Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Ahmad Nadem Qassmi

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Ahmad Nadem Qassmi

    Ahmad nadeem qasmi ka kalam arz hai

    :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose
    Rait sey but na banaa, ai meray achchhay fankaar
    Aik lamhay ko thahar, main tujhay patthar laa doon
    Main teray saamnay ambaar lagaa doon lekin
    Kaun sey rang kaa patthar teray kaam aayegaa
    Surkh patthar jisay dil kahatii hai bedil duniyaa
    Yaa vo pattharaaii huii aankh kaa niilaa patthar
    Jis main sadyon kay tahayyur ke paraye hon doray


    Kyaa tujhay rooh kay patthar kii zuroorat hogii
    Jis peh haq baat bhii patthar kii tarah giratii hai
    Ik vo patthar hai jisay kahtay hain tahaziib-e-safed
    Us kay marmar main siyah khoon jhalak jaataa hai
    Ik insaaf kaa patthar bhii to hotaa hai magar
    Haath main teshaa-e-zar ho to vo haath aataa hai


    Jitnay mayaar hain is daur kay sab patthar hain
    Sher bhii, raqs bhii, tasviir-o-ginaa bhii patthar
    Meray ilhaam, teraa zahan-e-rasaa bhii patthar
    Is zamaanay main har fan kaa nishaan patthar hai
    Haath patthar hain teray, merii zabaan patthar hai
    Rait sey but na banaa ai meray achchhay fankaar


    :rose :rose :rose :rose :rose


  • #2
    Re: Ahmad Nadem Qassmi

    very nice fari :)

    Comment


    • #3
      Re: Ahmad Nadem Qassmi

      Originally posted by baad-e-saba
      very nice fari :)
      thanko dear:rose :phool:

      Comment


      • #4
        Re: Ahmad Nadem Qassmi

        Assalaam-0-Alaikom:rose

        fari dear kalaam tu really buht zabardsat hai ... lakin little gurly....Ustadoon kay klam ko urdu inpage main post kia jata hai hai .... Forum rule kay mutabiq :eye:
        Roman urdu main agar post karna chahain ...tu us kay liye section Bazm-e-Shairi hai :)
        For New Designers
        وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

        Comment


        • #5
          Re: Ahmad Nadem Qassmi

          Originally posted by Rida
          Assalaam-0-Alaikom:rose

          fari dear kalaam tu really buht zabardsat hai ... lakin little gurly....Ustadoon kay klam ko urdu inpage main post kia jata hai hai .... Forum rule kay mutabiq :eye:
          Roman urdu main agar post karna chahain ...tu us kay liye section Bazm-e-Shairi hai :)
          opssssssssssssss Sorrry mujhay nahi pata tha....App iss ko move kar sakti ho ....next time i be careful:salam:

          Comment


          • #6
            Re: Ahmad Nadem Qassmi

            nice sharing fari

            Comment


            • #7
              Re: Ahmad Nadem Qassmi

              Originally posted by Madiha kanwal
              nice sharing fari
              thank u Madiha jee:salam: :rose

              Comment


              • #8
                Re: Ahmad Nadem Qassmi

                Good
                Zindgi iss baar mera naam na shamil krna
                Agur ye tae hai ke yahi khail rahe ga

                Comment


                • #9
                  Re: Ahmad Nadem Qassmi

                  wow fari tum tu khasi bazoq nikli...... main tu samjha tha k.......................................aho:wk
                  sigpic

                  Comment


                  • #10
                    Re: Ahmad Nadem Qassmi

                    Rait sey but na banaa, ai meray achchhay fankaar
                    Aik lamhay ko thahar, main tujhay patthar laa doon
                    Main teray saamnay ambaar lagaa doon lekin
                    Kaun sey rang kaa patthar teray kaam aayegaa
                    Surkh patthar jisay dil kahatii hai bedil duniyaa
                    Yaa vo pattharaaii huii aankh kaa niilaa patthar
                    Jis main sadyon kay tahayyur ke paraye hon doray


                    nice sharing i like this:thmbup:

                    Comment


                    • #11
                      Re: Ahmad Nadem Qassmi

                      wonderful sharing fari pari :rose
                      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                      Comment


                      • #12
                        Re: Ahmad Nadem Qassmi

                        NICE SHARING KEEP IT UP


                        bharii duniyaa mein jii nahiin lagtaa
                        jaane kis cheez kii kamii hai abhii


                        tuu shariik-e-suKhan nahiini hai to kiyaa
                        hum-suKhan terii Khaamoshii hai abhii


                        yaad ke be-nishaan jaziiroN se
                        terii aavaaz aa rahii hai abhii


                        shahr ke be-chiraaGh galiiyon mein
                        zindagii tujh ko Dhoondhtii hai abhii




                        NASIR KAZMI


                        Comment

                        Working...
                        X