Aik purani tehreer hai magar shayid yeh har dor ki zaroorat hai. Aaj Pegham per pehli baar share kar raha hoon. Zara talkh hai. Aur talkh likhna hi mujhey aata hai - kya karoon Ghalib kehtey hain "chhoot'ti nahin hai kaafi munh ko lagi hui" Ab talkh likhna meri ragoon mein baith geya hai to kya karoon? Bardasht kar lijiye ga :) :rose
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Kahan Sey Shuru Karoon
Collapse
X
-
Re: Kahan Sey Shuru Karoon
"Mey shuru bhi Allah key naam sey karun ga aur khatam bhi Allah key naam per karun ga"
Allah karey key hum ye kaam shuru bhi ker dien--InshAllah,
aap ney ye sab soch bohot payyari tehreer likhi hai, jab mey ney ye sab socha tha to ussey aik bohot choti nazm ki surat mey likha tha-ye kafi pehley ki baat hai
aur nazm kuch yun hai
Aik Hasti
dur kaheen
phir bhi
paas hamarey rehti hai
jo her pal sath
rehney ka
yaqeena deylati rehti hai
najaaney kyoon
phir bhi hum
khud sey hi
door ka raasta chuntey hein
aur
paas rehna bhi chahtey hein" Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "
Comment
-
Re: Kahan Sey Shuru Karoon
"Mey shuru bhi Allah key naam sey karun ga aur khatam bhi Allah key naam per karun ga"
Allah karey key hum ye kaam shuru bhi ker dien--InshAllah,
aap ney ye sab soch bohot payyari tehreer likhi hai, jab mey ney ye sab socha tha to ussey aik bohot choti nazm ki surat mey likha tha-ye kafi pehley ki baat hai
aur nazm kuch yun hai
Aik Hasti
dur kaheen
phir bhi
paas hamarey rehti hai
jo her pal sath
rehney ka
yaqeena deylati rehti hai
najaaney kyoon
phir bhi hum
khud sey hi
door ka raasta chuntey hein
aur
paas rehna bhi chahtey hein
Comment
-
Re: Kahan Sey Shuru Karoon
Assalam O Alikum
Janab-e-maan, Masoood sahib ..... Aap ney aik intehai hassas aur hamarey Eeeman k Pehley juzz ki kamzoori per baat ki.... aur Haliya waqeh ki taraf nazar karwai.... laga k nahi abhi kuch loog hein.... jo burey ko bura aur ghalat ko ghalat kehney ki jisaarat rakhtey hein.... laga k haan abhi logo mein bedaari ki ramaq baqi hey.... warna mojoda nasal aur uskey rujhaan tu yehi ishara karrahey hein k ham bunyadi assas ko bhi mozoh e behas bana liya hey ... wo batein jin per hamarey Eeeman ki Emaarat khari hey usko hi nishana bana liya hey .... is baat ki nishan dahi karrahey hein k hamari mojoda nasal apney mazhaab se kitni dosri per hey.... Har cheez mein LOGIC ikhtiyaar karna... means k Aaya k Naozobillah Allah Pak mojood bhi hein ya nahi...? Sawal hi ayesa hey jisko aik Muslim se kiyeh janey ki tawaqqa nahi.... yeh tu yehi zahir karta hey k ya tu Deeni tarbiyat se yaksar doori rahi hey just aik muslim gharaney mein paida huney ki wajha se MUSALMAAN kehlaney lagey hein.... ya phir purani nasal ney nayi nasal ko just label diya hey MUSALMAAN huney ka.... aaj kitney loog hein jinko 6 kalmey porey yaad hein...??? mein ney 3 dafa ahbaab ki mehfil mein yeh sawaal kiya aur intehai sharmindagi rahi key 40% k ilawah...... khair hamarey YAQEEN ki kamzoori ney ham ko Allah ki wahdaniyaat per ungli uthaney ka bais banaya hey.... ab deekhna yeh hey k guzishta qomoon key ahwaal jaantey huey bhi hamarey AAJ k nojawaan .. firqah wariyat ko faroogh deetey rahein gey ... ya ham mein se hi pukhta aqauid waley afraaad .... is nasal ko rasta dikhaney ki koshish rakhein gey ......
Allah pak ney caha tu wo hamein bhi in kamo mein sawaab kamaney ka shouq deingey..... behar kaif Allah aap ko jazah e kahir se nawazein... aur ham aur hamarey bhayoon ko Sahi ISLAAM se roshanaas karwain...... :insha:
Comment
-
Re: Kahan Sey Shuru Karoon
AOA,
Hairat hoyi ye daikh kar k bahis hai k Allah jale shan har jaga mojood hai k nain agar kisi nain iss pe mazeed daryaaft kia to main un ki khidmat main Quraan aur Hadees se baat karoon ga farzi baat nain kion k emaan ki pokhtagi ki baat hai aur yahan firqa bandi kion aur kab tak karain ge ye loog yahan sirf apna aik shair arz khidmat karta hoon.
mosa ki tara deed ki intaha b nain
wo nazar jo nain to khuda b nain.
Sohail Abbasi.Apna haq ada karo.
Comment
-
Re: Kahan Sey Shuru Karoon
Allah sabhi jagah moujood hai, Allah ek ek zarrey mein moujood hain, lekin aaj kal waqai insaan itna gumraah ho gaya hai ke unhen poll karana pad raha hai (tauba isteghfar)
Jo log gumraah ho rahe hain yaqinan unhen unki gumraahi ki saza zaroor milegi. Aur dekha jaye to haqeeqat mein hamein Allah swt ki muhabbat apne dil mein bedar karni hogi, phir na kisi beit ki zaroorat hogi, na fatwe ki.
Allah hame gumraah honey se bachaye.
Masood,
Aap ne sach likha hai, isme talkhi kahan hai.Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
Hamarey naam ka patthar zaroor milega
Comment
-
Re: Kahan Sey Shuru Karoon
Originally posted by barg.e.gulnazm kuch yun hai
Aik Hasti
dur kaheen
phir bhi
paas hamarey rehti hai
jo her pal sath
rehney ka
yaqeena deylati rehti hai
najaaney kyoon
phir bhi hum
khud sey hi
door ka raasta chuntey hein
aur
paas rehna bhi chahtey hein
Originally posted by khwaabkuch sochnay pe majboor karti hui tahreertumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
Comment