Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Khushi ka Intekhab..!!!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ager hum dost hotay tou....

    Acha intekhab hay khushi :rose keep sharing :rose
    Allah

    Comment

    • Re: ager hum dost hotay tou....

      Assalam-0-Alaikom:rose

      hhmmmmmmmmm.....niceeee one

      For New Designers
      وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

      Comment

      • Re: ager hum dost hotay tou....

        Nice sharing...........
        Life is more strict than a teacher
        A teacher teaches a lesson
        and takes an exam.
        But life takes an exam
        and then teaches a lesson

        Comment

        • Re: ager hum dost hotay tou....

          Originally posted by Masood
          Khawab dekhney chahiye magar jagti aankhon key saath. Band aankhon sey dekhey gaey khawabon ka khadsha hota hai keh aankh khuley gi to khawab toot jaein gey, jabkeh khuli aankhon sey dekhey khawabon mein yeh hai keh aankh khulney ka andesha nahin hota...
          AGREED:)

          Never trust blindly!!!!

          _______________________________

          _____________________________________________

          Comment

          • Re: ager hum dost hotay tou....

            so nice of U Lexicon, Wafa, Yaram,Rida and Asad

            Never trust blindly!!!!

            _______________________________

            _____________________________________________

            Comment

            • Rait se butt na bana....

              Rait se butt na banaa aey mere achay fankaar

              ek lamhe ko Thehar main tujhe patthar laa duun
              main tere saamane ambaar lagaa duun lekin
              kaun se rang ka patthar tere kaam aayegaa
              surKh patthar jise dil kehtii hai bedil duniyaa
              yaa vo pattharaaii huii aaNkh kaa niilaa patthar
              jis mein sadiyoin ke tahayyur ke paray hoon Dore

              kyaa tujhe rooh ke patthar kii zarurat hogii
              jis pe haq baat bhii patthar kii tarah girtii hai
              ik vo patthar hai jise kehate hai.n tahaziib-e-safed
              us ke mar'mar mien siyaah Khuun jhalak jaataa hai
              ik insaaf kaa patthar bhii to hotaa hai magar
              haath mien teshaa-e-zar ho to vo haath aataa hai

              jitane mayaar hain is daur ke sab patthar hain
              sher bhii raqs bhii tasviir-o-ginaa bhii patthar
              mere ilhaam teraa zehan-e-rasaa bhii patthar
              is zamaane mein har fun kaa nishaa.N patthar hai
              haath patthar hain tere merii zubaa.N patthar hai
              rait se butt na banaa aey mere achay fankaar

              by Ahmed Nadeem Qasmi

              Never trust blindly!!!!

              _______________________________

              _____________________________________________

              Comment

              • Re: ager hum dost hotay tou....

                niceeeeeeeeeeeeeeee
                YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                Comment

                • Re: Rait se butt na bana....

                  Marhoom Qasmi sahib ki yeh nazam mujhey bohat hi pasand hai, aap wohi raag chherrt ho jo fi'waqt dil ki udasi ka sbab hoti hai :)
                  tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                  tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                  Comment

                  • Re: Rait se butt na bana....

                    mujhe bhi Qasmi sahib ki ye nazm bhot pasand hai:) aur jab se unn ki death ki news suni es k words mere zehan main ghoom rahe thay so share ker li. Udasi tou insani fitrat ka lazmi hisa lagti hai.insan her shay mein kisi na kisi pehloo main es ko dhondh he lata hai :)

                    Never trust blindly!!!!

                    _______________________________

                    _____________________________________________

                    Comment

                    • Re: Rait se butt na bana....

                      Originally posted by Khushi

                      ham log bohat ajeeb hain, jahan khushiyaan milti hain wahan tawajoh nahin detey aur jahan per thukraey jatey hain wahan bhagtey hain ....
                      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                      Comment

                      • Re: Rait se butt na bana....

                        very nice thanks for shairing...
                        YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                        Comment

                        • Re: Rait se butt na bana....

                          Originally posted by Masood
                          ham log bohat ajeeb hain, jahan khushiyaan milti hain wahan tawajoh nahin detey aur jahan per thukraey jatey hain wahan bhagtey hain ....

                          baat wahin per aa jati hai ..Its in Human Nature k ham band hwey derwazey per hasrat amez nazren gharrey itni der tak bethe rehte hain k nai khushuin ka khula dewaza nazer nahi aata...

                          Never trust blindly!!!!

                          _______________________________

                          _____________________________________________

                          Comment

                          • Re: Rait se butt na bana....

                            Originally posted by Lexicon
                            very nice thanks for shairing...
                            so nice of U :)

                            Never trust blindly!!!!

                            _______________________________

                            _____________________________________________

                            Comment

                            • Re: Rait se butt na bana....

                              Originally posted by Khushi
                              baat wahin per aa jati hai ..Its in Human Nature k ham band hwey derwazey per hasrat amez nazren gharrey itni der tak bethe rehte hain k nai khushuin ka khula dewaza nazer nahi aata...
                              tum bohat buri ho KHUSHI :zuban: (khushi ko kaha hai khushi ko nahin :pagal: )
                              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                              Comment

                              • Re: Rait se butt na bana....

                                Originally posted by Masood
                                tum bohat buri ho KHUSHI :zuban: (khushi ko kaha hai khushi ko nahin :pagal: )
                                :cc: ooper se guzer gaya.Kis ko keh rahe hain aap aur jis Khushi ko bhi keh rahe hain kyun keh rahe hain ye Sochanable point hai:mm:

                                Never trust blindly!!!!

                                _______________________________

                                _____________________________________________

                                Comment

                                Working...
                                X