Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Bas Aik Pal Ka Intikhaab

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Bas Aik Pal Ka Intikhaab

    FaQat Pehlu Badalne Se RafaQat Kam Nahi Hoti
    Magar Phir Bhi Na Milnay Ki Aziyat Kam Nahi Hoti


    Jahan Koi Bichar jaaye Wahin Per Us Ki Manzil Hai
    Kisi Ke Saath CHalne Se Musafat Kam Nahi Hoti


    Ta'Alluk Main Ajab Husn-e-Tawazun Kaar Farma Hai
    Talab Had se Nahi Badhti Zaroorat Kam Nahi Hoti


    Visaal itnay Guzaar Aaye Hain itne Hijr Jhelay Hain
    Magar Phir Bhi Nigah-o-Dil Ki Wahshat Kam Nahi Hoti


    Hamare DukshamoN Main Chahne Walay Bhi SHamil Hain
    So Hum jis Haal Main Bhi Hon Muhabbat Kam Nahi Hoti


    Hazaron Aks, Apna Johar-e-Pindar Kho Baithay SaHiL
    Magar is Aaina Khaane Ki Hairat Kam Nahi Hoti

  • #2
    Re: FaQat Pehlu Badalne Se RafaQat

    nice..................
    YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

    Comment


    • #3
      Re: FaQat Pehlu Badalne Se RafaQat

      Welcome to pegham :rose
      buht achi hai ...thnks share ki liyee
      u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

      :pr:

      Comment


      • #4
        Kuch Wisal Akhir Tak Mutabar Nahi Hotay!!

        Kuch Wisal Akhir Tak Mutabar Nahi Hotay!!
        Sath Chalnay Valay Bhi Hamsafar Nahi Hotay

        Tu humare qurbat sai kitna hi guraiza ho
        Hum teray thikanai sai bekhaber nahi hotay

        Kuch kahay bina akser bolti hai aankhen
        Guftughou k sab lamhay hurfgar nahi hotay

        Kitna khoof hota shaam k aandhairay mai
        Pouch in parindou sai jin k ghar nahi hotay

        Umar bar nahi milta wapse ka darwaza
        Aagahi k zindah mai bam-o-dar nahi hotay

        Ishq mai kya ruhi bewajood kya donou ko
        Tum idhar nahi hotay hum udhar naho hotay

        Comment


        • #5
          Re: Kuch Wisal Akhir Tak Mutabar Nahi Hotay!!

          Kitna khoof hota shaam k aandhairay mai
          Pouch in parindou sai jin k ghar nahi hotay

          bauht khoob ...:thmbup:

          Comment


          • #6
            kabhi tumne ye socha hay

            kabhi tumne ye socha hay
            kabhi tumne ye dekha hay
            k lafzon main
            k lafzon se tasaadum kaise hota hay
            tabaahi kaise aati hay
            wohi alfaaz jo do piyaar karne waalon main ta'aluq jorrtay hain
            dilon main rabt rakhtay hain
            or aisa rabt, ik doojay ki khaatir jaan bhi de den
            wohi alfaaz kaise sholay ban kar dehshaton ka raqs karte hain
            wohi alfaaz kaise zeher ban k aik aik rag main utartay hain
            bharay shehron ko sannaatta nigal leta hay
            behnen bayn karti hain
            pahaarron se jawaan bhai
            unhi lafzon ki talwaaron se gardan kaatt lete hain
            to maayn aasmaan sar pe utthaati hain
            yahi alfaaz maaon k labon se jab duaa ban k ubharte hain
            farishte kaanp jaatay hain
            yahi alfaaz phir ALLAH ki rehmat main dhalte hain
            hamaaray din badalte hain
            to phir ye sochna hoga
            to phir ye dekhna hoga
            k ye alfaaz khud qaatil nahi hotay
            k ye alfaaz khud andhay nahi hotay
            ye alfaaz khud zaalim nahi hotay
            magar hum bolnay waalay hi rasta bhool jaatay hain
            magar hum bolnay waalay hi aankhen phorr lete hain
            baseerat se
            diyaanat se
            sadaaqat se
            muhabbat se
            ta'alluq torr lete hain.....

            Comment


            • #7
              Re: FaQat Pehlu Badalne Se RafaQat

              Originally posted by Salauddien Mengal View Post
              nice..................
              Thanks A Lot

              Originally posted by Hala View Post
              Welcome to pegham :rose
              buht achi hai ...thnks share ki liyee
              Thank You :phool:

              Comment


              • #8
                mujh ko shikwa hai

                mujh ko shikwa hai meray bhai keh tum jaate hooay
                le gaye sath meri umr-e ghuzishta ki kitaab
                is mein tau meri bohut kimati tusweerien thein
                is mein buchpun tha mera, aur mera aihd-e shabab

                is ke badle mujhe tum de gaye jaate jaate
                apnay ghum ka yeh dumakta hua khoon rung golaab
                kya karoon bhai, yeh aizaz mein kyoon ker pehnoon
                mujh se le lo meri sub chaak qamizoon ka hisaab

                aakhri baar hai, lo maan lo ik yeh bhi sawaal
                aaj tuk tum se mein lota nahin mayoos-e jawaab
                aa ke le ja'o tum apna yeh damukta hua phool
                mujh ko lota do meri umr-e ghazishta ki kitaab

                (Faiz had written this upon the death of his brother.)

                Comment

                Working...
                X