Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Suna hai......

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Suna hai......

    last time complite post na thi i hope ab ke koi shikayat na hogi..:)




    Suna Hai Log Ussey Aankh bhar ke dekhtey hain
    So Uss ke Sheher mein kuch din theher ke dekhte
    hain

    Suna hai bole to baaton se phool jhartey hain
    yeh baat hai to chalo baat kar ke dekhtey hain

    Suna hai Raat ko ussey Titliyaan satati hai
    Suna hai Raat ko Jugnoo theher ke dekhtey hain

    Suna hai uss ke badan ki taraash aisi hai
    ke phool apni qabaaein katar ke dekhtey hain

    Rukey to gardishein uss ka tawaaf karti hain
    chaley to uss ko zamaaney theher ke dekhtey hain

    Kissey naseeb ke be-pairahan ussey dekhey
    kabhi kabhi dar-o-deewaar ghar ke dekhtey hain

    kahaaniyaan hi sahi , sab mubaalghey hi sahi
    agar woh khawaab hai , Taabeer kar ke dekhtey hain

    Judaaiyan to muqadder hai phir bhi jaan-e-safar
    kuch aur door zara saath chal ke dekhtey hain

    Tu samne hai tou phir kyon yaqeen nahin aata
    ye baar baar jo aankhon ko mal ke dekhtey hain

    yeh kaun log hain maujood teri mehfil mein
    jo Laalachon se Tujhey ....Mujh ko jal ke dekhtey hain

    Na tujh ko maat hui hai na mujh ko maat hui
    So Ab ke donon hi chaalein badal ke dekhtey hain

    Bahot dinon se nahin hai kuch Uss ki khair khabar
    chalo zamane walo, Aey Yaar chal ke dekhtey hain

    ===
    :salam:

  • #2
    Re: Suna hai......

    Mehak nai mujhay aik Mobile Gift karna thhhaaaa
    Chalo aik maheen intizaar kar k dekhtay hain.

    Comment


    • #3
      Re: Suna hai......

      nice work thanks for shairing...
      YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

      Comment


      • #4
        Re: Suna hai......

        Assalamoalaikum,
        Mehek apki sharing bohut achi hai lekin merey pass bhi ye ghazal hai or wo kuch diff. hai :blush: mein share ker deti hon


        Sunaa hai log usey aaNkh bhar k dekhte hain
        so us k shahar mein kuch din Thahar k dekhte hain

        Sunaa hai rabt hai usko Kharaab haalon se
        so apne aap ko barbaad kar k dekhte hain

        Sunaa hai dard ki gaahak hai chashm-e-naazuk uski
        so hum bhi uski gali se guzar kar dekhte hain

        Sunaa hai usko bhii hai sher-o-shaayarii se shagaf
        so hum bhii maujaze apne hunar k dekhte hain

        Sunaa hai bole to baaton se phuul jhaDte hain
        ye baat hai to chalo baat kar k dekhte hain

        Sunaa hai raat usey chaaNd taktaa rahtaa hai
        sitaare baam-e-falak se utar kar dekhte hain

        Sunaa hai hashr hain uskii Ghazal sii aaNkhein
        sunaa hai usko hiran dasht bhar k dekhte hain

        Sunaa hai din ko usey titliyaaN sataatii hain
        sunaa hai raat ko jugnuu Thahar k dekhte hain

        Sunaa hai raat se baDh kar hain kaakulein us kii
        sunaa hai shaam ko saaye guzar k dekhte hain

        Sunaa hai uskii siyaah chashmagii qayaamat hai
        so usko surmaafarosh aaNkh bhar k dekhte hain

        Sunaa hai us k labon se gulaab jalte hain
        so hum bahaar par ilzaam dhar k dekhte hain

        Sunaa hai aaiinaa tamasaal hai jabiin uskaa
        jo saadaa dil hain ban saNvar k dekhte hain

        Sunaa hai jab se hamaail hain us kii gardan mein
        mizaaj aur hii laal-o-gauhar k dekhte hain

        Sunaa hai chashm-e-tasavvur se dasht-e-imkaan mein
        palang zaave us kii kamar k dekhte hain

        Sunaa hai us k badan ki taraash aise hai
        k phuul apnii qabaaeiN katar k dekhte hain

        Wo sarv-qad hai magar be-gul-e-muraad nahii
        k us shajar pe shaguufe samar k dekhte hain

        Bas ek nigaah se luTtaa hai qaafilaa dil kaa
        so rah-ravaan-e-tamannaa bhii Dar k dekhte hain

        Sunaa hai us k shabistaan se muttasil hai bahisht
        makiin udhar k bhii jalve idhar k dekhte hain

        Rukey to gardishein uskaa tavaaf kartii hain
        chale to usko zamaane Thahar k dekhte hain

        Kise nasiib k be-pairahan use dekhey
        kabhii kabhii dar-o-diivaar ghar k dekhte hain

        KahaniyaN hii sahii sab mubaalGey hii sahii
        agar vo Khvaab hai,taabiir kar k dekhte hain

        Ab us k shehar mein Thahrein k kuch kar jaayeN
        "Faraz" aao sitaare safar k dekhte hain



        Last edited by Madiha kanwal; 19 June 2006, 13:00.

        Comment


        • #5
          Re: Suna hai......

          Wow bohat khoob

          Comment


          • #6
            Re: Suna hai......

            nice Piece Of Work

            Comment


            • #7
              Re: Suna hai......

              Originally posted by a man of letters
              Mehak nai mujhay aik Mobile Gift karna thhhaaaa
              Chalo aik maheen intizaar kar k dekhtay hain.
              dekhlo...:D

              Comment


              • #8
                Re: Suna hai......

                Originally posted by Madihak
                Assalamoalaikum,
                Mehek apki sharing bohut achi hai lekin merey pass bhi ye ghazal hai or wo kuch diff. hai :blush: mein share ker deti hon


                Sunaa hai log usey aaNkh bhar k dekhte hain
                so us k shahar mein kuch din Thahar k dekhte hain

                Sunaa hai rabt hai usko Kharaab haalon se
                so apne aap ko barbaad kar k dekhte hain

                Sunaa hai dard ki gaahak hai chashm-e-naazuk uski
                so hum bhi uski gali se guzar kar dekhte hain

                Sunaa hai usko bhii hai sher-o-shaayarii se shagaf
                so hum bhii maujaze apne hunar k dekhte hain

                Sunaa hai bole to baaton se phuul jhaDte hain
                ye baat hai to chalo baat kar k dekhte hain

                Sunaa hai raat usey chaaNd taktaa rahtaa hai
                sitaare baam-e-falak se utar kar dekhte hain

                Sunaa hai hashr hain uskii Ghazal sii aaNkhein
                sunaa hai usko hiran dasht bhar k dekhte hain

                Sunaa hai din ko usey titliyaaN sataatii hain
                sunaa hai raat ko jugnuu Thahar k dekhte hain

                Sunaa hai raat se baDh kar hain kaakulein us kii
                sunaa hai shaam ko saaye guzar k dekhte hain

                Sunaa hai uskii siyaah chashmagii qayaamat hai
                so usko surmaafarosh aaNkh bhar k dekhte hain

                Sunaa hai us k labon se gulaab jalte hain
                so hum bahaar par ilzaam dhar k dekhte hain

                Sunaa hai aaiinaa tamasaal hai jabiin uskaa
                jo saadaa dil hain ban saNvar k dekhte hain

                Sunaa hai jab se hamaail hain us kii gardan mein
                mizaaj aur hii laal-o-gauhar k dekhte hain

                Sunaa hai chashm-e-tasavvur se dasht-e-imkaan mein
                palang zaave us kii kamar k dekhte hain

                Sunaa hai us k badan ki taraash aise hai
                k phuul apnii qabaaeiN katar k dekhte hain

                Wo sarv-qad hai magar be-gul-e-muraad nahii
                k us shajar pe shaguufe samar k dekhte hain

                Bas ek nigaah se luTtaa hai qaafilaa dil kaa
                so rah-ravaan-e-tamannaa bhii Dar k dekhte hain

                Sunaa hai us k shabistaan se muttasil hai bahisht
                makiin udhar k bhii jalve idhar k dekhte hain

                Rukey to gardishein uskaa tavaaf kartii hain
                chale to usko zamaane Thahar k dekhte hain

                Kise nasiib k be-pairahan use dekhey
                kabhii kabhii dar-o-diivaar ghar k dekhte hain

                KahaniyaN hii sahii sab mubaalGey hii sahii
                agar vo Khvaab hai,taabiir kar k dekhte hain

                Ab us k shehar mein Thahrein k kuch kar jaayeN
                "Faraz" aao sitaare safar k dekhte hain




                nice sharing:salam:
                Last edited by mahek; 20 June 2006, 15:22.

                Comment


                • #9
                  Re: Suna hai......

                  nahi mujy to kabi nahi dekha kisi ny aisiy...:mm:

                  Comment


                  • #10
                    Re: Suna hai......

                    It's fantastic piece of poetry Mehak..
                    wese kiya aap PKF wali Mehak hain???


                    Never trust blindly!!!!

                    _______________________________



                    _____________________________________________

                    Comment


                    • #11
                      Re: Suna hai......

                      Originally posted by Khalil
                      nahi mujy to kabi nahi dekha kisi ny aisiy...:mm:
                      haan ye mein bhi suna hai..:kr:

                      Comment


                      • #12
                        Re: Suna hai......

                        aahaan nice 1

                        Comment


                        • #13
                          Re: Suna hai......

                          second one is also good..
                          YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                          Comment


                          • #14
                            Re: Suna hai......

                            Originally posted by Khushi
                            It's fantastic piece of poetry Mehak..
                            wese kiya aap PKF wali Mehak hain???
                            PKF kya hai ?:cc:

                            Comment


                            • #15
                              Re: Suna hai......

                              Thanx 4 liking and reply..

                              Comment

                              Working...
                              X