Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Kahan Sey Shuru Karoon

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Kahan Sey Shuru Karoon

    Massod aap ne aik intehaai nazuk maslay per qalam uthaya hey, Musalaman aaj kiyun kamzor hein? kiyun muntashir hein? kiyun zulm o jaber ka shikar hein, issi liye k aaj k musalman k aqayed kumzor hein, arakeen e islam k sirf nam yad hein amel nam ki koi cheez baqi nhi rhi hey. Apnay imaan ko drust kernay k bjaye hum aik doosray k aqayed per ungli uthatay hein k aisa nhi to aisa kiyun hey. Jo log yeh pollings karwa rhay hein k Allah zameenon mein hey ya AAsmanon mein hey unn ko jaan lena chahiye k wo apnay hathon se apnay liye tabahi ka saman peda ker rhay hein, aisay log khud bhi gumrah hein aur doosron ko bhi shaitani jaal mein phunsanay ki koshish ker rhay hein. Roz e jaza Allah yeh nhi poochay ga k tu ne mujhye kahan kahan dekha ya kahan kahan meri mojoodgi ka ehsaas kiya wo yeh poochay k kon kon se naik aamal kiye k jin ki tujhey jaza di jaye! Tub aisay log kia jwab dein gay?
    Allah Taala hum sub ko apnay imaan ko mazboot aur apnay aamal ko drust kernay ki taufiq ata farmaye. Ameen
    Aur masood Allah aap ko jazaye khair ata farmaye, Ameen

    Comment


    • #17
      Re: Kahan Sey Shuru Karoon

      JAB tak mullaon ko sudhara nahin jae ga musalmaan isi tarha taqseem hota rahe ga...aaj kal jis qader musalmaan dunya ke koney koney mein ruswa ho raha hai woh inhi namnehad mullaon ki wajha se hai jab tak musalmanon ko suchi qayadat nahin miljaati humen in halaat ka samna kertey rehna pare ga..

      Comment


      • #18
        Re: Kahan Sey Shuru Karoon

        ajj kaa musalmaan waqai buhat bhattak saa gaya hai....
        Allah hum sab koo hidayat ka raasta dikhaye Ameen...

        again ik acchi or sabaq amoooz tehreer ke liye buhat sa shukeraaa:masha

        Comment


        • #19
          Re: Kahan Sey Shuru Karoon

          Assalam.o.aleikum
          Aap ki yeh tehreer parh k dil kaanpa to zaroor laikin is k positive nataaij hi rahay is liye k aap ki yeh tehreer bhi sadaaqat par mabni hay aur sachchai apna positve hi asar zaahir karti hay.
          Quran-e-Majeed main baar baar zikr kiya gaya hay k Allah tumhain daikh raha hay...Allah har jagha mowjud hay...aur is baat ka zikr baar baar dohraya gaya hay.to phir woh kownsa tabqa hay? ya kownsay aisay loge hain? jin ko aisa sawaal apnay mind main laanay k ilaawa khulay aam doosron kay zaihno'n ko bhi gumraahi ki raah par daalnay k liye poochnay ki jurrat aur himmat hui.....jab kay Allah taala nay yeh bhi farmaya kay jis baat ka tujhay ilm nahi us ki khowj main is tarha na ja...is baat ka faisla bhi Allah ki zaat hi karsakti hay k woh apnay aap ko musalman kaihnay k mustahiq hain? jab k musalman ka matlab hi Allah ka farman bardaar aur us k saamnay sir jhukanay waala hay....to phir yeh himmat kaisi? kis tarha khud ko musalman kaihtay huway yeh sawaal kaisa?
          ham loge Allah kay bataey huway raaston ki bajaey apni marzi ki rahon par chaltay huway bhi yeh tawaqoh rakhtay hain kay Allah hamain har har naimat say nawazay maslan aik Hadees-e-Qudsi main hay kay "Main(ALLAH)nay 5 cheezain 5 makhsoos jaghon par rakhi hain aur loge un ko doosri jagha dhoondtay hain ! to phir woh kiyun kar mailain?

          1)Main nay izzat farman'bardaari main rakhi hay aur loge us ko Baadshahon kay darwazon par dhoondtay hain..bhala kiyun kar paein gay?

          2)Ilm.o.Hikmat main nay bhook main rakhi hay aur loge us ko Aseeri main talaash kartay hain!phir kiyun kar haasil hogi?

          3)Raahat.o.Araam ko Main nay Bahisht main rakha hay aur loge us ki duniya main justuju kartay hain ! phir kis tarha haath main aaey gi?

          4)Tonagri ko main nay Qanaa'at main rakha hay aur loge us ko dowlat main talaash kartay hain phir kiyun kar milay gi?

          5)Apni Khushnudi main nay Mukhalfat-e-Nafs main rakhi hay aur loge us ko Mufaqat-e-Nafs main chahtay hain phir kiyun kar paein gay?

          Inhi 5 baaton par ghowr kar liya jaey to hamain sahi raasta mil sakta hay.warna to Quran-e-Majeed ka aik aik harf hamaray liye Mashal-e-Raah hay...aur phir is tarha baihaknay ki koi wajha baaqi nahi raihti.Yeh Khudaai Aafaat bhi hamaray aisay hi aamalon ka nateeja hain aur yeh silsila Hazrat Adam Alayhissalaam say lay kar ab tak yun hi chalta aa'raha hay.jis ki takeed baar baar Quran-e-Majeed main mowjood hay.

          Allah ham sab ko usi raastay par chalnay ki towfeeq ata farmaey jis ki taleem Quran-e-Majeed main di gaai hay.Aameen
          :roseENIGMA:rose

          Comment

          Working...
          X