Jaan Nisar Akhter
19th August 2006 ko Jaan Nisar Akhter ka 13th death anniversary tha,
Jaan Nisar Akhter Hindustan ke maqbool tareen lyricist Javed Akhter ke walid thay, Safiya Akhter ka husband aur Majaz Lucknawi ka Brother in law
His own father, Muztar Khairabadi was a well known poet and actually composed the Ghazal (Yes, it was him and not Bahaddur Shah Zafar).
1.)
Zindagi tanha safar ki raat hai
Apney apney hausley ki baat hai
Kis aqeeday ki duhaayi dejiyie
Har aqeeda aaj be-auqaat hai
2.)
Jaayie baiThiye hukmaraanon ke bich
Aap kyon aa gaye ham deewaano ke bich
Aur kya hai siyasat ke bazaar mein
Kuch khiloney sajey hain dukanon ke bich
Tha jinhen ishq ka hauslaa uTh gaye
Tazkirey rah gaye daaston ke bich
3.)
Ujdi ujdi huwi har aas lage
Zindagi Ram ka ban-vaas lage
Tu ke bahti huwi nadiyaa ke samaan
Tujhko dekhoon to mujhey pyaas lage
4.)
Bhooley na kisi haal mein aadaab-e-nazar ham
Mud kar na tujhey dekh sakey waqt-e-safar ham
Ai husn! Kisi ne tujhey itnaa to na chaaha
Barbaad huwa tere liye kaun, magar ham
Comment