Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Ek Sachi Kahani....

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Ek Sachi Kahani....

    ye kahani mere ek dost ki hai jo bilkul sachi hai..
    mein kahani mein naam aur jagha change kar raha hon
    soch raha hoon kahani kahan se shuroo karoon ye kahani mere pass apni dairies mein mukhtalif dates mein tukroon mein likhi hui hai apne frnd k introduction se ye kahani shuroo karta hoon
    (1)
    zahid se meri dosti us waqat hui jab mene F.Sc mein parhta tha woh mera class fellow tha ek chhote se gaon(village) mein rehta tha...............
    woh har waqat khamosh udas rehta tha kabhi collage k lawn mein free period mein sad songs gane lagta us ki awaz mein aisa jadoo tha k bas jee chahta tha k bas woh gata rahe aur hum sunte rahen, shuroo mein us se us ki udasiyon ki waja poochhta magar wo baat tal deta phir jab hamari dosti ghehri ho gai us ne apni ek ek baat bata di apne bare mein ghar k bare mein mutlab k us ne mujh se kuch bhi nahi chupaya...........
    us ne mujh se kaha yaar.....darasal mein ek larki ko chahta hoon.....hum shadi karna chahte hain..us ki maan bhi raazi hai magar......mera bhai raazi nahi hai mene kaha yaar zahid...pagal ho kiya abhi se shadi abhi to tum F.sc mein ho tumhen parhna hai us k baad shadi ka sochna.....magar zahid ne kaha hamare gaon mein choti umer mein he shadi kar di jati hai......khair tumhara bhai q raazi nahi..?
    zahid ne kaha darasal meri mangni bachpan mein meri cousion se ho gai thi.........bhai chahta hai k meri shadi usi se ho....ek aur b pblm hai meri sister ki shadi meri mangetar k bhai se ho chuki hai agar mene sadia se shadi
    ki to woh meri sister ko talaq de dega .........zahid bahoot pareshan tha.....ye silsalay yunhi chalte rahe ek dafa zahid ne mujhe sadia se milwaya bhi waqai woh bahoot khoobsurat aur masoom thi.......
    zahid k ghar wale har hal mein zahid ki shadi us ki mangetar sadaf se karna chahte thay aur zahid inkaar karta raha.........aur sadia se shadi krne per bzid tha.....woh to court marriage kar leta magr umar kum thi is liye kuch na kar saka......
    Hum donon ne inter kar liya magar zahid ka masla wahen atka raha
    phir mein karachi chala gaya zahid se kabhi kabhar phone per he baat hoti thi.....................
    (2)
    24 november
    taqreeban 9:00 am ko phone ki bell baji
    mene phone receive kiya doosri taraf zahid tha......Hello..anjum
    (woh mujhe anjum kehta tha)...haan hello zahid kaise ho..?
    zahid bahoot he gamgeen aur dard bhare lehje mein bola....sadia ki death ho gai hai......
    magr mujhe yaqeen nahi aaya q k aksar wo mujh se mazaq karta rehta tha so mene kaha yaar subha subha mazaq nahi karo.........phir wo rone laga phir mujhe yaqeen aaya .....magar kaise...? mene poochha......us ne poison pe liya tha.....suqrat ki tarha us ne zaher ka piyala pe liya aur mujh se door bahoot door chali gai.....us agay zahid bol nahi paya aur phone band kar diya........................2 din baad jab mein us se milnay gaya to us ka shave barha hua tha baal bikhray thay mujhe dekh kar woh zabardasti muskratay huay mila janta tha us k dil ki halat kiya hai magr wo apna dard mujh se chhupa raha tha...mene kaha zahid mat muskrao to ek dam us ki aankhoon se aansoo aa gae aur mujh se gale mil kar rone laga aur mene usay rone diya.........phir us ne kaha mein shadi kar raha hoon......mein hairan ho gaya.........sadia mujhe qasam de kar gai thi k mein sadaf se shadi karoon mein us k sath kiya hua koi wada nahi nibha saka magr ye wada zaroor poora karonga........aakhri mulaqat mein sadia ne mujh se kaha zahid mein tumhein is tarah preshan nahi dekh sakti aur na he tumhari sister ki zindagi apni khushiyon ki khatir barbad karon gi mujhe shayed tumhari zindagi se door chale jana chahiye mein shayed tumhari khushiyon mein shamil na ho sakon gi magr tum meri khamosh barat mein zaroor aana us waqat mein samjh na saka k wo kiya keh rahi hai........mein us ki baaten sun kar bas hansa tha magr dekho woh such much khamoshi k sath meri zindagi se chali gai..................
    phir sach much zahid ki shadi sadaf se ho gai jis mein mein bhi shareek hua tha........
    aaj zahid police department mein job kar raha hai us k 2 betay hain aur 1 beti jis ka naam sadia hai................
    Last edited by WASI ANJUM; 15 July 2007, 09:53.
    sigpic

  • #2
    re: Ek Sachi Kahani....

    soooooooo sad
    For New Designers
    وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

    Comment


    • #3
      re: Ek Sachi Kahani....

      :em:

      Comment


      • #4
        re: Ek Sachi Kahani....

        Khalil bhai kuch to bolo tanqeed he sahi
        sigpic

        Comment


        • #5
          re: Ek Sachi Kahani....

          Bohat afsosnaak kahani hai.
          Mind Sciences

          Comment


          • #6
            re: Ek Sachi Kahani....

            Aik sachi kahani hai iss liye kuch nahi kahun gi .... :rose
            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

            Comment


            • #7
              re: Ek Sachi Kahani....

              KUCH TO KAHEN JEE
              sigpic

              Comment


              • #8
                re: Ek Sachi Kahani....

                Wasi Kahani To Achi Hay.pur 2 Batain Hain Ya Kahani Hay Ya Suchi Hay ,,,kun K Kahani Wo Hoti Hay Jo Mun_ghurut Ho Or Such Jo Haqeeqat Ho Ap Kea Kehtay Ho

                Comment


                • #9
                  re: Ek Sachi Kahani....

                  ye bilkul sachi kahani hai is mein mene apni taraf se kuch bhi nahi likha
                  100% true story
                  sigpic

                  Comment


                  • #10
                    re: Ek Sachi Kahani....

                    wasi ji ap ki khani wake masre ki un tbha hal logon ki khani hae jo rhte to isi masre main hain magar zindagi ki asal haqiqi riston ke darmiyan main ulahj jate hain hamare is masre main na jane ketne ayse log hain jo roz is trha ke riston main apni udasion ke sath ji rahe hain in logon ke liye dil se dua nikalti hae.


                    tamam umar nighaon main aek nami si rahi;;;
                    tere begayer meri jat main koi kami si rahi;;;
                    hanse to hans na sake roye to ro na sake;;;
                    khosi main is trha samihl koi gami si rahi;;;;;;;;;;;;;

                    Comment


                    • #11
                      re: Ek Sachi Kahani....

                      very sad
                      laiken wasi ap ne likha buhat acha hai

                      Comment


                      • #12
                        re: Ek Sachi Kahani....

                        Originally posted by Super Cop View Post
                        very sad
                        laiken wasi ap ne likha buhat acha hai
                        thanx super cop
                        Originally posted by A.h.khan View Post
                        wasi ji ap ki khani wake masre ki un tbha hal logon ki khani hae jo rhte to isi masre main hain magar zindagi ki asal haqiqi riston ke darmiyan main ulahj jate hain hamare is masre main na jane ketne ayse log hain jo roz is trha ke riston main apni udasion ke sath ji rahe hain in logon ke liye dil se dua nikalti hae.


                        tamam umar nighaon main aek nami si rahi;;;
                        tere begayer meri jat main koi kami si rahi;;;
                        hanse to hans na sake roye to ro na sake;;;
                        khosi main is trha samihl koi gami si rahi;;;;;;;;;;;;;
                        hamaray maashray ka yahi to almiya hai yahan na janay kitni masoom
                        mohabbaten in k haathoon lut,teen hain
                        sigpic

                        Comment


                        • #13
                          re: Ek Sachi Kahani....

                          very sad
                          bohat dukh hooaa kahani per kr
                          hamary logon ko pata nahi kab smjh aaye gi k muhabbat koi gunah nahi koi ghlt kaam nahi.ye to aisa meetha sa rishta hai jo pyaar or muhabbat k siwa kuch nahi deta
                          or jab pyaar muhabbat ho to kisi or cheez ki zarorrat nahi hoti
                          zindagi bohat asaan or khush haal ho jaati hai.
                          Gham To Likha So Likha Taqdeer ny Meri Zindagi Main

                          Ye Raton Ko Der Tk Neend Na Ana Kis Gunaah Ki Saza Hai

                          Comment


                          • #14
                            re: Ek Sachi Kahani....

                            Ye woh rishta hai jo Qurbani k bagair pora nahin hota .
                            is rishty sey jurny walon ko koe na koe Qurbani dena hi perti hai .
                            Kahani mein derd-o-sooz buhat hai , aik anjan rishta aik naye rishty ki buniaad rakh gia ..

                            Comment


                            • #15
                              re: Ek Sachi Kahani....

                              Originally posted by lucky View Post
                              very sad
                              bohat dukh hooaa kahani per kr
                              hamary logon ko pata nahi kab smjh aaye gi k muhabbat koi gunah nahi koi ghlt kaam nahi.ye to aisa meetha sa rishta hai jo pyaar or muhabbat k siwa kuch nahi deta
                              or jab pyaar muhabbat ho to kisi or cheez ki zarorrat nahi hoti
                              zindagi bohat asaan or khush haal ho jaati hai.
                              bas lucky hamaray muasharay ka yahi almiya hai koi mohabbat ko samjh nahi pata.....yahan rozana pata nahi kitni masoom mohabbaten rasmoon riwajoon k hathoon chheni jati hain
                              sigpic

                              Comment

                              Working...
                              X