Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~Hamsafar Ka Intikhab~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Khuda Bhi Uss Ka Tha

    Manzilein bhi us ki thi,
    Rasta bhi us ka tha,
    Ek main akela tha,
    Kaafilaa bhi us ka tha,
    Saath saath chalne ki soch bhi us ki thi,
    Phir rasta badalne ka faisla bhi us ka tha
    Aaj kyun akela hoon, Dil sawal karta hai,
    Log to usi ke the, Par kya khuda bhi us ka tha,
    Har raasta bhi us ka tha,
    har fiasla bhi us ka tha...
    Log bhi usi ke the, shayad khuda bhi us ka tha...
    aur kya karon bayan, apni barbadiyon ka aalam..
    ki Jo ab sawal karta hai..ye dil mera bhi us ka tha..
    Har-Fun-Moula

    Comment


    • Re: Khuda Bhi Uss Ka Tha

      Bohat Khoob :rose

      Comment


      • Re: Khuda Bhi Uss Ka Tha

        Originally posted by Hamsafar View Post
        Saath saath chalne ki soch bhi us ki thi,
        Phir rasta badalne ka faisla bhi us ka tha
        bohot he ache sharing .....:D:
        sigpic


        Comment


        • Re: Khuda Bhi Uss Ka Tha

          Sukria Wafa jeeeeee

          aur aik larki
          Har-Fun-Moula

          Comment


          • kHAB HAI !!!

            Ek Khwab hai....

            Tere honton Ki Hasi Banane ka Khwab hai,

            Tere Aagosh main Simat Jane Ka Khwab Hai,

            Tu Lakh Bacha Le Daman Ishq Ke Hathon,

            Aasma Ban Kar Tuj Par Cha Jane Ka Khwab Hai,

            Ajmayish Yu To Acchi Nahi Hoti Ishq ki,

            Tu Chahe To Teri Takdir Banane Ka Khwab Hai,

            Wo Maut Bhi Laut Jaye Tere Darwaje Pe Aa Ke,

            Tuj Ko Aisi Zindgi Dene Ka Khwab Hai,

            Jee Bhi Lenge Agar Jina Pada Tera Bina,

            Lakin Tuj Par To Mar Mitne Ka Khwab Hai....!
            Last edited by Hamsafar; 2 September 2006, 01:23.
            Har-Fun-Moula

            Comment


            • Adat si Par Gai Hai

              Maine sukhe patto se poocha

              Yuin per se bichad ke ji kaise rahe ho?

              Usne Kaha adat si par gayi hai!

              Tanhai raton se poocha

              Itni gumsum si kyun rehti ho?

              Usne kaha adat si par gayi hai!

              Maine dil se poocha

              Jaam me dard mila kar kyun pite ho?

              To dil ne kaha Yeh adat hai jo badalte nehi!

              Main lakh chahta hu,

              Phir bhi yeh sudharte nehi!
              Har-Fun-Moula

              Comment


              • Re: Adat si Par Gai Hai

                boht khoob..
                YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                Comment


                • Re: Adat si Par Gai Hai

                  sukria.....................................jano
                  Har-Fun-Moula

                  Comment


                  • Re: Adat si Par Gai Hai

                    very very nice sharing......:)
                    sigpic


                    Comment


                    • Re: Adat si Par Gai Hai

                      Bohat zabardast

                      Comment


                      • Itezar Aur Khawab

                        "Intizaar"
                        Hum baithe rahe tumhare khut ka intizaar kar
                        Woh khut nahi aaya chahe kitne hi intizaar par
                        Na jane kya khata hui hum se
                        Ki ek aur din guzaara na hoga intizaar kar

                        Khwab (Dreams)
                        khwaab ko khwaab samajh ke khwaab ki tauheen na kar..
                        is zameen se uth, aasma chhoone ki ek koshish to kar..
                        ho jayenge poore sab khwaab tere, tu khud ko samajh,
                        duniya ko samjhaane kee koshish to kar...
                        khuda bhee tere saath hai,
                        bas ek baar uskee baarghaah me apne haath buland to kar
                        ladd jaa mushkilo se, kar le himmat,
                        utthaa ke sir, tu apane khwaabo ki taabeer to kar..
                        khwaab ko khwaab samajh ke khwaabo ki tauheen na kar..
                        Har-Fun-Moula

                        Comment


                        • Itezar Aur Khawab

                          "Intizaar"
                          Hum baithe rahe tumhare khut ka intizaar kar
                          Woh khut nahi aaya chahe kitne hi intizaar par
                          Na jane kya khata hui hum se
                          Ki ek aur din guzaara na hoga intizaar kar

                          Khwab (Dreams)
                          khwaab ko khwaab samajh ke khwaab ki tauheen na kar..
                          is zameen se uth, aasma chhoone ki ek koshish to kar..
                          ho jayenge poore sab khwaab tere, tu khud ko samajh,
                          duniya ko samjhaane kee koshish to kar...
                          khuda bhee tere saath hai,
                          bas ek baar uskee baarghaah me apne haath buland to kar
                          ladd jaa mushkilo se, kar le himmat,
                          utthaa ke sir, tu apane khwaabo ki taabeer to kar..
                          khwaab ko khwaab samajh ke khwaabo ki tauheen na kar..
                          Har-Fun-Moula

                          Comment


                          • Re: Adat si Par Gai Hai

                            nice choice HUMSAFAAR ..ji

                            ka aap( a m .).k b member ho????????






                            Waqt guzarta raha par saanse thami si thi,
                            muskura rahe the hum, par ankhoN meiN nami si thi,
                            sath hamare ye jahaaN tha sara
                            par na jane kio kisi ki kami si thi....


                            Comment


                            • Re: Itezar Aur Khawab

                              nIce :rose

                              Comment


                              • Re: Itezar Aur Khawab

                                Mashallah bohth khoob.
                                YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                                Comment

                                Working...
                                X