Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Muhabbat Alfaz Ki Mohtajh Nahin!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Muhabbat Alfaz Ki Mohtajh Nahin!

    Originally posted by Masood
    Main nahin samjhta keh muhabbat key liye alfaaz ki zaroorat honi chahiye - haan iqrar karna aur karwa lena shayid kisi key liye taskeen ka baees ho, lekin jo kasak dil mein pedah hoti hai, woh doosrey dil ko mehsoos hoti hai. To alfaaz ki zaroorat?
    Assalam-o_Alikum WR WB

    Aap ki baat apni jagha sahi hy Masood per ya kahan kay Muhbat ko alfaazo ki zaroorat nahi hay .... to Masood Muhbat ko kabhi kabhi alfazo ki bhot ashad zaroorat par jaati hay ... aur hum log aksar nadanimain ay ana main muhbat ko alfaz ada nahi kar patay ... aur nateeja ya rah jata hay kay dil main aik kasak umaar bhar rah jaati hy kay kash .. kash alfazo ka sahra hi ly liya ho ta ....

    FeamanAllah
    Meri Taqdeer Main Likha Tha Khuda Ny Aik Din
    Tu Jisay Cha-hyga Wo Shaks Paraya Ho Ga


    Comment


    • #17
      Re: Muhabbat Alfaz Ki Mohtajh Nahin!

      bohat khoob
      sada or mukhtasir .. magr jamey

      :rose

      Comment


      • #18
        Re: Muhabbat Alfaz Ki Mohtajh Nahin!

        Originally posted by Masood View Post
        Aik Mukhtasir Afsana

        Kena nahi tha Kuch bhi ...han Itna fasana tha
        Wo Saans mein chalta tha , Rooh Jiss ka Thikana tha

        Buhat KhoobSoorat tehreer.....Ankhoun k zariyay DIL mein Otar gai....

        Comment


        • #19
          Re: Muhabbat Alfaz Ki Mohtajh Nahin!

          Originally posted by Gul View Post
          Kena nahi tha Kuch bhi ...han Itna fasana tha
          Wo Saans mein chalta tha , Rooh Jiss ka Thikana tha

          Buhat KhoobSoorat tehreer.....Ankhoun k zariyay DIL mein Otar gai....

          Bohat muddat baad itney pur'khaloos alfaaz suney hain aap sey Gul - bohat khush rahiyey :)
          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

          Comment


          • #20
            Re: Muhabbat Alfaz Ki Mohtajh Nahin!

            Muddat K baad kisi tehreer nay Dastak dee thee ..So ..ar Muddat k baad KOI mehmaan HO TU ACHA TU LAGTA HA NA:)

            Comment


            • #21
              Re: Muhabbat Alfaz Ki Mohtajh Nahin!

              Wow Masood bhai nice

              Comment


              • #22
                Re: Muhabbat Alfaz Ki Mohtajh Nahin!

                No more comments But Sachi Mohabat waqie main Alfaz ki Mohtaj nahi
                تیرے جیسی آنکھوں والے جب ساحل پے آتےہیں
                تو لہریں شور مچاتی ہیں،
                لو آج سمندر ڈوب گیا ۔


                ~Mujay Vote Dain~
                پاکستانی کا خواب

                Comment


                • #23
                  Re: Muhabbat Alfaz Ki Mohtajh Nahin!

                  Bohat zaberdast afsana hai massood....
                  waqaii ager hum kuch likhne baithe tu kalam wais ehi humre hath mai rehta hai or kagaz khalii rehta hai...chane ki bawajood kuch likh nahi patay....

                  bohat khoob....




                  Comment


                  • #24
                    Re: Muhabbat Alfaz Ki Mohtajh Nahin!

                    wah Masood bhai bari hi khobsoorat tehreer hai

                    ye shayad wohi bata sakta hai jis ko muhabbat hui ho
                    ke muhabbat ko alfaz ki zarorat hai ya nahi

                    wesey jahan tak main ne parha aur dekha hai
                    muhabbat kisi bhi cheez ki muhtaj nahi hai

                    nice post

                    Comment


                    • #25
                      Re: Muhabbat Alfaz Ki Mohtajh Nahin!

                      assalam-o-aalaikum,
                      mohobbat alfaz ki mohtaj nahi...
                      mohobbat kabhi alfaz ki mohtaj nahi hoti hai aur ye haqeqat hai...
                      bohot zaberdast tehreer hai masood bhai...
                      hamesha khush rahiye...

                      Comment

                      Working...
                      X