jagti aankhon se subah ka manzar acha laga ...
ham uljhey huye bethey rahey raat bhar ..
ye soch liye ..kuch ban- parrey to ham bhi manzil ko chalen
...khayalon ne karwat li ...
subah ke ujaley ne khirrki se jhanka ..
hamari aankhon ... ko kuch pur-noor kia..
.ham nazara aasmaan ka dekhtey hi reh gaye ..
phir athkhelyaan gilehryon ki darakhton ki zeenat banin...
ab to soch ..dukh se sukh ki janib yun huii ke ham bhool
gaye preshaan kion kar the...
gehri saans ne umeed ke kuch diye roshan kar diye...
akhyaan qudrat ka nazara kartey janey kese khuaab
bun-ney lagin...
Ik Khwaab jo dekha Na Kabhi Ley Ura Neendai.n .
.kuch ajab sa aalam thaa.. ham jaagtey rahey lekin
ham jagey na the.. so rahey the shayed ..
ya gum kisi maqsad ki khyali bunyaad pe the...
ham nahen jaantey kitni der tak us hisar main rahey..
. ke .. aankhon se neend to raat bhar ojhal rahi...
lekin .. khuwab kia tha wo jo le urra neenden ..
ham nahen jantey ya .. shayed ham khush hotey
rahey khuli aankhon se manzilon ki kahanyaan
parhtey huye jo ghera kiye rahin hamen raat bhar...
aur subah ke ujaley ne rang bhar diye muskurahat
ke in jagti aankhon main...
by me (A)
:cc:
Comment