Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Muhabbat Alfaz Ki Mohtajh Nahin!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Muhabbat Alfaz Ki Mohtajh Nahin!

    Aik Mukhtasir Afsana
    Attached Files
    Last edited by Masood; 3 June 2005, 02:40.
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

  • #2
    Re: Muhabbat Alfaz Ki Mohtajh Nahin!

    Bohat accha likha app nay :rose
    http://www.genericviagra2015shop.com/

    Comment


    • #3
      Re: Muhabbat Alfaz Ki Mohtajh Nahin!

      Bohat khoob Masood bhai :)

      Comment


      • #4
        Re: Muhabbat Alfaz Ki Mohtajh Nahin!

        Thanx 4 sharing such a beautifull piece of writing. keep it up.

        Comment


        • #5
          Re: Muhabbat Alfaz Ki Mohtajh Nahin!

          Alfaaz bhi mohabbat k muhtaaj kaha...

          anyways...buhat umdahhh...:)

          khush rahein...

          Comment


          • #6
            Re: Muhabbat Alfaz Ki Mohtajh Nahin!

            Bohat hii umdah likha hai aap nay :rose
            Aise he heart touching afsaany likh ker hum say share kerty rahy :)

            Comment


            • #7
              Re: Muhabbat Alfaz Ki Mohtajh Nahin!

              naeen masood bahi
              hakeekat yahi hay key mohabat ilfaz ki mohtaj hay
              and yahi hakeekat hay key mohabat ko jab tak bataya na jaeey key tum meri mohabat ho , us ko app ka kabi yakeen naeen hota
              yeh her insan ki hamesha sey tamana rahi hoti hay key us ko koi sarhaey , koi us ko apni mohabat key barey main bateey.
              werna woi hota hay key
              hamesha khamosh rehnay waloon ki mohabat
              sirf o sirf
              shairi sunti hay , mohabat jis sey hoti hay wo kaheen ka kaheen pohanch jata hay

              :( so sad na
              per kia kareen yahi hakeekat hay
              People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

              Comment


              • #8
                Re: Muhabbat Alfaz Ki Mohtajh Nahin!

                v nice tehreer :thmbup:

                Comment


                • #9
                  Re: Muhabbat Alfaz Ki Mohtajh Nahin!

                  Nice afsaana...

                  per muhabbat jazbaat ki muhtaaj zaror hoti hai..........?
                  jo ager khatam ho jain to muhabbat bhi khatam ho jaati hai....jo ager maand parr jain to muhabbat bhi maand perr jati hai...?

                  Comment


                  • #10
                    Re: Muhabbat Alfaz Ki Mohtajh Nahin!

                    Originally posted by filbahere
                    naeen masood bahi
                    hakeekat yahi hay key mohabat ilfaz ki mohtaj hay
                    and yahi hakeekat hay key mohabat ko jab tak bataya na jaeey key tum meri mohabat ho , us ko app ka kabi yakeen naeen hota
                    yeh her insan ki hamesha sey tamana rahi hoti hay key us ko koi sarhaey , koi us ko apni mohabat key barey main bateey.
                    werna woi hota hay key
                    hamesha khamosh rehnay waloon ki mohabat
                    sirf o sirf
                    shairi sunti hay , mohabat jis sey hoti hay wo kaheen ka kaheen pohanch jata hay

                    :( so sad na
                    per kia kareen yahi hakeekat hay
                    Filba muhabbat aik jazba hai aur jazbon ka ta'aluq ehsasaat sey hota, ehsaas dil mein bedaar hota hai aur dil muhabbat ka maskan hai. Jab dil mein kisi key liye muhabbat ka jazbah baidaar hota hai to - agar to woh jazbah dono janib hai to btaney ki zaroorat pesh nahin aati. Khamosh aankhein, rukey rukey hont duz'deedah nigahein muhabbat ka elan kar deti hain, yeh woh message hota hai jo aik dil doosrey ko deta hai aur ismein kisi alfaaz ki zaroorat nahin hoti.
                    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                    Comment


                    • #11
                      Re: Muhabbat Alfaz Ki Mohtajh Nahin!

                      Originally posted by Barish
                      Nice afsaana...

                      per muhabbat jazbaat ki muhtaaj zaror hoti hai..........?
                      jo ager khatam ho jain to muhabbat bhi khatam ho jaati hai....jo ager maand parr jain to muhabbat bhi maand perr jati hai...?
                      Muhabbat to khud aik jazbah hai, issey kisi doosrey jazbey ki kiya zaroorat? Muhabbat kabhi khatam nahin hoti na hi maand parrti hai. Bas hamari soch badal jati hai. Zaroorat badal jati hai, talab badal jati hai. Jahan dil ka rishta ho wahan yeh batein asar nahin kartin, wahan dooriyan is ehsaas ko khatam nahin kartin.
                      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                      Comment


                      • #12
                        Re: Muhabbat Alfaz Ki Mohtajh Nahin!

                        Assalam-o-Alikum WR WB

                        Bashk ! insaan aksar asy halaat main sey wabsta ho jata hay kay us ka saath kabhi kabhi kalam bhi dey nhi pata hy .... asa kuo ho ta hay shayd ya to whi shaks bata sakta hay jis per beet to ho

                        bhot umda aur bhot hi haqeeqat ko aap ny byan kya hay

                        FeamanAllah
                        Meri Taqdeer Main Likha Tha Khuda Ny Aik Din
                        Tu Jisay Cha-hyga Wo Shaks Paraya Ho Ga


                        Comment


                        • #13
                          Re: Muhabbat Alfaz Ki Mohtajh Nahin!

                          Originally posted by Masood
                          Muhabbat to khud aik jazbah hai, issey kisi doosrey jazbey ki kiya zaroorat? Muhabbat kabhi khatam nahin hoti na hi maand parrti hai. Bas hamari soch badal jati hai. Zaroorat badal jati hai, talab badal jati hai. Jahan dil ka rishta ho wahan yeh batein asar nahin kartin, wahan dooriyan is ehsaas ko khatam nahin kartin.
                          Muhabbat ka jazba maand hi to parr jata hai kabhi kabhi?
                          Jab love n care khatam ho jai tab...
                          muhabbat buhat strong hoti hai initial stages main per usk bad ya to waqt use mazeed strong ker deta hai ya mazeeed maand.....

                          ye to meri ik observation hai...baqi log alag bhi sochte hain
                          love requires care....n without care love doesnt exist......

                          Comment


                          • #14
                            Re: Muhabbat Alfaz Ki Mohtajh Nahin!

                            Mohabbat kay baray main Ta Ji kay likhay lafzon say agree kartay huway bas itna kahun gi k mohabbat ya to hoti hay ya phir nahi hoti is main beech ki koi raah nahi.mohabbat ka lafz bouhat wasee hay.mohabbat do tarfa ho to kisi alfaaz ki koi zaroorat nahi kiya goongay andhay loge mohabbat say na'aashna hotay hain? yaktarfa mohabbat bhi ho to is say mohabbat ki azmat par koi farq nahi parta k mohabbat sharaait tay kar k nahi ki jaati...kay main nay tum ko chaha hay to tum bhi mujhay chaho... yeh mohabbad nahi sowda ho gaya,kaarobaar ho gaya,ham jin ko chahain woh ham say paihlay is duniya-e-faani ko chowr jaein to kiya ham un ko bhool kar nai mohabbat talaash karain gay?mohabbat nay yeh shirt to nahi lagaai k kisi aik ki zindagi wafa na karay to doosra apni mohabbat dafn karday.mohabbat ko fana nahi...jo fana ho jaey woh mohabbat nahi....na yeh sharait par hoti hay...yeh apna aap khud zaahir karti hay....andhairay main rowshni ki tarha aik dam apnay wujood ka aihsaas dilati hay lakin yeh qatai zaroori nahi k jis ko ham chahtay hain woh bhi laazmi ham ko chahay warna ham us say mohabbat nahi karain gay....main is ko mohabbat nahi maanti saraab-e-mohabbat zaroor hay yeh.
                            Last edited by hayaa_n; 23 November 2005, 00:43.
                            :roseENIGMA:rose

                            Comment


                            • #15
                              Re: Muhabbat Alfaz Ki Mohtajh Nahin!

                              Originally posted by Bheegi-Palkain
                              Assalam-o-Alikum WR WB

                              Bashk ! insaan aksar asy halaat main sey wabsta ho jata hay kay us ka saath kabhi kabhi kalam bhi dey nhi pata hy .... asa kuo ho ta hay shayd ya to whi shaks bata sakta hay jis per beet to ho

                              bhot umda aur bhot hi haqeeqat ko aap ny byan kya hay

                              FeamanAllah
                              Main nahin samjhta keh muhabbat key liye alfaaz ki zaroorat honi chahiye - haan iqrar karna aur karwa lena shayid kisi key liye taskeen ka baees ho, lekin jo kasak dil mein pedah hoti hai, woh doosrey dil ko mehsoos hoti hai. To alfaaz ki zaroorat?
                              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                              Comment

                              Working...
                              X