Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Sham E Mehfil Ka Intikhaab

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: Sham E Mehfil Ka Intikhaab

    hmmmmm
    achi laga apka kalaam

    Comment


    • #32
      Re: Sham E Mehfil Ka Intikhaab

      Nice..
      YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

      Comment


      • #33
        Re: chaa.Nd tanhaa hai aasmaa.N tanhaa by Meena Kumari

        Great...
        YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

        Comment


        • #34
          Re: Sham E Mehfil Ka Intikhaab


          UBAIDULLAH ALEEM KI AIK KHUBSURAT GHAZAL



          HIJER KARTE YA KOI WISL GAVARA KARTE

          HAM BAHERHAL BASER KHAWAB TUMHARA KARTE


          AIK AISI BHI GHARI ISHQ MEN AI THI K HAM

          KHAK KO HATH LAGATE TO SITARA KARTE


          AB TO MIL JAO HAMEN TUM K TUMHARI KHATER

          ITNI DOOR A GAY DUNYA SE KINARA KARTE


          AIK CHEHRE MEN TO MUMKIN NAHI ITNE CHEHRE

          KIS SE KARTE JO KOI ISHQ DOBARA KARTE


          JAB HAI YE KHAN'A DIL AP KI KHILVAT K LIY

          PHIR KOI AY YAHAN KAISE GAWARA KARTE



          Comment


          • #35
            Re: Sham E Mehfil Ka Intikhaab

            hum parh rhai the khvaab ke purzoon ko jor ke
            aa.Ndhii ne ye tilism bhii rakh Dalaa to.D ke

            aaGaaz kyo.n kiyaa thaa safar un Khvaabo.n kaa
            pachhataa rahe ho sabz zamiino.n ko chho.D ke

            ik buu.Nd zahar ke liye phailaa rahe ho haath
            dekho kabhii Khud apane badan ko nicho.D ke

            kuchh bhii nahii.n jo Khvaab kii tarah dikhaa_ii de
            ko_ii nahii.n jo ham ko jagaaye jhinjho.D ke

            in paaniyo.n se ko_ii salaamat nahii.n gayaa
            hai vaqt ab bhii kashtiyaa.N le jaao mo.D ke

            Comment


            • #36
              Re: Sham E Mehfil Ka Intikhaab

              Mujh ko ikrar-e-mohabbat hain saza do mujh ko
              Shola-e-ishq hoon kuch aor hawa do mujh ko


              Ban ke aansoo teri palkon pe para rehta hoon
              Tum akele mein kisi roz baha do mujh ko

              Mein nahin mangta tujh se tere daaman ki hawa
              Aakhir baar yeh soorat hi dikha do mujh ko

              To mujhe yaad kare aur pashemaan bhi na houn
              Aisi yaadon se to behter hain bhula do mujh ko...........




              Comment


              • #37
                Re: Sham E Mehfil Ka Intikhaab



                t







                Comment


                • #38
                  Re: Sham E Mehfil Ka Intikhaab

                  Jo Mare Ankhuon Se

                  Jo Meri aankhon se Khuaab dekho
                  To Aik shab bhi na So sako Gay
                  Ke Laakh Chaho Na Hans sako gay

                  Ke Khuaab kya hain Azaab Hain ye
                  Mere Dukhon ki kitaab hain ye
                  Rifaqatain In main Chotti hain
                  Mohabbatain in main Roothti hain
                  Pinapti Hain In main Vahshatain see
                  Azyatain In main Photti hain
                  Un hi ke Dar se Khizaan Hain Jazbay

                  Ghamon ki Bandish hain Khuaab mere
                  Ahal Raha hai Dukhon ka Lava
                  Rahen Aatish hain khuaab Mere
                  Khayal sare Jhulaas gay hain
                  Sulagti Khuahish hain khuaab Mere
                  Ukharrti Sansain hain Zindagi ki
                  Lahu ki Sazish hain Khuaab Mere
                  Jo Meri aankhon se Khuaab dekho
                  To Aik shab bhi na So sako Gay!

                  Comment


                  • #39
                    Re: Sham E Mehfil Ka Intikhaab

                    Din kuch aisay guzaarta

                    Din kuch aisay guzaarta hai koi
                    Jaisay ehsaan utaarta hai koi

                    Dil mai kuch yun sambhaalta hun gham
                    Jaisay zevar sambhaalta hai koi

                    Aaina daikh kar tassali hui
                    Hum ko is ghar mai jaanta hai koi

                    Pakk gaya hai shajar pay phal shayad
                    Phir say pathar uchaalta hai koi

                    Der say goonjtay hain sanaatey
                    Jaisay hum ko pukaarta hai koi

                    Comment


                    • #40
                      Re: Sham E Mehfil Ka Intikhaab

                      Mayre Zindagi Ka Hasil



                      meri zindagi ka hasil


                      kaii waswasey, kaii rat jagey

                      kaii lughzishein, kaii khwahishein

                      meri zaat misle mazar hey

                      mujhey jeeney ki abb



                      Ager ho sakey tou Khuda sey tum



                      Ye jo samney hey terey ro baroo

                      mera aks hey, meri rooh hey

                      aik naam hey koi benishaaan

                      faqat raakh ka koi dher hey

                      mujhey aag sey na darao tum

                      ager ho sakey tou, meri lou bano

                      mein tou bujha howa diya hoon abb

                      Mujhey aur tum hawa na dou

                      meri raah dekho na abb kabhi

                      meri chaah dil sey nikal dou

                      kub jana tha kissi morr perr

                      yuun zindagi rooth jaye gii

                      kub chaha tha meri aas ko

                      aisey nazar kisi kii lug jaye gii

                      mein tou khaak hoon kafe paa kii

                      apney daman sey abb mujhey jhaarr dou









                      Comment


                      • #41
                        Re: Sham E Mehfil Ka Intikhaab

                        Mujhe koi aisa raasta bata





                        Ke jis per chal kar
                        Mein tujhe bhool sakoon
                        Ya phir
                        Mujhe koi aisi raah dikhlaa
                        Jis per chaltay huwe
                        Mein tere saath guzre huwe
                        Lamhoon ki rafaaqat
                        Ek khwaab samajh kar
                        Bhula sakoon
                        Ya phir
                        Mujhe koi aisi simt bataa
                        Jahaan jatay huwe
                        Mein tujhe na sochoon
                        Na hi tujhe yaad karoon
                        Aur
                        Agar aisa koi raasta
                        Aisi koi raah
                        Aisi koi simt
                        Nahe hai tere paas
                        Tu phir
                        Mujhe mere haal pe chor day



                        Comment


                        • #42
                          Re: Sham E Mehfil Ka Intikhaab

                          Pehle sa vo khaloos vo ulfat nahi rahi,
                          Ab doston mein vo rasme mohabbat nahi rahi,
                          Muddat se meri yaad se ghafil hain mere dost,
                          Shad ab un ko meri Zaroorat nahi rahi.............

                          Comment


                          • #43
                            Re: Aik Shair

                            Originally posted by humaira aslam View Post
                            buhat zaber10
                            u ka bohat bohat shukria

                            Comment


                            • #45
                              Re: Sham E Mehfil Ka Intikhaab









                              MAIN APNA AAJ APNA KAL TUMHARE NAAM KERTA HON




                              MAIN IS JEEWAN KA HER IK PAL TUMHARE NAAM KERTA HON










                              KHIZAN,SARDIAN, GERMI,BAHAREN, BARISHEN, JARA



                              MAIN HER MOSAM KA HER HER PAL TUMHARE NAAM KERTA HON







                              SITARE,TITLIAN, JUGNU,GUL- O-BULBUL, DHANAK,KHOSHBO



                              YE SARI HUSN KI CHAL BAL TUMHARE NAAM KERTA HON






                              MERA GUZRA HOWA KAL TO MERE MAZI KA HISA HAI


                              MAIN APNA AAJ,APNA KAL TUMHARE NAAM KERTA HON





                              TUMHARE BIN YE HER IK PAL MUJE BECHAIN RAKHTA HAI



                              MAIN APNA DIL JO HAI BEKAL TUMHARE NAAM KERTA HON





                              BARASTA BEEGHTA MOSAM HAI KAMZORI MERI LEKIN



                              MAIN YE SAWAN,GHATA, BADAL TUMHARE NAAM KERTA HON





                              Comment

                              Working...
                              X