us ne kaha keh mujh sey tumhein kitna pyar hai?
Main ne kaha sitaron ka koi shumar hai?
us ne kaha keh koun tumhein hai bohat aziz?
Main ne kaha keh dil pey jise ikhtiyar hai
us ne kaha keh koun sa Tohfa hai man pasand?
Main ne kaha woh shaam jo ab tak udhaar hai
us ne kaha Khizan main mulaqat ka jawaz?
Main ne kaha keh qurb ka matlab bahar hai
us ne kaha senkron gham zindagi main hain
Main ne kaha keh gham nahin, jab ghamgusaar hai
us ne kaha keh saath kahan tak nibhao ge?!
Main ne kaha keh jitni yeh saanson ki taar hai
us ne kaha keh mujh ko yaqeen aaye kis tarah?
Main ne kaha keh naam mera aitbar hai!!

Comment