last time complite post na thi i hope ab ke koi shikayat na hogi..:)
Suna Hai Log Ussey Aankh bhar ke dekhtey hain
So Uss ke Sheher mein kuch din theher ke dekhte
hain
Suna hai bole to baaton se phool jhartey hain
yeh baat hai to chalo baat kar ke dekhtey hain
Suna hai Raat ko ussey Titliyaan satati hai
Suna hai Raat ko Jugnoo theher ke dekhtey hain
Suna hai uss ke badan ki taraash aisi hai
ke phool apni qabaaein katar ke dekhtey hain
Rukey to gardishein uss ka tawaaf karti hain
chaley to uss ko zamaaney theher ke dekhtey hain
Kissey naseeb ke be-pairahan ussey dekhey
kabhi kabhi dar-o-deewaar ghar ke dekhtey hain
kahaaniyaan hi sahi , sab mubaalghey hi sahi
agar woh khawaab hai , Taabeer kar ke dekhtey hain
Judaaiyan to muqadder hai phir bhi jaan-e-safar
kuch aur door zara saath chal ke dekhtey hain
Tu samne hai tou phir kyon yaqeen nahin aata
ye baar baar jo aankhon ko mal ke dekhtey hain
yeh kaun log hain maujood teri mehfil mein
jo Laalachon se Tujhey ....Mujh ko jal ke dekhtey hain
Na tujh ko maat hui hai na mujh ko maat hui
So Ab ke donon hi chaalein badal ke dekhtey hain
Bahot dinon se nahin hai kuch Uss ki khair khabar
chalo zamane walo, Aey Yaar chal ke dekhtey hain
===
:salam:

Comment