Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Salauddien Ka Shahiri.

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Salauddien Ka Shahiri.

    Kaash Koi Samjha Daita ...

    Guftugo Ke Lamhon Main
    Dekh He Nahi Paatay
    Ham Tumharay Chehray Ko
    Tum Hamari Aankhon Ko
    Aaj Aisa Kartay Hain
    Chasm-o-lab Ko Parhtay Hain
    Baat Chor Datay Hain

    Jaane Kiya Lamha Hoga
    Jab Ye Hath Hathon Say
    Gar Kabhi Juda Hoga
    Aaj Aisa Kartay Hain
    Zabt-e-Jaan Parakhtay Hain
    Hath Chor Datay Hain

    Kash Koi Samjha Day
    Loag Kis Tarah Dil Ki
    Manzilain Alag Kar Kay
    Saath Chor Datay Hain
    Aaj Aisa Kartay Hain
    Bey-sabab Bikhartay Hain
    Zaat Taur Datay Hain...
    YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

    Comment


    • #17
      Re: Salauddien Ka Shahiri.

      Apne Haathon Se ...

      Apne Haatho Se Yun Chehre Ko Chupate Q Ho,
      Mujh Se Sharmate Ho To Saamne Atay Q Ho...

      Tum Kabhi Mere Tarha Kar Bhi Lo Ikraar-e-Wafa,
      Pyar Karte Ho To Phir Pyar Chupate Q Ho...

      Ashq Aankho Mein Mere Dekh K Rote Q Ho,
      Dil Bhar Aata Hai To Phir Dil Ko Dukhate Q Ho...

      In Se Vaabasta Hai Jab Mera Muqadar Phir ....!!!
      Mere Shano Se Ye Zulf Hatatay Q Ho......!!

      Roz Mar Mar K Mujhe Jeenay Ko Kehte Q Ho,
      Milne Aatay Ho To Phir Laut K Jatay Q Ho...

      Apne Haatho Se Yun Chehre Ko Chupate Q Ho,
      Mujh Se Sharmate Ho To Saamne Atay Q Ho...
      YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

      Comment


      • #18
        Re: Salauddien Ka Shahiri.

        Originally posted by Lexicon
        Tujhay Ishq Ho Khuda Karey..............

        Phir Khuda Tujhey Uss Say Juda Karey


        Tu Paa Kar Bhi Ussey Paa Na Sakey
        Tu Bichar Kar Bhi Uss Say Juraa Rahey

        Tu Uss Say Milnay Ki Dua Karey
        Wo Tujh Say Bicharney Pay Iktafa Karey

        Tu Keh Kar Bhi Khuch Keh Na Sakey
        Teri Choop Har Pal Aessi Sadaa Karey

        Tu Har Dam Zindagi Say Gilla Karey
        Teri Mot Tujh Say Khaafaa Rahay

        Tu Marney Ki Din Raat Dua Karey
        Mera Rabb Teri Umer Daraz Karey

        Terey Haath Bhi Khuch Yoon Khali Rahein
        Tera Daaman Khushiyon Say Bhara Rahay

        Teri Hasraton Ko Na Kahein Dawaam Miley
        Tujhay Musaraton Ka Ajnabi Jahaan Milay

        Terey Dard Ka Sehraa Bay Aab Rahay
        Tu Aanso Ki Ik Boond Ko Tarsaa Karey

        Na Kisi Ki Wafaa Say Tujhay Gharaz Rahay
        Na Kisi Ki Jafaa Par Tujhey Gilaa Rahay

        Mera Rabb Teri Khalwat Aabad Karey
        Tu Bhari Mehfil Mein Tanhaa Rahey

        Teri Tadbeer Ko Aesii Maat Milay
        Tu Ishq Ko Aqal Say Jooda Kahey

        Tujhay Ishq Mei Aesaa Arooj Milay
        Tu Pasti Mein Boolandi Say Baha Karey

        Mein Kahoon K Ishq Dhong Hay
        Tu Anal Haq Kehtey Mara Karey

        Tu Mizaaron Pay Jaa Jaa K Duaa Karay
        Tu Kutbon Pay Likhi Tehreer Parha Karay

        Merey Humnafas Hay Meri Yay Dua
        Raab Hamein Aesaa Dil Aataa Karey

        Jiss Mein Faqat Ussi Ka Ho Ziker Jaari
        Jiss Mein Hoobbay Mustafa(Saw) Rahay

        Mein Rahoon Na Rahoon Tu Rahay Na Rahay
        Yay Daastaan Ussi K Naam Say Zinda Rahay

        Jo Kuch Tha Merey Paas Nayaab Wo Sub Mein Nay Daan Kiya
        Bas Itni Si Hay Aarzoo Koi To Meri Bhi Maghfirat Ki Duaa Karey
        nice one:rose
        woh ban k aashk meri chasmay tar mei rayhta hay
        ajeeb shaks hay paani k ghar mei rayhta hay.........

        Comment


        • #19
          Re: Salauddien Ka Shahiri.

          thanks you ...
          YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

          Comment


          • #20
            Re: Salauddien Ka Shahiri.

            Us ko aana hai aur woo be-naqaab aayegaa
            Jab tamanaa pe mere shabaab aayegaa



            Zalimon ke pujarii kahaan jayengain
            Jab chamakataa howa aaftaab aayega



            Aaj kal mujhse woo baat karataa nahin
            Aur ab kyaa zamaanaa Kharaab aayegaa



            Rang layegaa jab Khoon mazloom kaa
            Woo zamaanaa bhii jaldii janaab aayegaa



            Saath us ke siwaa koii degaa nahin
            Jab Uss kaa zamaanaa Kharaab aayegaa
            YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

            Comment


            • #21
              Re: Salauddien Ka Shahiri.

              nice choice of poetry lexicom.......:D:
              sigpic


              Comment


              • #22
                Re: Salauddien Ka Shahiri.

                ... Aye ishq na chher aa k hamein ...
                ... Hum bhoole hoan ko yaad na kar ...
                ... Pehley he bohut nashaad hain hum ...
                ... Tu aur hamein nashaad na kar ...
                ... Qismat ka sitam he kam nahen kuch ...
                ... Yeh taaza sitam ijaad na kar ...
                ... Yon zulam na kar bedaad na kar ...
                ... Aye ishq hamein barbaad na kar ...


                ... Jis din se miley hain dono ka ...
                ... Sab chain gaya aaraam gaya ...
                ... Chehron se bahar-e-subha gaee ...
                ... Aakhon se farog-e-sham gaya ...
                ... Haathon se khushi ka jaan chhota ...
                ... Honton se hasi ka naam gaya ...
                ... Gumgeen na bana nashaad na kar ...
                ... Aye ishq hamein barbaad na kar ...



                ... Raaton ko uth uth ker rotey hain ...
                ... Ro ro k duwaein kertey hain ...
                ... Aankhon main tasawar dil main khalish ...
                ... Sar dhondhtey hain aahein bhertey hain ...
                ... Aye ishq yeh kaisa rog laga ...
                ... Jeetey hain na zalim martey hain ...
                ... Yeh zulm to aye jallaad na kar ...
                ... Aye ishq hamein barbaad na ker ...


                ... Ye rog laga hai jab se hamein ...
                ... Ranjida hon main bemaar hai woh ...
                ... Her waqt tapish her waqt khalish ...
                ... Bekhuwaab hon main bedaar hai woh ...
                ... Jeeney se idher bezaar hon main ...
                ... Marney pay udher tayyaar hai woh ...
                ... Aur zabt kahey faryaad na kar ...
                ... Aye ishq hamein barbaad na kar ...


                ... Bedard zara insaaf to ker ...
                ... Is umer main or magmoom hai woh ...
                ... Phoolon ki tarha nazuk hai abhi ...
                ... Taaron ki tarha masoom hai woh ...
                ... Ye husn sitam ye ranj gazab ...
                ... Majboor hon main mazloom hai woh ...
                ... Mazloom pay yon bebaad na kar ...
                ... Aye ishq hamein barbaad na kar ...
                ... Aye ishq khudara dekh kahein ...


                ... Woh shokh haseen badnaam na ho ...
                ... Woh mah-e-laqaa badnaam na ho ...
                ... Woh zohra-jabeen badnaam na ho ...
                ... Naam us ka us k pass rahey ...
                ... Woh parda-nasheen badnaam na ho ...
                ... Us parda-nasheen ko yaad na kar ...
                ... Aye ishq hamein barbaad na kar ...


                ... Umeed ki jhooti jannat k ...
                ... Reh reh k na dikhlana khuwaab hamein ...
                ... Aainda k farzi ishrat k ...
                ... Waadey se na kar betaab hamein ...
                ... Kehta hai zamana jis ko khushi ...
                ... Aati hai nazar kaamyaab hamein ...
                ... Chhor aisi khushi ko yaad na kar ...
                ... Aye ishq hamein barbaad na kar ...


                ... Do din he main ahad-e-tifali k ...
                ... Masoon zamaney bhool gaye ...
                ... Aankhon se woh khushiyan mit c gaein ...
                ... Lab k woh taraney bhool gaye ...
                ... Un pak behishti khuwaabon k ...
                ... Dilchasp fasaney bhool gaye ...
                ... Un khuwabon se yon azaad na kar ...
                ... Aye ishq hamein barbaad na kar ...


                ... Aakhon ko ye kiya aazaar huwa ...
                ... Her jazba-e-nihaan par ro dena ...
                ... Aahang-e-tarab pay jhuk jana ...
                ... Awaz-e-fugaan par ro dena ...
                ... Barbaat ki sada par ro dena ...
                ... Mutrib k bayaan par ro dena ...
                ... Ehsaas ko ghum buniyaad na kar ...
                ... Aye ishq hamein barbaad na kar ...


                ... Ji chahta hai ek dosrey ko ...
                ... Yon aath pahar hum karein ...
                ... Aakhon main basaein khuwabon ko ...
                ... Aur dil ko khayal abaad karein ...
                ... Khilwat main bhi jo jalwat ka samaan ...
                ... Wahadat ko duwa se shaad karein ...
                ... Yeh aarzoo ijaad na kar ...
                ... Aye ishq hamein barbaad na kar ...


                ... Woh raaz hai yeh ghum aah jissey ...
                ... Paa jaye to khair nahen ...
                ... Aankhon se jab aansoo behtey hain ...
                ... Aa jaye koi to khair nahen ...
                ... Zalim hai yeh duniya, dil ko yahan ...
                ... Bhaa jaye koi khair nahen ...
                ... Hai zulm magar faryaad na kar ...
                ... Aye ishq hamein barbaad na kar ...
                Love 4 Ever

                ... Duniya ka tamsha dekh liya ...
                ... Ghumgeen c hai betaab c hai ...
                ... Umeed yahan ek veham c hai ...
                ... Taskeen yahan ek khuwaab c hai ...
                ... Duniya main khushi ka naam nahen ...
                ... Duniya main khushi nayab c hai ...
                ... Duniya main khushi ko yaad na kar ...
                ... Aye ishq hamein barbaad na kar ...
                YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                Comment


                • #23
                  Re: Salauddien Ka Shahiri.

                  ~Teri Judai~
                  Teri Judai se kya kya na sikha hai
                  Pehle hasna aur phir rona sikha hai
                  ---------------------------------------------
                  ---------------------------------------------
                  Tujh hi se sab sikha hai
                  Dard mein hasna bhi
                  Teri judai se sikha hai
                  ---------------------------------------------
                  ---------------------------------------------
                  Logo se Mohabbat karna
                  logo ke dard ko apna samjhna bhi
                  Teri judai se sikha hai
                  ---------------------------------------------
                  ---------------------------------------------
                  Dard sahna, dard mein muskrana Aur
                  Tanhai main rona bhi
                  Teri judai se sikha hai
                  ---------------------------------------------
                  ---------------------------------------------
                  Har waqt tarapna
                  Raaton ko uth uth ke rona bhi
                  Teri judai se sikha hai
                  ---------------------------------------------
                  ---------------------------------------------
                  Teri judai se kya kya na sikha hai
                  "Tariq" nai pehle hasna aur phir rona sikha hai
                  YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                  Comment


                  • #24
                    Re: Salauddien Ka Shahiri.

                    Kyun pyaar us par hi aata hai,
                    Jo mil kar bhi naa mil pata hai.
                    Kaise yeh usse batayein hum,
                    Tujh bin rah na paayein hum.

                    Kyun baar baar woh satata hai -
                    Kuwaabon main aakar rulata hai?
                    Bhulanaa us ko chahein hum,
                    Par kis tarah bhulaayein hum?

                    Woh mann main har dum rahta hai,
                    Dharkan ki tarah dharkta hai.
                    Hain issi ehsaas se zindaa hum,
                    Hain ek-duje ke dil o jaan hum.

                    Ek duje ke dil main rahte hain -
                    Kya pyaar issi ko kahte hain?
                    YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                    Comment


                    • #25
                      YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                      Comment


                      • #26
                        Re: Salauddien Ka Shahiri.

                        YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                        Comment


                        • #27
                          Re: Salauddien Ka Shahiri.

                          Shukriya .......

                          Comment


                          • #28
                            Re: Salauddien Ka Shahiri.

                            Originally posted by Salauddien Mengal View Post
                            Aslamolekum..

                            This Is my New Thread,,

                            MERE NASEEB KA SITARA




                            Kahan chhupa hai kahan hai roshan
                            Kahan pe aakhir woh kho gaya hai
                            Main dhoondti hoon zameen pe uss ko
                            Magar woh ambar pe so gaya hai


                            MERE NASEEB KA SITARA

                            Dil mein basay hain sawal kitnay
                            Har ik sawal uss se poochna hai
                            Ufaq pe roshan hain kitnay taray
                            Magar faqat mujh ko dhoondna hai


                            MERE NASEEB KA SITARA

                            Adhoori si hai yeh zaat meri
                            Hayaat meri hai namukammal
                            Woh aa k mujh ko samait le ga
                            Karay ga mujh ko wohi mukammal


                            MERE NASEEB KA SITARA

                            Fikr mein kaati hain kitni raatien
                            Magar kyun mujh ko nahi hai dikhta
                            Main uss se har waqt rahun mukhatib
                            Woh mujh se baatien nahi hai karta


                            MERE NASEEB KA SITARA

                            Udas aankhon mein neend de kar
                            Woh mere sapnay sanvaarta hai
                            Woh apnay aanay ki aas de kar
                            Mere junoon ko ubhaarta hai


                            MERE NASEEB KA SITARA

                            Woh jald aa k milay ga mujh se
                            Bus is umeed ka hai sahara
                            Hazar khushian hain uss pe waari
                            Hai mujh ko duniya mein sab se pyara




                            VERY NICE:rose




                            Comment


                            • #29
                              Re: Salauddien Ka Shahiri.



                              :tauba :kr: :kr:

                              Comment


                              • #30
                                Re: Salauddien Ka Shahiri.

                                Good
                                Zindgi iss baar mera naam na shamil krna
                                Agur ye tae hai ke yahi khail rahe ga

                                Comment

                                Working...
                                X