ye kahani mere ek dost ki hai jo bilkul sachi hai..
mein kahani mein naam aur jagha change kar raha hon
soch raha hoon kahani kahan se shuroo karoon ye kahani mere pass apni dairies mein mukhtalif dates mein tukroon mein likhi hui hai apne frnd k introduction se ye kahani shuroo karta hoon
woh har waqat khamosh udas rehta tha kabhi collage k lawn mein free period mein sad songs gane lagta us ki awaz mein aisa jadoo tha k bas jee chahta tha k bas woh gata rahe aur hum sunte rahen, shuroo mein us se us ki udasiyon ki waja poochhta magar wo baat tal deta phir jab hamari dosti ghehri ho gai us ne apni ek ek baat bata di apne bare mein ghar k bare mein mutlab k us ne mujh se kuch bhi nahi chupaya...........
us ne mujh se kaha yaar.....darasal mein ek larki ko chahta hoon.....hum shadi karna chahte hain..us ki maan bhi raazi hai magar......mera bhai raazi nahi hai mene kaha yaar zahid...pagal ho kiya abhi se shadi abhi to tum F.sc mein ho tumhen parhna hai us k baad shadi ka sochna.....magar zahid ne kaha hamare gaon mein choti umer mein he shadi kar di jati hai......khair tumhara bhai q raazi nahi..?
zahid ne kaha darasal meri mangni bachpan mein meri cousion se ho gai thi.........bhai chahta hai k meri shadi usi se ho....ek aur b pblm hai meri sister ki shadi meri mangetar k bhai se ho chuki hai agar mene sadia se shadi
ki to woh meri sister ko talaq de dega .........zahid bahoot pareshan tha.....ye silsalay yunhi chalte rahe ek dafa zahid ne mujhe sadia se milwaya bhi waqai woh bahoot khoobsurat aur masoom thi.......
zahid k ghar wale har hal mein zahid ki shadi us ki mangetar sadaf se karna chahte thay aur zahid inkaar karta raha.........aur sadia se shadi krne per bzid tha.....woh to court marriage kar leta magr umar kum thi is liye kuch na kar saka......
Hum donon ne inter kar liya magar zahid ka masla wahen atka raha
phir mein karachi chala gaya zahid se kabhi kabhar phone per he baat hoti thi.....................
taqreeban 9:00 am ko phone ki bell baji
mene phone receive kiya doosri taraf zahid tha......Hello..anjum
(woh mujhe anjum kehta tha)...haan hello zahid kaise ho..?
zahid bahoot he gamgeen aur dard bhare lehje mein bola....sadia ki death ho gai hai......
magr mujhe yaqeen nahi aaya q k aksar wo mujh se mazaq karta rehta tha so mene kaha yaar subha subha mazaq nahi karo.........phir wo rone laga phir mujhe yaqeen aaya .....magar kaise...? mene poochha......us ne poison pe liya tha.....suqrat ki tarha us ne zaher ka piyala pe liya aur mujh se door bahoot door chali gai.....us agay zahid bol nahi paya aur phone band kar diya........................2 din baad jab mein us se milnay gaya to us ka shave barha hua tha baal bikhray thay mujhe dekh kar woh zabardasti muskratay huay mila janta tha us k dil ki halat kiya hai magr wo apna dard mujh se chhupa raha tha...mene kaha zahid mat muskrao to ek dam us ki aankhoon se aansoo aa gae aur mujh se gale mil kar rone laga aur mene usay rone diya.........phir us ne kaha mein shadi kar raha hoon......mein hairan ho gaya.........sadia mujhe qasam de kar gai thi k mein sadaf se shadi karoon mein us k sath kiya hua koi wada nahi nibha saka magr ye wada zaroor poora karonga........aakhri mulaqat mein sadia ne mujh se kaha zahid mein tumhein is tarah preshan nahi dekh sakti aur na he tumhari sister ki zindagi apni khushiyon ki khatir barbad karon gi mujhe shayed tumhari zindagi se door chale jana chahiye mein shayed tumhari khushiyon mein shamil na ho sakon gi magr tum meri khamosh barat mein zaroor aana us waqat mein samjh na saka k wo kiya keh rahi hai........mein us ki baaten sun kar bas hansa tha magr dekho woh such much khamoshi k sath meri zindagi se chali gai..................
phir sach much zahid ki shadi sadaf se ho gai jis mein mein bhi shareek hua tha........
aaj zahid police department mein job kar raha hai us k 2 betay hain aur 1 beti jis ka naam sadia hai................
mein kahani mein naam aur jagha change kar raha hon
soch raha hoon kahani kahan se shuroo karoon ye kahani mere pass apni dairies mein mukhtalif dates mein tukroon mein likhi hui hai apne frnd k introduction se ye kahani shuroo karta hoon
(1)
zahid se meri dosti us waqat hui jab mene F.Sc mein parhta tha woh mera class fellow tha ek chhote se gaon(village) mein rehta tha...............woh har waqat khamosh udas rehta tha kabhi collage k lawn mein free period mein sad songs gane lagta us ki awaz mein aisa jadoo tha k bas jee chahta tha k bas woh gata rahe aur hum sunte rahen, shuroo mein us se us ki udasiyon ki waja poochhta magar wo baat tal deta phir jab hamari dosti ghehri ho gai us ne apni ek ek baat bata di apne bare mein ghar k bare mein mutlab k us ne mujh se kuch bhi nahi chupaya...........
us ne mujh se kaha yaar.....darasal mein ek larki ko chahta hoon.....hum shadi karna chahte hain..us ki maan bhi raazi hai magar......mera bhai raazi nahi hai mene kaha yaar zahid...pagal ho kiya abhi se shadi abhi to tum F.sc mein ho tumhen parhna hai us k baad shadi ka sochna.....magar zahid ne kaha hamare gaon mein choti umer mein he shadi kar di jati hai......khair tumhara bhai q raazi nahi..?
zahid ne kaha darasal meri mangni bachpan mein meri cousion se ho gai thi.........bhai chahta hai k meri shadi usi se ho....ek aur b pblm hai meri sister ki shadi meri mangetar k bhai se ho chuki hai agar mene sadia se shadi
ki to woh meri sister ko talaq de dega .........zahid bahoot pareshan tha.....ye silsalay yunhi chalte rahe ek dafa zahid ne mujhe sadia se milwaya bhi waqai woh bahoot khoobsurat aur masoom thi.......
zahid k ghar wale har hal mein zahid ki shadi us ki mangetar sadaf se karna chahte thay aur zahid inkaar karta raha.........aur sadia se shadi krne per bzid tha.....woh to court marriage kar leta magr umar kum thi is liye kuch na kar saka......
Hum donon ne inter kar liya magar zahid ka masla wahen atka raha
phir mein karachi chala gaya zahid se kabhi kabhar phone per he baat hoti thi.....................
(2)
24 novembertaqreeban 9:00 am ko phone ki bell baji

Comment