Reshmi Dhaga
(merey InPage mein kuchh masla hai, lehaza abhi yeh tehreer yunhi qabool kjiye) Rang gadroon ka zara dekh to unaabi hai
Yeh nikaltey huwey suraj ki ufaq tabi ha
Yeh nikaltey huwey suraj ki ufaq tabi ha
Har shab key baad aik savera hota hai. Har khizaan key baad bahaar aati hai. Aaj hamarey salmiyyat key ufaq per zulmat ney qabza kar rakha hai to koi baat nahin, aasman ka rang btaa raha hai keh suraj nikalney wala hai. Raat jitni andheri hoti hai, ujala utna hai achha hota hai. Zaroorat is baat ki hai keh woh aik resham ka dhaga dhoondna hai jiskey saath ham sab apni apni niyyaton ko saaf kar key bandh jaein. Yehi reshami dhaga zanjeer-e-aahni sabit ho ga!
Masood - copenhagen 22122005
Comment