Ahmad nadeem qasmi ka kalam arz hai
:rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose
Rait sey but na banaa, ai meray achchhay fankaar
Aik lamhay ko thahar, main tujhay patthar laa doon
Main teray saamnay ambaar lagaa doon lekin
Kaun sey rang kaa patthar teray kaam aayegaa
Surkh patthar jisay dil kahatii hai bedil duniyaa
Yaa vo pattharaaii huii aankh kaa niilaa patthar
Jis main sadyon kay tahayyur ke paraye hon doray
Kyaa tujhay rooh kay patthar kii zuroorat hogii
Jis peh haq baat bhii patthar kii tarah giratii hai
Ik vo patthar hai jisay kahtay hain tahaziib-e-safed
Us kay marmar main siyah khoon jhalak jaataa hai
Ik insaaf kaa patthar bhii to hotaa hai magar
Haath main teshaa-e-zar ho to vo haath aataa hai
Jitnay mayaar hain is daur kay sab patthar hain
Sher bhii, raqs bhii, tasviir-o-ginaa bhii patthar
Meray ilhaam, teraa zahan-e-rasaa bhii patthar
Is zamaanay main har fan kaa nishaan patthar hai
Haath patthar hain teray, merii zabaan patthar hai
Rait sey but na banaa ai meray achchhay fankaar
:rose :rose :rose :rose :rose

Comment