Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~~maa~~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ~~maa~~

    Assalamualaikum Members


  • #2
    Re: ~~maa~~

    Originally posted by jums
    Assalamualaikum Members
    W salaam,


    Jums bhai ager meri baat maanien to isska font colour change kerdein kyoon ke isse perhnien mien dikat ho rahi hai saaf dikh nahin raha kuch dont mind it plzzzz waise yeh kalaam maan ke liye hai aur mujhe yaqeen hai ke maan jaisi shakhsiyat ke liye ager kuch kahaa jaaye to woh kam hoogaa :) aapki peshkash bhi yaqeenan laajwaab hoogi khush rahien
    :tang: RISK IS MY BUSINESS

    DANGER IS MY GAME

    DONT PLAY WITH ME
    BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

    Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

    Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

    Comment


    • #3
      Re: ~~maa~~

      wow nice........maa to jeez hi aisi hai farishta hai,,,,,,,meri mama bhi doosri maoun ki tarha duniya ki sub se greate mama hai .....

      Comment


      • #4
        Re: ~~maa~~

        font nahi parha ja raha sirf kuch lafz parh saki houn :(
        اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
        اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

        Comment


        • #5
          Re: ~~maa~~

          Originally posted by Aanchal
          font nahi parha ja raha sirf kuch lafz parh saki houn :(
          Hairat hai Aanchal jee mujhe tu saaf nazar aaraha hai... khair mei kohsish karonga change karnay ki... :)

          Comment


          • #6
            Re: ~~maa~~

            Originally posted by jums
            Assalamualaikum Members
            awesome sharing hai :)
            really maa sy zada acha rishta aur koi ho he nahe sakta
            thankx 4 sharing

            Comment


            • #7
              Re: ~~maa~~

              Bohat acchi sharing :)
              http://www.genericviagra2015shop.com/

              Comment


              • #8
                Re: ~~maa~~

                MAA KIYA HAI

                samander ne kaha ! maa aik aisy hasti hai
                jo aulaad ke lakhoon raaz seenai main chupa laitti hai

                badal ne kaha ! maa aik dhanak hai jis main her rang nomaya hotta hai

                shaier ne kaha ! maa aik aisy ghazal hai jo sunne walay ke seenay main uttar jatti hai

                musannif ne kaha! maa woh hasti hai jiski tareef ke liyeh duniya mian alfaaz naheen miltte

                dua ne kaha ! maa woh shaksiyat hai jo her waqt apni aulaad ke liyeh khush hali ki dua mangti hai

                jannat ne kaha ! maa main woh hasti hai ke main bhi is ke qadmoon talay hoon

                KHUDA ne kaha ! maa meri taraf se qeemti aur nayaab tohfa hai

                maine kaha ! ke mujhe maa aur phool main koi farak nazar naheen aata
                MAA TO AZEEM HAI

                Comment


                • #9
                  Maa Maa

                  MERE IZAT MERA MAQAM MERA WAQAR
                  MERE HASSI MERE KHUSHI MERA BACHPAN
                  SAB TUMHAIN HOO BASS SAB TUMHAIN HOO TUM HI NAY DI HAIN MUJH KO SARI KHUSHAIN
                  TUM HI NAY SIKHAYA MUJH KO HAR HAR KAAM MAIN JO HOON AAJ TUM SAY HOON
                  MAIN JO THI KAL TUM SAY THI
                  TUM NAY AUNGLI PAKAR KAR CHALAYA MUJH KOO
                  IS MAQAM TAK PAUHCHAYA MUJH KOO
                  MUJHAY AITAYMAAD DIYA TUM NAY
                  MUJH KO HAR KHUSHI DII TUM NAY
                  MAIN KITNA CHAHITE HOON TUMHAIN KABHI BATA NAHIEN SAKTI
                  MAGAR ITNA ZAROOR KAH SAKTI HOON KAY
                  IS DUNIYA MAIN SAB SAY PAYARI HOO TUM MUJHAY
                  TUM GULL KAY LIYA GULISTAN HOO IS KAINAAT MAIN .

                  Comment


                  • #10
                    Re: ~~maa~~

                    MAA KI QADAR

                    Jab Tu Peda Howa Kitna Majbour Tha

                    Yeh Jahan Teri Socho Se Bhi Dour Tha

                    Hath Paon Bhi Tab Tere Apne Na The
                    Teri Ankhon Main Duniya Ke Sapne Na The

                    Tujh Ko Ata Tha Sirf Rona Hi Tha
                    Doodh Pe Ke Kaam Tera Sona Hi Tha

                    Tujh Ko Chalna Sikhaya Tha Maan Ne Teri
                    Tujh Ko Dil Main Basaya Tha Maan Ne Teri

                    Maan Ke Saye Main Parwan Chalne Laga
                    Waqt Ke Sath Qad Tera Barne Laga

                    Ahista Ahista Tu Kariyal Jawan Ho Giya
                    Tujh Pe Sara Jahan Mehrban Ho Giya

                    Zor Bazoo Pe Tu Baat Karne Laga
                    Khood Hi Sajne Laga Khood Hi Sanwarne Laga

                    Aik Din Ik Haseena Tujhe Bha Gayi
                    Ban Ke Dulhan Woh Tere Ghar Agayi

                    Farz Apne Se Tu Dour Hone Laga
                    Bij Nafrat Ka Khood Hi Tu Bone Laga

                    Pheer Tu Maan Baap Ko Bhi Bhulane Laga
                    Teer Bato Ke Pheer Tu Chalane Laga

                    Baat Be Baat Unn Se Tu Ladne Laga
                    Qayda Ik Naya Tu Pheer Padne Laga

                    Yaad Kar Tujh Se Maan Ne Kaha Ik Din
                    Abb Humara Guzara Nahi Tere Bin

                    Sunn Ke Yeh Baat Tu Tesh Main Agiya
                    Tera Gussa Teri Aqal Ko Kha Giya

                    Josh Main Aake Tu Ne Yeh Maan Se Kaha
                    Main Tha Khamosh Sub Dekhta Hi Raha

                    Aaj Kehta Hoon Peecha Mera Chor Do
                    Jo Hai Rishta Mera Tum Se Woh Tor Do

                    Jao Ja Ke Kahin Kaam Dhanda Karo
                    Log Marte Hain Tum Bhi Kahin Ja Maro

                    Beth Kar Ahain Bharte The Woh Raat Bhar
                    Inki Ahon Ka Tujh Par Howa Na Asar

                    Aik Din Baap tera Chala Roth Kar
                    Kese Bikhri Thi Pheer Teri Maan Tout Kar

                    Pheer Woh Be Bass Ajal Ko Bhulati Rahi
                    Zindagi Isko Har Roz Satati Rahi

                    Aik Din Mout Ko Bhi Taras Agiya
                    Iska Rona Bhi Taqdeer Ko Bha Giya

                    Ashk Ankhon Main The Woh Rawana Howi
                    Mout Ki Aik Hichki Bhana Howi

                    Ik Sukoon Isk Chehre Pe Chane Laga
                    Pheer Tu Mayyat Ko Iski Sajane Laga

                    Muddatain Ho Gayi Aaj Buda Hai Tu
                    Jo Para Touti Khatiya Pe Kora Hai Tu

                    Tere Bache Bhi Abb Tujh Se Darte Nahi
                    Nafrate Hain Muhabbat Woh Karte Nahi

                    Dard Main Tu Pukare Ke O MERI MAAN
                    TERE DAM SE ROSHAN THE DONO JAHAN

                    Waqt Chalta Rahe Waqt Rukta Nahi
                    Tout Jata Hai Woh Jo Ke Jhukta Nahi

                    Bann Ke Ibrat Ka Tu Abb Nishan Reh Giya
                    Dhonde Zor Tera Kahan Reh Giya

                    Tu EHKAM-E-RABBI Bhulata Raha
                    APNE MAAN BAAP KO TU SATATA RAHA

                    Kaat Le Tu Wohi Tu Ne Boya Tha Jo
                    Tujh Ko Kese Mile Tu Ne Khoya Tha Jo

                    Yaad Kar Ke Giya Dor Rone Laga
                    Kal Jo Tu Ne Kiya Aaj Hone Laga

                    Mout Mange Tujhe Mout Aati Nahi
                    Maan Ki Surat Nigahon Se Jati Nahi

                    Tu Jo Khanse Tu Aulad Dante Tujhe
                    Tu Hai Nasoor Sukh Kon Bante Tujhe

                    Mout Ayegi Tujh Ko Magar Waqt Par
                    Bann Hi Jaye Gi Qabar Teri Waqt Par

                    QADAR MAAN BAAP KI AGAR KOI JAAN LE
                    APNI JANNAT KO DUNIYA MAIN PEHCHAN LE

                    Aur Leta Rahe Woh Baro Ki Dua
                    Is Ke Dono Jahan Iska Ka Haami KHUDA


                    Yaad Rakhna Tu Sha-ir Ki Is Baat Ko
                    Bhool Na Jana REHMAT KI BARSAT Ko

                    Comment


                    • #11
                      Re: ~~maa~~

                      Ami Kay Naam...

                      Zindagi ki tapti dhoop mai ek thanda saya paya hai mai ne
                      Jab kholi aankh to apni maa ko muskorata howa paya hai mai ne

                      Jab bhi maa ka naam liya,
                      os ka beshomaar pyar paya hai mai ne

                      Jab koi dard mehsoos howa, jab koi mushkil aayi
                      Apne pehlo mai apni maa ko paya hai mai ne

                      Jaagti rahi who raat bhar mere liye
                      Jaane kitni raatein, osay jagaya hai mai ne

                      Zindagi ke har mor par, jab howi gumrah mai
                      Iski hidaayat par, pakarli seedhi raah mai ne

                      Jis ki dua se har moseebat loat jaye,
                      aisa farishta paya hai mai ne

                      meri har fiker ko janne wali,
                      mere jazbaaton ko pehcanne wali,
                      aisi hasti payi hai mai ne

                      Meri zindagi sirf meri maa hai,
                      Isi ke liye to,
                      Is zindagi ki shama jala rakkhi hai mai ne

                      Comment


                      • #12
                        Re: ~~maa~~

                        Ammi Yaad AAti ho Bohat...


                        Meri ammi ko bulaa de koi
                        Warna mujhko hi sulaa de koi

                        Mujhko bistar ki to aadat hi nahin
                        Apni godi main jhulaa de koi

                        Shayad aa jaayen wo rona sunkar
                        Mujhko bewajah rulaa de koi

                        Mainey kayee roz se nahin khaya
                        Us mohabbat se khilaa de koi

                        Mujhko khwaahish nahin miley duniya
                        Mujhko ammi se milaa de koi


                        Comment


                        • #13
                          Re: ~~maa~~

                          Jis jagah meri ammi maujood nahin hon

                          Jis jagah meri ammi maujood nahin hon
                          Kuchh bhi ho wo ghar nahin ho sakta hai mera

                          Darvaazey pe jiskey wo meri raah na dekhein
                          Kuchh bhi ho wo dar nahin ho sakta hai mera

                          Ammi ki baat sunkar jo khud se na jhukey
                          Kuchh bhi ho wo sar nahin ho sakta hai mera

                          Comment


                          • #14
                            Re: ~~maa~~

                            **********************************
                            Attached Files

                            Comment


                            • #15
                              Re: ~~maa~~

                              wow nice
                              "Do Not Wish For Less Problems, Always Wish For More Skills"

                              Comment

                              Working...
                              X