Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

***Aquari ki Biyaaz***

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

    Zamana aaj bhi is tarhaa mujh ko taktaa haii
    K jaiseyy khaar kisi ankh main atakta haii

    Terey firaq main phir bhi sakoon milta hai
    Terey huzoor tu dil or bhi dharkta haii

    Kahi woh dard naseeboo ka asra tu, tu nahi
    Ufaq k par sitara sa ek chamakta haii

    Mita chuki hia jissey gardishain zamaney kii
    woh naqsh aaj bhi zamana ubhar sakta haii
    Last edited by aquari; 1 March 2007, 08:25.

    Comment


    • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

      " Zamana aaj bhi is tarhaa mujh ko taktaa haii
      K jaiseyy khaar kisi ankh main atakta haii

      Terey firaq main phir bhi sakoon milta hai
      Terey huzoor tu dil or bhi dharkta haii"


      Gr88888888 kia baat hai app ki...........

      Comment


      • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

        Professor Aunty kab se msn sign in kerne ki try kr rha hun but ho hi nhy rha:-(
        Kal bhe net off tha sara din............
        Haan app toh khush ho rhi hongi k chalo shuker hai k dimag ki dahi nhy bani aaj:-)

        Comment


        • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

          Originally posted by aquari View Post
          Zamana aaj bhi is tarhaa mujh ko taktaa haii
          K jaiseyy khaar kisi ankh main atakta haii

          Terey firaq main phir bhi sakoon milta hai
          Terey huzoor tu dil or bhi dharkta haii

          Kahi woh dard naseeboo ka asra tu, tu nahi
          Ufaq k par sitara sa ek chamakta haii

          Mita chuki hia jissey gardishain zamaney kii
          woh naqsh aaj bhi zamana ubhar sakta haii
          buht khoob...yah buht pasand ayee....
          u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

          :pr:

          Comment


          • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

            Originally posted by *Hala* View Post
            buht khoob...yah buht pasand ayee....
            thank you hala jii

            Comment


            • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

              Originally posted by pinkrosejust4u View Post
              " Zamana aaj bhi is tarhaa mujh ko taktaa haii
              K jaiseyy khaar kisi ankh main atakta haii

              Terey firaq main phir bhi sakoon milta hai
              Terey huzoor tu dil or bhi dharkta haii"


              Gr88888888 kia baat hai app ki...........

              shukriyaa...:salam:

              Comment


              • Re: ***Aquari ki Biyaaz***


                NASEEB

                Zindagi bhi kitni ajeeb hai

                Do chaar pal jo Naseeb hai

                Is pal main tum hum se aa milo

                Yeh pal jo hamare qareeb hain

                Haathon main haath leker hum

                Is pal ko jee len aaj hum

                Bhale is ke baad Zindagi na ho

                Bas tere haathon main haath ho

                Yeh Khuwahish mere Dil ki hai

                Ke tera hi naam Naseeb ho

                Comment


                • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                  Originally posted by aquari View Post

                  NASEEB

                  Zindagi bhi kitni ajeeb hai

                  Do chaar pal jo Naseeb hai

                  Is pal main tum hum se aa milo

                  Yeh pal jo hamare qareeb hain

                  Haathon main haath leker hum

                  Is pal ko jee len aaj hum

                  Bhale is ke baad Zindagi na ho

                  Bas tere haathon main haath ho

                  Yeh Khuwahish mere Dil ki hai

                  Ke tera hi naam Naseeb ho

                  " Awesome Professor Aunty"

                  Comment


                  • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                    thx

                    Comment


                    • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                      Koi dhooka nahi aisa jo na khaya hum ney
                      Zindagi phir bhi tera saath nibhaya hum ney
                      Kabhi mehnat ka sila apni na paya hum ney
                      Chaoo auroo ko milli pair lagaya hum ney

                      Comment


                      • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                        HUM IRD GIRD KEY MAUSAM SEY JUB BHI GHABRAIAN
                        TEREY KHAYAL KI CHAOO MAIN BETH JATEY HAI

                        ***************************************
                        Main dhoop dhoop musafat main jis k saath rahi
                        Zara si chaoo main usney bhula diya mujhey

                        Comment


                        • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                          dard kii had se guzaranaa to abhii baaqii hai
                          TuuT kar meraa bikharanaa to abhii baaqii hai

                          paas aake meraa dukh-dard baTaanevaale
                          mujhase kataraa ke guzaranaa to abhii baaqii hai

                          cha.nd shero.n me.n kahaa.N Dhalatii hai ehasaas kii aag
                          Gam kaa ye rang nikharanaa to abhii baaqii hai

                          rang-e-rusvaa_ii sahii shahar kii diivaaro.n par
                          naam "Rashid" kaa ubharanaa to abhii baaqii hai

                          Comment


                          • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                            kabhii aah lab pe machal ga_ii kabhii ashk aa.Nkh se Dhal gaye
                            vo tumhaare Gam ke chiraaG hai.n kabhii bujh gaye kabhii jal gaye


                            mai.n Khayaal-o-Khvaab kii mahafile.n na baqadr-e-shauq sajaa sakaa
                            tumhaarii ik nazar ke saath hii mere sab iraade badal gaye


                            kabhii rang me.n kabhii ruup me.n kabhii chaa.Nv me.n kabhii dhuup me.n
                            kahii.n aafataab-e-nazar hai.n vo kahii.n maahataab me.n Dhal gaye


                            jo fanaa huye Gam-e-ishq me.n u.nhe.n zindagii kaa na Gam huaa
                            jo na apanii aag me.n jal sake vo paraa_ii aag me.n jal gaye


                            yaa u.nhe.n bhii merii tarah junuu.N to phir un me.n umjh me.n ye farq kyaa
                            mai.n giraft-e-Gam se na bach sakaa vo huduud-e-Gam se nikal gaye

                            Comment


                            • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                              ajanabii Khauf fizaao.n me.n basaa ho jaise
                              sahar kaa shahar hii aaseb_zadaa ho jaise

                              raat ke pichhale pahar aatii hai.n aavaaze.n sii
                              duur saharaa me.n ko_ii chiiKh rahaa ho jaise

                              dar-o-diivaar pe chhaa_ii hai udaasii aisii
                              aaj har ghar se janaazaa-saa uThaa ho jaise

                              muskuraataa huu.N pa-e-Khaatir-e-ahabaab magar
                              dukh to chehare kii lakiiro.n pe sajaa ho jaise

                              ab agar Duub gayaa bhii to maruu.Ngaa na 'Kamaal'
                              bahate paanii pe meraa naam likhaa ho jaise

                              Comment


                              • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                                kahaa.N aake rukane the raaste kahaa.N mo.D thaa use bhuul jaa
                                vo jo mil gayaa use yaad rakh jo nahii.n milaa use bhuul jaa

                                vo tere nasiib kii baariishe.n kisii aur chhat pe baras ga_ii
                                dil-e-beKhabar merii baat sun use bhuul jaa use bhuul jaa

                                mai.n to gum thaa tere hii dhyaan me.n terii aas me.n tere gumaan me.n
                                havaa kah ga_ii mere kaan me.n mere saath aa use bhuul jaa

                                tujhe chaa.Nd ban ke milaa thaa jo tere saahilo.n pe khilaa thaa jo
                                vo thaa ek dariyaa visaal kaa so utar gayaa use bhuul jaa

                                Comment

                                Working...
                                X