Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Z.'s Choice

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • re: Z.'s Choice

    Dost ban ker bhi nahi saath nibhaney wala
    wahi andaz hai Zalim ka zamaney wala

    Ab issey log samjhtey hein grigtaar meyra
    Sakht Nadim hai mujhey daam mey laaney wala

    Kya kahein kitney marassim they hamarey is sey
    wo jo aik shaks hai Munh pheyr ker jaaney wala

    Teyrey hotey huye aa jati thi saari dunya


    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

    Comment


    • re: Z.'s Choice

      bauhtt khoobsoort sharing yellowsky

      Comment


      • re: Z.'s Choice

        great siso///.
        YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

        Comment


        • re: Z.'s Choice

          bohot he ache choice hai...wonderful sharing yellow sky...:phool:
          sigpic


          Comment


          • re: Z.'s Choice

            thanks buddies
            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

            Comment


            • re: Z.'s Choice

              Masoom Mohabbat Ka Bas Itna Fasana Hai,
              Kagaz Ki Haweli Hai Baarish Ka Zamana Hai..

              Kya Shart-E-Mohabbat Hai, Kya Shart-E-Zamana Hai,
              Awaaz bhi Zakhmi hai aur Geet bhi gaana hai..

              Uss Paar Utarne Ki Umeed Boht Kam Hai,
              Kashti Bhi Puraani Hai Aur Toofan Bhi Aana Hai..

              Samjhe Ya Na Samjhe WoH Andaaz Mohabbat Ke,
              Ek Shakhs ko Aankhon Se Shair Sunana Hai..

              Bholi Si Adaa Koi phir Ishq Ki Zidd Par Hai,
              Phir Aag ka Darya hai Aur Doob ke Jana Hai...
              " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

              Comment


              • re: Z.'s Choice

                Masoom Mohabbat Ka Bas Itna Fasana Hai,
                Kagaz Ki Haweli Hai Baarish Ka Zamana Hai..

                .....waqaio itni hi masoom hoti hai mohabbat

                Comment


                • re: Z.'s Choice

                  shukran Aquari for being here :rose
                  " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                  Comment


                  • re: Z.'s Choice


                    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                    Comment


                    • re: Z.'s Choice

                      hum nazuk nazuk dil waley
                      bus aisey hee tu hotey hain

                      kabhee hunstey hain kabhee rootey hain
                      kabhee dil main khawab perotey hain

                      kabhee mehfil mehfil phirtey hain
                      kabhee zaat main tunha hotey hain

                      kabhee chup kee mohar sajatey hain
                      kabhee geet laboun per latey hain

                      kabhee sub ka dil behlatey hain
                      kabhee khud main tunha hotey hain

                      kabhee shub bhur jaagtey rehtey hain
                      kabhee lumbee taan key sootey hain

                      hum nazuk nazuk dil waley
                      bas kuch aisey hee tu hotey hain
                      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                      Comment


                      • re: Z.'s Choice

                        Originally posted by yellowsky View Post
                        hum nazuk nazuk dil waley
                        bas kuch aisey hee tu hotey hain
                        boht khoobsoorat intikhaab......dil ko moh laynay waala :blush:

                        Comment


                        • re: Z.'s Choice

                          Shehar ki raat aur main nashad-o-nakaara phiroonN
                          Jagmagati jaagti sarkooN peh aawara phriooN
                          Ghair ki basti hai kab tak dar badar maraa phirooN
                          Ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

                          Jhilmilate qumqumon ki raah mein zanjeer si
                          Raat ke hathon mein din ki mohani tasveer si
                          Mere seene par magar chalti hui shamsheer si
                          Ay gham-e-dil kya karooN ay wahshat-e-dil kya karooN

                          Yeh roopehli chhaon yeh aakash par taaroN ka jaal
                          Jaise sufi ka tasavvur jaise aashiq ka khayaal
                          Aah lekin kon jaane kon samjhe jee ka haal
                          Ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

                          Phir woh toota ik sitara phir woh chhooThi puljhaRi
                          Jane kis ki goad meiN aai yeh moti ki laRi
                          Hook si seenay meiN uThi choat si dil per paRi
                          Ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

                          Raat hans hans kar yeh kehti hei ke maikhane meiN chal
                          Phir kisi shahnaz-e-lalarukh ke kaashane meiN chal
                          Yeh nahiN mumkin to phir ay dost veerane meiN chal
                          Ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

                          Har taraf hei bikhri hui, rangeeniyaaN, r'aanaiyaaN
                          Har qadam par ishrateiN leti hui angRaiyaaN
                          BaRh rahi hei gaud phailai hoi ruswaaiyaaN
                          Ay gham-e-dil kya karooN, ai wahshat-e-dil kya karooN

                          Raaste mein ruk ke dam le loon meri aadat nahiN
                          Laut kar vaapas chala jaaooN, meri fitrat nahiN
                          Aur koi hamnawa mil jaaye yeh qismat nahiN
                          Ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

                          Muntazir hei eik tofaan-e-bala mere liay
                          Ab bhi jane kitne dervazay heiN waa mere liay
                          Per museebat hei mera ahd-e-wafa mere liay
                          Ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

                          Jee meiN aata hei ab ahd-e-wafa bi toR dooN
                          Un ko paa sakta hooN yeh aasra bi chhoR dooN
                          HaaN munasib hei yeh zanjeer-e-hava bi toR dooN
                          Ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

                          Ik mahal ki aarh se nikala woh peela mahtaab
                          Jaise mulla ka amama jaise baniye ki kitab
                          Jaise muflis ki jawani jaise beva ka shabaab
                          Ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

                          Dil meiN ik shola bhaRak uTha hei aakhir kiya karooN
                          Mera paemaana chhalak uTha hei aakhir kiya karooN
                          Zakham seenay ka mehak uTha hei aakhir kiya karooN *
                          Ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

                          Jee meiN aata hei murda chaand taray noch looN
                          Iss kinare noch looN us kinare noch looN
                          Aik du ka zikar kiya saaray ke saaray nauch looN
                          Ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

                          Muflisi aur yeh mazahir haiN nazar ke samane
                          SekRoN Changez-o-naadir haiN nazar ke samane
                          Sekron Sultan-o-Jabir hain nazar ke samne
                          Ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

                          Le ke eik eik changez ke hathooN se khanjar toR dooN
                          Taj per us ke damakta hei jo pathar toR dooN
                          Koi toRe ya na toRe meiN hi baRh ke toR dooN
                          Ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

                          BaRh ke is indar'sabha ka saz-o-samaan phoonk dooN
                          Iss ka gulshan phoonk dooN us ka shabistan phoonk dooN
                          Takhat-e-sultan kya main sara qasr-e-sultan phoonk dooN
                          Ay gham-e-dil kya kaooN, ay wahshat-e-dil kya karooN
                          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                          Comment


                          • re: Z.'s Choice

                            Really nice Daer

                            Comment


                            • re: Z.'s Choice

                              v nice choice:thmbup:

                              Comment


                              • re: Z.'s Choice

                                ^^shukran buddies




                                Yaadon ka ik jhonka aaya hum say milnay barson baad
                                Pehle itna roay nahin thay jitna roay barson baad

                                Lamha lamha ghar ujra hai, mushkil say ehsaas hua
                                Patthar aaye barson pehlay, sheeshay tootay barson baad

                                Aaaj hamari khaak pe dunya ronay dhonay bethi hai
                                Phool huay hain jaanay kesay itnay sastay barson baad

                                Bhool bhi jao kisne tora kesay tora kyun tora
                                Dhoond rahay ho kia galiyon main dil kay tukray barson baad

                                Dastak ki umeed lagaye kub tuk 'Qaisar' jeetay hum
                                kal ka wada kernay walay milnay aaye barson baad

                                " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                                Comment

                                Working...
                                X