Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~Hamsafar Ka Intikhab~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Itezar Aur Khawab

    very very nice sharing........:rose
    sigpic


    Comment


    • Bhraosa Hai Mujhye

      Kabhi socha naH tha is moRh peH aa jaooN-gi
      meray jiwan ki siyah ratoN se, daaman apna maiN chhuRhaa paooN-gi
      kitnay toote huay sapnay,kai be-rang kHayaal
      unheiN maiN joRh nayaa raNg bhi de paooN-gi
      yaad-e-maazi se joH wahshat si mujhay hoti hai
      uss aziyat se maiN kab tak nikal paooN-gi
      toonay di aas,ummeedeiN haiN bandhai meri
      hosla mujh ko diya, phir se haNsee kHwaboN ka


      tu agar sath mera de to bharosa hae mujhay
      maiN kahkashaN meiN sitaroN ko bhi chhoo paooN-gi
      maiN dard-o-yaas ki duniya peH fatah paooN-gi
      teray dil me teray jiwan meiN samaa jaooN-gi
      tu agar sath mera de to bharosa hai mujhay
      Har-Fun-Moula

      Comment


      • Arzooo..........

        Zindagi Ki Kar Rahay Ho Aarzoo Meri Tarah
        Khaa Gaye Tum Bhi Farebe-Rung- o-Boo Meri Tarah
        Un Sey Milney Ki Tamanna Hay Jissey Woh Soach Lay
        Omer Bhar Karni Paray Gi Justajoo Meri Tarah
        Chashm-o-Lub Khaamosh Laykin Dil Say Houn Mehwe-Kalaam
        Ishq Say Seekho Ye Tarz-e-Guftagoo Meri Tarah
        Teray Jalway Dekh Saktay Hayn, Tujh Ko Paa Saktay Nahee
        Sub Prayshaan Phir Rahay Hayn Chaar Soo Meri Tarah
        Sar Uthaaya Bhi Na Thaa, Pamaal Ho Kay Reh Gaye
        Jin Kay Dil Mayn Kuch Bhi Thaa Zauq-e-Nimoo Meri Tarah
        Barhtay Barthay Rayg-e-Sehraa Rauk Lay Gi Raasta
        Khaak Ho Jayegi Ek Din Aab-e-Joo Meri Tarah
        Sirr-e-Masti, Raaz-e-Maykhaana, Sub Khul Jaayngay!
        Kijaey Kuch Khidmat-e-Jaam- o-Suboo Meri Tarah
        Khushk Kaantoun Kay Laboun Ko Kiss Nay Bakhshi Taazgi!
        Kaun Hay Raah-e-Wafaa Mayn Surkh-Roo Meri Tarah
        Har-Fun-Moula

        Comment


        • Re: Arzooo..........

          very nice.......:D:
          sigpic


          Comment


          • Re: Arzooo..........

            very nice

            Comment


            • Re: Arzooo..........

              nice sharing :)
              Bhulana Sakoo Gay Mujhe Bhool Kar Tum
              Mein Aksar Tumhein Yaad Ata Rahonga
              Kabhi Khuwab Ban Kar Kabhi Yaad Ban Kar
              Mein Neendein Tumhari Churata Rahonga

              Comment


              • Re: Arzooo..........

                Hmm Nice sharing :)
                sigpic

                Comment


                • Re: Bhraosa Hai Mujhye

                  bohat khoob

                  Comment


                  • Re: Khuwab Adhooray Reh Jatay Hain

                    awesome

                    Comment


                    • Re: Khuwab Adhooray Reh Jatay Hain

                      waqi sahi hai.
                      YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                      Comment


                      • Re: Bhraosa Hai Mujhye

                        kya bath hai..
                        YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                        Comment


                        • Re: Khuwab Adhooray Reh Jatay Hain

                          Very Nice Bahot hi Achi Ghazal hai
                          *............:rose ............*
                          Waqt Khush Khush Kaatne Ka Mashwara Detay Huway...
                          Ro Para Wo Aap, Mujh Ko Hosla Detay Huway...
                          *......................*

                          Comment


                          • Re: Khuwab Adhooray Reh Jatay Hain

                            buht achaa :rose
                            u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                            :pr:

                            Comment


                            • Zabt ki kasam di hai usnay

                              Zaahir na ho jayay meri udaasi meri tanhai
                              Meray dil ki kasak aur badan ki angrai

                              Ubhar na aayay chayhray par
                              meri betaabioN kay naqoosh

                              Suna na day kuch meri usko
                              Pyaar say nihaarti aankhaiN

                              Kadam aadtan na chal paraiN uski jaanib
                              Aur ban jayay uski pashymaani ka sabab


                              Zabt ki kasam di hai usnay
                              Har-Fun-Moula

                              Comment

                              Working...
                              X