:rose
Kuch bhi tu nahi waisa
jasa tujhay soucha tha
jitna tujhay chaha tha
kuch harf duaon kay, kuch phool wafaoon kay
mehkaay gay meri khatir
kuch bhi tu nahi wasa
jasa tujhay soucha tha
mehsoos ya hota ha dukh jhailay thay jo ab tak
bay naam musafat ma
likhnay ki muhbat mai, parhnay ki zaroort ma
bay sood riyazat thi, bay faiz ibadat thi
jo khawab bhi dekhay thay
un jagti ankho na
sab khaaam khiyali thi
phir bhi tujhay panay ki dil ka kesi goshay ma
khawahish tu bacha lie thi
lakin tujhay pa kar bhi aur khud ko gawan kar bhi
uss haabs ka mousam ki khirki se hawa aiy
na phoool se khushboo ki koi bhi sada aiy
abb na neend ha ankhon ma
na dill ma woh pehli c tazah sukhun aaraie
na lafz meray niklay na harf o mauni ki
danish meray kam aiy
nadidah rafaqat mai jitni bhi aziyat thi
sab meray hi naam aiy
kuch bhi tu nahi wasa
jasa tujhay soucha tha
jitna tujhay chaha tha
kuch bhi tu nhi wasa
:rose
Comment