Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Ehtraam

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Ehtraam

    Originally posted by shakeeel View Post
    mohsin naqvi ka ek qata hai:

    merey mizaj ka dushman meri gawahi de
    ke tera naam bhi leta hun mein dua ki tarah
    hazar tohmatien duniya ne bakhsh dien mujh ko
    mein aadmi tha magar chup raha khuda ki tarah

    is sher ke barey mein aap ki kaya raye hai.?


    shayer ki apni soch hai, ab yeh smjhney waley par hai ko wo is ko kis nigah se dekhta hai.


    ji....jesa k me ne pehlay kaha....aur aap ne b aakhir me yahi kaha....k hum kis nighaah se dekhtay hain...me esay bohat se she,r...forward nae krti jo iss lihaaz se controversial ho....like....ab muje koi khas yaad nae aaraha....ek sher thaa...uska dosra misra kuch esay thaa....k
    "dekhain hain hoslay parwardegaar k...."
    tou muje yeh achaa nae laga..bt theek hai me ne dil me iss ko bura jana...ab me poet ka girebaan tou pakkrnay se rahi...aur wese b banday ka aur RABB ka muamla b brra khoobsoorat hai.aur ajeeb b.......me samjhti hun...shaair pe jab esi kefiat taari hoti hai....wo ajb hi lamhaat hotay hain....hamen taareekh se bohat si misaalaian mil saktin nhain....khasoosan ishaq e haqeeqi k hawaaly se....hamara tanqeed krna banta nae i think...
    phir ek punjabi geet b hai...."saari umar tera me wirad kraan...mera piyaar ibaadat ban jaye..."...tou baat phir shyd wohi hai na....ishaq ki....
    lakin agar aaj kal k poets ko b madd e nazar rtakhaa jaye...jesa k yeh wasi shah sahib tou kuch zyada hi tanqeed ka nashna bnay rehtay hain...ab muje nae maloom....yeh waqee mohabbat ko mehsoos kr k likhtay hain...iski shiddat in pe waarad hoti hai...ye mehaz laffaazi se kaam lete hai...:donno:....
    شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

    Comment


    • #17
      Re: Ehtraam

      Originally posted by Gul View Post



      Saraah Bibi :) aap ki baat Parh kar waqiii meray chehray per :):)
      Muskaan aa gaii :)

      Hamein ESHQ ki inteha maloom honi chahiyay ...jo baat un-limmited ho
      Wo ....Waqi Ghore talab hai ...kion k Kissi b Moamlay mein chahay wo DEEN
      ka hee Moamla kion na ho ..hamein Darmiyani raasta apnaa-nay ko kaha
      giya hai ....HADD se guzrna Allah ko kabhi b pasnad nahi ....

      MAGAR Sirf ESHQ-e Haqeeqi mein ..:)
      laikin oss mein b ...DUNIYA ka haq sath adaa karna lazim hai
      Yeh Quraan ka hukam hai Khud mein apnay se nahi kehtii:)

      Poets loag basaa oqaat apnay alfaaz ka use kartay waqt Lafzi Taasur ko leytay
      hein na k ...MAANVI yani meaning k etebaar se nahi deykhtay


      take it easy ..and

      Wahi k Allah hum sab ko QALAM ka haqq adaa karnay wala bana=ay Ameen
      Khush rahiyay :rose
      aap muskaaiyeen sis ...tou hum b muskraa diye.....:phool:
      aur aap ki baat se dil b baagh baagh hogya....:)...theek kaha aap ne....waqai ALLAH qalam ka haqq ada krnay ki toufeeq de...aameen...
      شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

      Comment


      • #18
        Re: Ehtraam

        Really great work shakeel bro

        Comment


        • #19
          Re: Ehtraam

          v nice..........

          Comment

          Working...
          X