahi leti Tera Naam Sar-e-Aam is Darr se
                              Kahin Naam Tera Badnaam na ho jaye

                              Mangti hoon Duaa jab Tu Yaad aata hai
                              K Judai Mere Pyaar ka anjaam na ho jaye

                              Sochti hoon, Darti hoon Aksar Tanhai mai
                              Us k Dil mai kisi aur ka Maqam na ho jaye

                              Comment


                              • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                                Nahin abb koi bhi malal bhi,kisi wapsi ka khayal bhi
                                Ghum-bekasi ney mita diyaa merey dil main tha ager koi

                                Tujhey kya khabar hia k rat bhar,tujhey dekh paney ko ek nazar
                                Raha saath chand k muntazir ,teri khirkiyo sey udhar koi

                                Teri berukhi k daya'ar main ,kabhi te'ergi k hissar main
                                Jaley kis tarha sey chirag-e-jan,karey kis tarhaa safar koi

                                Kaey waqt chahye azaab main,kisi khuw'ab main ya sa'rab main
                                Jo nazar sey dur nikal gaya,ussey yaad kerta hai her koi

                                Comment

                                Working...
                                X