Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Jaan Nisar Akhter

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Jaan Nisar Akhter

    Jaan Nisar Akhter

    19th August 2006 ko Jaan Nisar Akhter ka 13th death anniversary tha,

    Jaan Nisar Akhter Hindustan ke maqbool tareen lyricist Javed Akhter ke walid thay, Safiya Akhter ka husband aur Majaz Lucknawi ka Brother in law

    His own father, Muztar Khairabadi was a well known poet and actually composed the Ghazal (Yes, it was him and not Bahaddur Shah Zafar).



    1.)
    Zindagi tanha safar ki raat hai
    Apney apney hausley ki baat hai

    Kis aqeeday ki duhaayi dejiyie
    Har aqeeda aaj be-auqaat hai

    2.)
    Jaayie baiThiye hukmaraanon ke bich
    Aap kyon aa gaye ham deewaano ke bich

    Aur kya hai siyasat ke bazaar mein
    Kuch khiloney sajey hain dukanon ke bich

    Tha jinhen ishq ka hauslaa uTh gaye
    Tazkirey rah gaye daaston ke bich

    3.)
    Ujdi ujdi huwi har aas lage
    Zindagi Ram ka ban-vaas lage

    Tu ke bahti huwi nadiyaa ke samaan
    Tujhko dekhoon to mujhey pyaas lage


    4.)
    Bhooley na kisi haal mein aadaab-e-nazar ham
    Mud kar na tujhey dekh sakey waqt-e-safar ham

    Ai husn! Kisi ne tujhey itnaa to na chaaha
    Barbaad huwa tere liye kaun, magar ham
    Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
    Hamarey naam ka patthar zaroor milega

  • #2
    Re: Jaan Nisar Akhter

    nice sharing janab................ :)
    Dheeray Dheeray Machal Aye Dill-e-Beqarar

    Comment


    • #3
      Re: Jaan Nisar Akhter

      Leejiye pesh hai Jan Nisar Akhtar Sahab ki yeh ghazal:

      Urhi urhi hui har aaas lagey
      Zindgi Ram ka banbas lagey

      Tu ke behtu hui nadiya ke samaan
      Tujhko dekhoon to muhjhko pyas lagey

      Phir bhi chhona usey aasaan nahee
      Itni doori pe bhi jopaas lagey

      Waqt saaya sa koi chhorh gaya
      Yeh jo aik dard ka ahsaas lagey

      Aik aik leher kisi yug ki katha
      Mujhko ganga koi itihaas lagey

      Sher-o-naghme se yeh wehshat teri
      Khud teri rooh ka iflaas lagey


      Zafar M.

      Comment

      Working...
      X