Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Reshmi Dhaga

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Reshmi Dhaga

    Reshmi Dhaga
    (merey InPage mein kuchh masla hai, lehaza abhi yeh tehreer yunhi qabool kjiye)












    Rang gadroon ka zara dekh to unaabi hai
    Yeh nikaltey huwey suraj ki ufaq tabi ha

    Har shab key baad aik savera hota hai. Har khizaan key baad bahaar aati hai. Aaj hamarey salmiyyat key ufaq per zulmat ney qabza kar rakha hai to koi baat nahin, aasman ka rang btaa raha hai keh suraj nikalney wala hai. Raat jitni andheri hoti hai, ujala utna hai achha hota hai. Zaroorat is baat ki hai keh woh aik resham ka dhaga dhoondna hai jiskey saath ham sab apni apni niyyaton ko saaf kar key bandh jaein. Yehi reshami dhaga zanjeer-e-aahni sabit ho ga!

    Masood - copenhagen 22122005
    Last edited by Masood; 22 December 2005, 03:11.
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

  • #2
    Re: Reshmi Dhaga

    buhat buhat buhatt accha likha
    or kafi intresting likha......tafseel se jawab........:( bad main dongi.......u know na now a days....

    tafseel se jald reply karon gi INSHALLAH!

    Comment


    • #3
      Re: Reshmi Dhaga

      aur issi liye to Iqbal ye bhi kehtey hein


      zara nam ho to ye matti barhi zerkhaiz hai saaqi

      khush rahein inshAllah :rose
      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

      Comment


      • #4
        Re: Reshmi Dhaga

        masood bhai aap nay wakai bahut acha likha hai.... wese reshmi roomal bhi eik tahreek chali thi jo moulana obedullah sindhi sahib nay shuru ki thi.... ziyada aap jantay hee hoongay.... aap nay reshmi dhaga topic ko naam diya jo mujhe bahut acha laga aur sindhi sahib ki tahreek yaad aa gayi thi.....
        :alhamd::SubhanAllhaa::alhamd::jazak::insha:

        Comment


        • #5
          Re: Reshmi Dhaga

          Originally posted by Masood View Post
          Reshmi Dhaga

          (merey InPage mein kuchh masla hai, lehaza abhi yeh tehreer yunhi qabool kjiye)









          Dekh ker rang-e-chaman ho na pareshan maali
          Kokab-e-ghuncha sey shakhein hain chamakney wali
          Khas-o-khashaak se hota hai gulestaan khali



          Rang gadroon ka zara dekh to unaabi hai
          Yeh nikaltey huwey suraj ki ufaq tabi ha

          Har shab key baad aik savera hota hai. Har khizaan key baad bahaar aati hai. Aaj hamarey salmiyyat key ufaq per zulmat ney qabza kar rakha hai to koi baat nahin, aasman ka rang btaa raha hai keh suraj nikalney wala hai. Raat jitni andheri hoti hai, ujala utna hai achha hota hai. Zaroorat is baat ki hai keh woh aik resham ka dhaga dhoondna hai jiskey saath ham sab apni apni niyyaton ko saaf kar key bandh jaein. Yehi reshami dhaga zanjeer-e-aahni sabit ho ga!

          Masood - copenhagen 22122005
          Bayshak....EK dum sahi.....Buhat Acha likha aap nay!

          Comment

          Working...
          X