Galiyun se meri tum ne guzar ker nahin dekha
Gham ye hai k khushiyun ne mera ghar nahin dekha
Mehroom hai woh pyar ki daulat se abhi tak
Dil jis ne kahin apna laga ker nahin dekha
Gumnaam hai woh phool gulistaan-e-jahan main
Khushboo ki tarha jis ne bikher ker nahin dekha
Aaiine faqat us ki tasalli k liye hain
Dulhan ki tarah jis ne sanwar ker nahin dekha
Yeh sach hai mera qatal sar-e-aam hai
Kis ka tha mere peat main khanjer nahin dekha
Dil cheer ker nikle hain yeh ashaar mere
Afsoos inhein aap ne perh ker nahin dekha

Comment