Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Us Ney Kaha...

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Us Ney Kaha...

    us ne kaha keh mujh sey tumhein kitna pyar hai?
    Main ne kaha sitaron ka koi shumar hai?
    us ne kaha keh koun tumhein hai bohat aziz?
    Main ne kaha keh dil pey jise ikhtiyar hai
    us ne kaha keh koun sa Tohfa hai man pasand?
    Main ne kaha woh shaam jo ab tak udhaar hai
    us ne kaha Khizan main mulaqat ka jawaz?
    Main ne kaha keh qurb ka matlab bahar hai
    us ne kaha senkron gham zindagi main hain
    Main ne kaha keh gham nahin, jab ghamgusaar hai
    us ne kaha keh saath kahan tak nibhao ge?!
    Main ne kaha keh jitni yeh saanson ki taar hai
    us ne kaha keh mujh ko yaqeen aaye kis tarah?
    Main ne kaha keh naam mera aitbar hai!!


    Attached Files
    :rose

  • #2
    Re: Us Ney Kaha...

    :masha Apni pasand ka aik kalaam read kar k bouhat acha laga.Bouhat shukriya..:)
    :roseENIGMA:rose

    Comment


    • #3
      Re: Us Ney Kaha...

      Bohat umdah kalam share kya hay aapne Mehak
      Allah

      Comment


      • #4
        Re: Us Ney Kaha...

        aslaam_u_alikam

        bohat khubsoorat kalam share kiya hey


        us ne kaha keh saath kahan tak nibhao ge?!
        Main ne kaha keh jitni yeh saanson ki taar hai


        bohat shukriya

        Comment


        • #5
          Re: Us Ney Kaha...

          Very good Mahek Sahiba...

          ek umda kalam, jissay jab bhee parha, maza diya...

          PS: aap Bahas wali Baila to naheen....??
          Muhammad Saeed
          Known as Pagla, (Pagla, The Sound Of One Hand Claping)

          Comment


          • #6
            Re: Us Ney Kaha...

            aaj iss poetry say tu poora forum mehak utha hai...... wonderful selection....
            :alhamd::SubhanAllhaa::alhamd::jazak::insha:

            Comment


            • #7
              Re: Us Ney Kaha...

              Oh very nice...thanks for sharing
              Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
              Hamarey naam ka patthar zaroor milega

              Comment


              • #8
                Re: Us Ney Kaha...

                Hayaa, Adnan, Fatimah, Pagla, Rehman, Spy009 thaaanx a lot 2 all of U :rose :) this kalaam is one of my fav.. its so beautiful and 2good.
                :rose

                Comment

                Working...
                X