Assalamualaikum Members
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
~~maa~~
Collapse
X
-
Re: ~~maa~~
Originally posted by jumsAssalamualaikum Members
Jums bhai ager meri baat maanien to isska font colour change kerdein kyoon ke isse perhnien mien dikat ho rahi hai saaf dikh nahin raha kuch dont mind it plzzzz waise yeh kalaam maan ke liye hai aur mujhe yaqeen hai ke maan jaisi shakhsiyat ke liye ager kuch kahaa jaaye to woh kam hoogaa :) aapki peshkash bhi yaqeenan laajwaab hoogi khush rahien:tang: RISK IS MY BUSINESS
DANGER IS MY GAME
DONT PLAY WITH ME
BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:
Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe
Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe
-
-
-
Re: ~~maa~~
MAA KIYA HAI
samander ne kaha ! maa aik aisy hasti hai
jo aulaad ke lakhoon raaz seenai main chupa laitti hai
badal ne kaha ! maa aik dhanak hai jis main her rang nomaya hotta hai
shaier ne kaha ! maa aik aisy ghazal hai jo sunne walay ke seenay main uttar jatti hai
musannif ne kaha! maa woh hasti hai jiski tareef ke liyeh duniya mian alfaaz naheen miltte
dua ne kaha ! maa woh shaksiyat hai jo her waqt apni aulaad ke liyeh khush hali ki dua mangti hai
jannat ne kaha ! maa main woh hasti hai ke main bhi is ke qadmoon talay hoon
KHUDA ne kaha ! maa meri taraf se qeemti aur nayaab tohfa hai
maine kaha ! ke mujhe maa aur phool main koi farak nazar naheen aata
MAA TO AZEEM HAI
Comment
-
Maa Maa
MERE IZAT MERA MAQAM MERA WAQAR
MERE HASSI MERE KHUSHI MERA BACHPAN
SAB TUMHAIN HOO BASS SAB TUMHAIN HOO TUM HI NAY DI HAIN MUJH KO SARI KHUSHAIN
TUM HI NAY SIKHAYA MUJH KO HAR HAR KAAM MAIN JO HOON AAJ TUM SAY HOON
MAIN JO THI KAL TUM SAY THI
TUM NAY AUNGLI PAKAR KAR CHALAYA MUJH KOO
IS MAQAM TAK PAUHCHAYA MUJH KOO
MUJHAY AITAYMAAD DIYA TUM NAY
MUJH KO HAR KHUSHI DII TUM NAY
MAIN KITNA CHAHITE HOON TUMHAIN KABHI BATA NAHIEN SAKTI
MAGAR ITNA ZAROOR KAH SAKTI HOON KAY
IS DUNIYA MAIN SAB SAY PAYARI HOO TUM MUJHAY
TUM GULL KAY LIYA GULISTAN HOO IS KAINAAT MAIN .
Comment
-
Re: ~~maa~~
MAA KI QADAR
Jab Tu Peda Howa Kitna Majbour Tha
Yeh Jahan Teri Socho Se Bhi Dour Tha
Hath Paon Bhi Tab Tere Apne Na The
Teri Ankhon Main Duniya Ke Sapne Na The
Tujh Ko Ata Tha Sirf Rona Hi Tha
Doodh Pe Ke Kaam Tera Sona Hi Tha
Tujh Ko Chalna Sikhaya Tha Maan Ne Teri
Tujh Ko Dil Main Basaya Tha Maan Ne Teri
Maan Ke Saye Main Parwan Chalne Laga
Waqt Ke Sath Qad Tera Barne Laga
Ahista Ahista Tu Kariyal Jawan Ho Giya
Tujh Pe Sara Jahan Mehrban Ho Giya
Zor Bazoo Pe Tu Baat Karne Laga
Khood Hi Sajne Laga Khood Hi Sanwarne Laga
Aik Din Ik Haseena Tujhe Bha Gayi
Ban Ke Dulhan Woh Tere Ghar Agayi
Farz Apne Se Tu Dour Hone Laga
Bij Nafrat Ka Khood Hi Tu Bone Laga
Pheer Tu Maan Baap Ko Bhi Bhulane Laga
Teer Bato Ke Pheer Tu Chalane Laga
Baat Be Baat Unn Se Tu Ladne Laga
Qayda Ik Naya Tu Pheer Padne Laga
Yaad Kar Tujh Se Maan Ne Kaha Ik Din
Abb Humara Guzara Nahi Tere Bin
Sunn Ke Yeh Baat Tu Tesh Main Agiya
Tera Gussa Teri Aqal Ko Kha Giya
Josh Main Aake Tu Ne Yeh Maan Se Kaha
Main Tha Khamosh Sub Dekhta Hi Raha
Aaj Kehta Hoon Peecha Mera Chor Do
Jo Hai Rishta Mera Tum Se Woh Tor Do
Jao Ja Ke Kahin Kaam Dhanda Karo
Log Marte Hain Tum Bhi Kahin Ja Maro
Beth Kar Ahain Bharte The Woh Raat Bhar
Inki Ahon Ka Tujh Par Howa Na Asar
Aik Din Baap tera Chala Roth Kar
Kese Bikhri Thi Pheer Teri Maan Tout Kar
Pheer Woh Be Bass Ajal Ko Bhulati Rahi
Zindagi Isko Har Roz Satati Rahi
Aik Din Mout Ko Bhi Taras Agiya
Iska Rona Bhi Taqdeer Ko Bha Giya
Ashk Ankhon Main The Woh Rawana Howi
Mout Ki Aik Hichki Bhana Howi
Ik Sukoon Isk Chehre Pe Chane Laga
Pheer Tu Mayyat Ko Iski Sajane Laga
Muddatain Ho Gayi Aaj Buda Hai Tu
Jo Para Touti Khatiya Pe Kora Hai Tu
Tere Bache Bhi Abb Tujh Se Darte Nahi
Nafrate Hain Muhabbat Woh Karte Nahi
Dard Main Tu Pukare Ke O MERI MAAN
TERE DAM SE ROSHAN THE DONO JAHAN
Waqt Chalta Rahe Waqt Rukta Nahi
Tout Jata Hai Woh Jo Ke Jhukta Nahi
Bann Ke Ibrat Ka Tu Abb Nishan Reh Giya
Dhonde Zor Tera Kahan Reh Giya
Tu EHKAM-E-RABBI Bhulata Raha
APNE MAAN BAAP KO TU SATATA RAHA
Kaat Le Tu Wohi Tu Ne Boya Tha Jo
Tujh Ko Kese Mile Tu Ne Khoya Tha Jo
Yaad Kar Ke Giya Dor Rone Laga
Kal Jo Tu Ne Kiya Aaj Hone Laga
Mout Mange Tujhe Mout Aati Nahi
Maan Ki Surat Nigahon Se Jati Nahi
Tu Jo Khanse Tu Aulad Dante Tujhe
Tu Hai Nasoor Sukh Kon Bante Tujhe
Mout Ayegi Tujh Ko Magar Waqt Par
Bann Hi Jaye Gi Qabar Teri Waqt Par
QADAR MAAN BAAP KI AGAR KOI JAAN LE
APNI JANNAT KO DUNIYA MAIN PEHCHAN LE
Aur Leta Rahe Woh Baro Ki Dua
Is Ke Dono Jahan Iska Ka Haami KHUDA
Yaad Rakhna Tu Sha-ir Ki Is Baat Ko
Bhool Na Jana REHMAT KI BARSAT Ko
Comment
-
Re: ~~maa~~
Ami Kay Naam...
Zindagi ki tapti dhoop mai ek thanda saya paya hai mai ne
Jab kholi aankh to apni maa ko muskorata howa paya hai mai ne
Jab bhi maa ka naam liya,
os ka beshomaar pyar paya hai mai ne
Jab koi dard mehsoos howa, jab koi mushkil aayi
Apne pehlo mai apni maa ko paya hai mai ne
Jaagti rahi who raat bhar mere liye
Jaane kitni raatein, osay jagaya hai mai ne
Zindagi ke har mor par, jab howi gumrah mai
Iski hidaayat par, pakarli seedhi raah mai ne
Jis ki dua se har moseebat loat jaye,
aisa farishta paya hai mai ne
meri har fiker ko janne wali,
mere jazbaaton ko pehcanne wali,
aisi hasti payi hai mai ne
Meri zindagi sirf meri maa hai,
Isi ke liye to,
Is zindagi ki shama jala rakkhi hai mai ne
Comment
-
Re: ~~maa~~
Ammi Yaad AAti ho Bohat...
Meri ammi ko bulaa de koi
Warna mujhko hi sulaa de koi
Mujhko bistar ki to aadat hi nahin
Apni godi main jhulaa de koi
Shayad aa jaayen wo rona sunkar
Mujhko bewajah rulaa de koi
Mainey kayee roz se nahin khaya
Us mohabbat se khilaa de koi
Mujhko khwaahish nahin miley duniya
Mujhko ammi se milaa de koi
Comment
-
Re: ~~maa~~
Jis jagah meri ammi maujood nahin hon
Jis jagah meri ammi maujood nahin hon
Kuchh bhi ho wo ghar nahin ho sakta hai mera
Darvaazey pe jiskey wo meri raah na dekhein
Kuchh bhi ho wo dar nahin ho sakta hai mera
Ammi ki baat sunkar jo khud se na jhukey
Kuchh bhi ho wo sar nahin ho sakta hai mera
Comment
Comment