Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Ehtraam

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Ehtraam




  • #2
    Re: Ehtraam

    beautifulll........
    bhai aap pehlay ki designings bhi share kar rahay hain ya new designings,,,
    For New Designers
    وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

    Comment


    • #3
      Re: Ehtraam

      waaah zabrdast
      sigpic

      Comment


      • #4
        Re: Ehtraam

        Originally posted by *Rida* View Post
        beautifulll........
        bhai aap pehlay ki designings bhi share kar rahay hain ya new designings,,,
        Thanks a million Rida


        Comment


        • #5
          Re: Ehtraam

          Originally posted by WASI ANJUM View Post
          waaah zabrdast
          Thanks a million


          Comment


          • #6
            Re: Ehtraam

            zabardast!!
            going superb :)
            u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

            :pr:

            Comment


            • #7
              Re: Ehtraam

              wowwwwwwwwwwwwwwwww...........taqaddus ka ehsaas...
              شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

              Comment


              • #8
                Re: Ehtraam

                she'r meN shaa'ir be bhale nayaa pan alane kii koshish kii hai par sorry yeh she'r mujhe zaraa bhii nahiIn bhaayaa kiuN k is meN gustaaKhii paayii jaatii hai...vuzuu maKhsoos hai 'ibaadaat ke liye aur Qur'aan kii tilaavat ke liye...is taraH se aise paak lafz kii be_Hurmatii shaa'ir ke liye zeb nahiIn detii...sorry jo mujhe munaasib lagaa kah diyaa.

                aapkii designing nihaayat umda hai. keep up the good work of designing :)

                Fall view from inside my car
                near my work place :)

                Comment


                • #9
                  Re: Ehtraam

                  Originally posted by SherAli View Post
                  she'r meN shaa'ir be bhale nayaa pan alane kii koshish kii hai par sorry yeh she'r mujhe zaraa bhii nahiIn bhaayaa kiuN k is meN gustaaKhii paayii jaatii hai...vuzuu maKhsoos hai 'ibaadaat ke liye aur Qur'aan kii tilaavat ke liye...is taraH se aise paak lafz kii be_Hurmatii shaa'ir ke liye zeb nahiIn detii...sorry jo mujhe munaasib lagaa kah diyaa.

                  aapkii designing nihaayat umda hai. keep up the good work of designing :)
                  hmmm....sher ali sirf ek baat kahoon gi....ishaq me bnda bohat duur nikal jata hai.....mansoor ka waqia hi zehan me le aao....
                  muje b esa mehsuus hota thaa...bt mohabbat b ibaadat samjh k ki jati hai...:)
                  شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                  Comment


                  • #10
                    Re: Ehtraam

                    Originally posted by SherAli View Post
                    she'r meN shaa'ir be bhale nayaa pan alane kii koshish kii hai par sorry yeh she'r mujhe zaraa bhii nahiIn bhaayaa kiuN k is meN gustaaKhii paayii jaatii hai...vuzuu maKhsoos hai 'ibaadaat ke liye aur Qur'aan kii tilaavat ke liye...is taraH se aise paak lafz kii be_Hurmatii shaa'ir ke liye zeb nahiIn detii...sorry jo mujhe munaasib lagaa kah diyaa.

                    aapkii designing nihaayat umda hai. keep up the good work of designing :)
                    bhai ! yeh sher mera to nahin hai na, mein ne to sirf design kiya hai. yeh sawaal aap wasi shah se hi pooch saktey hain.


                    Comment


                    • #11
                      Re: Ehtraam

                      Originally posted by saraah View Post
                      hmmm....sher ali sirf ek baat kahoon gi....ishaq me bnda bohat duur nikal jata hai.....mansoor ka waqia hi zehan me le aao....
                      muje b esa mehsuus hota thaa...bt mohabbat b ibaadat samjh k ki jati hai...:)
                      mohsin naqvi ka ek qata hai:

                      merey mizaj ka dushman meri gawahi de
                      ke tera naam bhi leta hun mein dua ki tarah
                      hazar tohmatien duniya ne bakhsh dien mujh ko
                      mein aadmi tha magar chup raha khuda ki tarah
                      is sher ke barey mein aap ki kaya raye hai.?

                      shayer ki apni soch hai, ab yeh smjhney waley par hai ko wo is ko kis nigah se dekhta hai.


                      Comment


                      • #12
                        Re: Ehtraam

                        Buhat Khoobsoorat Shakeel Bhai :)

                        Comment


                        • #13
                          Re: Ehtraam

                          Originally posted by Gul View Post
                          Buhat Khoobsoorat Shakeel Bhai :)
                          Thanks huma sis


                          Comment


                          • #14
                            Re: Ehtraam

                            Originally posted by SherAli View Post
                            she'r meN shaa'ir be bhale nayaa pan alane kii koshish kii hai par sorry yeh she'r mujhe zaraa bhii nahiIn bhaayaa kiuN k is meN gustaaKhii paayii jaatii hai...vuzuu maKhsoos hai 'ibaadaat ke liye aur Qur'aan kii tilaavat ke liye...is taraH se aise paak lafz kii be_Hurmatii shaa'ir ke liye zeb nahiIn detii...sorry jo mujhe munaasib lagaa kah diyaa.

                            aapkii designing nihaayat umda hai. keep up the good work of designing :)

                            Sher ali aap ki baat bilkul darust hai ..
                            hamein ba-hasiyat Musliman aisa koi feal nahi apna-na chahiyay jo..
                            K Gher Allah...aur naoozo billah ...Shirk ki janib jataa ho

                            magar ....Jhaan tak BA WAZOO honay ki baat hai

                            hum har waqt ba-wazoo reh saktay hein ....yeh khaas ebadatoun se mutaliqa nahi ...inshaAllah!
                            yeh Section islamic tu nahi magar aik mukhtasir baat k ..
                            MOamin har waqt ebadat ki halat mein...
                            WO apni zndgee ka har lamha agar Sunah k mutabiq guzaaray
                            aur BA-Wazoo rehna b aik buhat khoobsoorat baat hai Alhamdolillah

                            Baqi POET loag waqii Basaa Oqaat haad se guzar jatay hein

                            Allah Taalah hamein qalam ka haq aadaa karnay ki Tufeeq de...ameen
                            Khush rahiyay ...

                            Originally posted by saraah View Post
                            hmmm....sher ali sirf ek baat kahoon gi....ishaq me bnda bohat duur nikal jata hai.....mansoor ka waqia hi zehan me le aao....
                            muje b esa mehsuus hota thaa...bt mohabbat b ibaadat samjh k ki jati hai...:)
                            Saraah Bibi :) aap ki baat Parh kar waqiii meray chehray per :):)
                            Muskaan aa gaii :)

                            Hamein ESHQ ki inteha maloom honi chahiyay ...jo baat un-limmited ho
                            Wo ....Waqi Ghore talab hai ...kion k Kissi b Moamlay mein chahay wo DEEN
                            ka hee Moamla kion na ho ..hamein Darmiyani raasta apnaa-nay ko kaha
                            giya hai ....HADD se guzrna Allah ko kabhi b pasnad nahi ....

                            MAGAR Sirf ESHQ-e Haqeeqi mein ..:)
                            laikin oss mein b ...DUNIYA ka haq sath adaa karna lazim hai
                            Yeh Quraan ka hukam hai Khud mein apnay se nahi kehtii:)

                            Poets loag basaa oqaat apnay alfaaz ka use kartay waqt Lafzi Taasur ko leytay
                            hein na k ...MAANVI yani meaning k etebaar se nahi deykhtay


                            take it easy ..and

                            Wahi k Allah hum sab ko QALAM ka haqq adaa karnay wala bana=ay Ameen
                            Khush rahiyay :rose

                            Comment


                            • #15
                              Re: Ehtraam

                              Shakeel bahi ...Keep on sharing ur sweet designs
                              Bless u ameen ..:)

                              Comment

                              Working...
                              X