Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Zeeshan ka Intikhaab

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #61
    Re: Meray Dard ki Tujhey kia Khabar

    bohot ache nazam share ke hai zeeshan ji....:D:
    sigpic


    Comment


    • #62
      Re: Meray Dard ki Tujhey kia Khabar

      Aik acha inteykhaab :thmbup:

      Yeh jo rat hay meray char so
      Magar is ki koi sehar nahin.

      Na hi chaon hay, na samar koi!
      Main ney chan dekha shajar shajar,
      Mereay charah-gar

      Meray dard ki tujhey kia khabar
      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

      Comment


      • #63
        Re: Tumhein Kis ne kaha Tha ( Mohsin Naqvi)

        haa! buht khoob Zee ji
        u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

        :pr:

        Comment


        • #64
          Re: Tumhein Kis ne kaha Tha ( Mohsin Naqvi)

          waah bohat khoub ji :x

          Comment


          • #65
            Re: Tumhein Kis ne kaha Tha ( Mohsin Naqvi)

            Very nice Zee
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment


            • #66
              Re: Tumhein Kis ne kaha Tha ( Mohsin Naqvi)

              wah bhi wah kia designing aur shairi hai zabar10

              Comment


              • #67
                Re: Meray Dard ki Tujhey kia Khabar

                hmm.. buht achaa hai ...:rose
                u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                :pr:

                Comment


                • #68
                  Re: Tumhein Kis ne kaha Tha ( Mohsin Naqvi)

                  very nice

                  Comment


                  • #69
                    Re: Tumhein Kis ne kaha Tha ( Mohsin Naqvi)

                    sukriya pasnd kerne ka :)
                    Bhulana Sakoo Gay Mujhe Bhool Kar Tum
                    Mein Aksar Tumhein Yaad Ata Rahonga
                    Kabhi Khuwab Ban Kar Kabhi Yaad Ban Kar
                    Mein Neendein Tumhari Churata Rahonga

                    Comment


                    • #70
                      Zara si Zameen....

                      Zara si zameen,
                      Zara sa asmaan,
                      Mere liye kafi hai...


                      Hain bhi kitne sapne mere paas?

                      Zara si khushiyan,
                      Zara se armaan ,
                      Mere liye kaafi hain.

                      Zara se aansu,
                      Zara si yaadein,
                      mere liye kaafi hain.
                      Kahan sambhalunga itna pyaar?
                      Zara si hamdardi,
                      Zara sa haunsla,
                      Mere liye kaafi hai.

                      Zara si zindagi,
                      Zara si saansein,
                      Jo kaafi ho mere marne tak...
                      Zara si dhadkan,
                      'USKI ' ummeed zara si...
                      Mere liye kaafi hai.
                      Bhulana Sakoo Gay Mujhe Bhool Kar Tum
                      Mein Aksar Tumhein Yaad Ata Rahonga
                      Kabhi Khuwab Ban Kar Kabhi Yaad Ban Kar
                      Mein Neendein Tumhari Churata Rahonga

                      Comment


                      • #71
                        Re: Zara si Zameen....

                        waah ..bohot khoob......:D:
                        sigpic


                        Comment


                        • #72
                          Tum Yaad Aa Gayi


                          Tum Yaad Aa Gayi



                          Nikli Mohabbat Ki Baat, To Tum Yaad Aa Gayi.
                          Uthe Dil Mai Woh Jazbaat, To Tum Yaad Aa Gayi.

                          Yuun To Dil Mera Bebas Na Rehta Tha
                          Par Badle Jab Haalaat, To Tum Yaad Aa Gayi.

                          Garmi Ne Sukha Diya Tha Teri Yaadon Ko Magar
                          Hui Jab Barsaat, To Tum Yaad Aa Gayi.

                          Sone Chaandi Se Lada Rehta Tha Yeh Jism To Tera
                          Dekhe Khaali Mere Haath, To Tum Yaad Aa Gayi.

                          Tum To Rehti Thi Taaron Ki Basti Mai
                          Sochi Apni Auqaat, To Tum Yaad Aa Gayi.

                          Nahi Sochoonga Tere Baare Mai Yeh Kaha Tha Magar
                          Dekhi Teri Baaraat, To Tum Yaad Aa Gayi.

                          Bhula Ke Tujh Ko Saari Umr Guzaar Di
                          Jab Chhoda Zindagi Ne Saath, To Tum Yaad Aa Gayi
                          Bhulana Sakoo Gay Mujhe Bhool Kar Tum
                          Mein Aksar Tumhein Yaad Ata Rahonga
                          Kabhi Khuwab Ban Kar Kabhi Yaad Ban Kar
                          Mein Neendein Tumhari Churata Rahonga

                          Comment


                          • #73
                            Mujhe Acha Laga.....

                            Door reh kar bhi tujh se mohabbat karna mujhe acha laga
                            tu bata ,aakhir tujhe yeh waaqiaa kaisa laga?

                            Itne faslay mein bhi hain teri qurbat ke mazay
                            tujh se milna,tujh ko chahna mujhe acha laga

                            Silsalay teri yaadun ke phailay hain har taraf
                            teri chah,teri raah mein bhatakna mujhe acha laga

                            Raakh urrne lagi hai mann mein jalti bujhti yaadun ki
                            shaam dhalay teri yaad ke deep jalana mujhe acha laga

                            Kaise kahun tere bin dasti hai mujh ko tanhaii
                            teri ulfat,teri furqat mein ratt-jaga karna mujhe acha laga
                            Woh aanch thi hawa mein ke kali tak bhi sulagg gaii
                            aise mein tera ghatta ban ke barasna mujhe acha laga

                            Faaslay mitt na paaein ge inn dooriun ke kabhi
                            tasawar mein tera aa ke dil ko behlana mujhe acha laga

                            Cheen li neend jab aa ke teray khiyaalun ne
                            teri tasweer pe chupke se houtun ko rakhna mujhe acha


                            Bhulana Sakoo Gay Mujhe Bhool Kar Tum
                            Mein Aksar Tumhein Yaad Ata Rahonga
                            Kabhi Khuwab Ban Kar Kabhi Yaad Ban Kar
                            Mein Neendein Tumhari Churata Rahonga

                            Comment


                            • #74
                              Re: Mujhe Acha Laga.....

                              Bohat khoob Zee ji
                              sigpic

                              Comment


                              • #75
                                Re: Mujhe Acha Laga.....

                                v niceee

                                Comment

                                Working...
                                X