Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Ik Khwaab jo dekha Na Kabhi

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Ik Khwaab jo dekha Na Kabhi


    jagti aankhon se subah ka manzar acha laga ...
    ham uljhey huye bethey rahey raat bhar ..
    ye soch liye ..kuch ban- parrey to ham bhi manzil ko chalen
    ...khayalon ne karwat li ...
    subah ke ujaley ne khirrki se jhanka ..
    hamari aankhon ... ko kuch pur-noor kia..
    .ham nazara aasmaan ka dekhtey hi reh gaye ..
    phir athkhelyaan gilehryon ki darakhton ki zeenat banin...
    ab to soch ..dukh se sukh ki janib yun huii ke ham bhool
    gaye preshaan kion kar the...
    gehri saans ne umeed ke kuch diye roshan kar diye...
    akhyaan qudrat ka nazara kartey janey kese khuaab
    bun-ney lagin...

    Ik Khwaab jo dekha Na Kabhi Ley Ura Neendai.n .
    .kuch ajab sa aalam thaa.. ham jaagtey rahey lekin
    ham jagey na the.. so rahey the shayed ..
    ya gum kisi maqsad ki khyali bunyaad pe the...
    ham nahen jaantey kitni der tak us hisar main rahey..
    . ke .. aankhon se neend to raat bhar ojhal rahi...
    lekin .. khuwab kia tha wo jo le urra neenden ..
    ham nahen jantey ya .. shayed ham khush hotey
    rahey khuli aankhon se manzilon ki kahanyaan
    parhtey huye jo ghera kiye rahin hamen raat bhar...
    aur subah ke ujaley ne rang bhar diye muskurahat
    ke in jagti aankhon main...

    by me (A)

    :cc:
    Last edited by Aania; 14 March 2006, 06:27.
    Visit My Early PS Work
    You Are Welcome To Comment

  • #2
    Re: Ik Khwaab jo dekha Na Kabhi

    hmmmmmm cool:phool:
    sigpic

    Comment


    • #3
      Re: Ik Khwaab jo dekha Na Kabhi

      Assalaam o alaikum
      kya baat hay !
      haiN kya baat hay ???
      mujhay kuch samajh nahi aayaa!!! :(
      wassalaam
      Raza Baykamal
      Last edited by baykamal; 14 March 2006, 04:10.

      kyoN RAZA mushkil say Dariay----jabb nabi S.A.W mushkil kusha ho

      Comment


      • #4
        Re: Ik Khwaab jo dekha Na Kabhi


        BEAUTIFUL POEMS.... WOW.....

        CHIPKOOOOOOOOOOOO

        Comment


        • #5
          Re: Ik Khwaab jo dekha Na Kabhi

          Originally posted by Withoutsoul

          BEAUTIFUL POEMS.... WOW.....
          ye nasr hai
          poems nahen hain.. :(
          Visit My Early PS Work
          You Are Welcome To Comment

          Comment


          • #6
            Re: Ik Khwaab jo dekha Na Kabhi

            Originally posted by baykamal
            Assalaam o alaikum
            kya baat hay !
            haiN kya baat hay ???
            mujhay kuch samajh nahi aayaa!!! :(
            wassalaam
            Raza Baykamal
            aap ka reply parh ke meri hansi band nahen ho rahi Razaaaaaaa
            kahan reh gaye ho .... :lol
            Visit My Early PS Work
            You Are Welcome To Comment

            Comment


            • #7
              Re: Ik Khwaab jo dekha Na Kabhi

              Originally posted by Aania
              ye nasr hai
              poems nahen hain.. :(

              LIKHEE AZAD NAZM K STYLE MAI HAI NA...
              NASR TO PARAGRAPHS KI SOORAT MAI LIKHEE JATI HAI.. :zuban:


              CHIPKOOOOOOOOOOOO

              Comment


              • #8
                Re: Ik Khwaab jo dekha Na Kabhi

                bohat umda, adik sunder, bulke mashallah :flower
                :thmbup:

                Comment


                • #9
                  Re: Ik Khwaab jo dekha Na Kabhi

                  Originally posted by Withoutsoul

                  LIKHEE AZAD NAZM K STYLE MAI HAI NA...
                  NASR TO PARAGRAPHS KI SOORAT MAI LIKHEE JATI HAI.. :zuban:

                  apun ka apna style hai ji.... :lpop:
                  Visit My Early PS Work
                  You Are Welcome To Comment

                  Comment


                  • #10
                    Re: Ik Khwaab jo dekha Na Kabhi

                    Originally posted by munda_sialkoty
                    bohat umda, adik sunder, bulke mashallah :flower
                    shukran ... shonyo... aap ko acha laga ish liye shukran ... khush raho...
                    Visit My Early PS Work
                    You Are Welcome To Comment

                    Comment


                    • #11
                      Re: Ik Khwaab jo dekha Na Kabhi

                      Assalaam o alaikum
                      wo kehtay haiN na k jab kisi jaanwar ki shaamat aati hay to wo sheher ki taraf dauRta hay aur jabb kisi insan pay shaamat aati hay to wo apnay pinD ki taraf dauRta hay!!!! abhi takk maiN pinD nahi gya!! yaani k theek hooN!!
                      fikar not!!!! maiN abhi takk iss nazm-e-nasr k beech maiN hi hooN k yai hay kya !!!! kya aania nay kuch naee sinf e sukhan to nahi eejaad kar li?? waisay inn ki sinf e sukhan, sinf e sukhan kamm aur sinf e dukhan zyada hoti hay!!!
                      ab haso tumhaiN maan jaooN ga!!!
                      wassalaam
                      Baykamal

                      kyoN RAZA mushkil say Dariay----jabb nabi S.A.W mushkil kusha ho

                      Comment


                      • #12
                        Re: Ik Khwaab jo dekha Na Kabhi

                        Originally posted by Aania
                        apun ka apna style hai ji.... :lpop:

                        Poem k style mai nasr...... :khi: :lol

                        CHIPKOOOOOOOOOOOO

                        Comment


                        • #13
                          Re: Ik Khwaab jo dekha Na Kabhi

                          aSSLAM_o_aLIKUM wr wb

                          Nice aania ... sorry late dekha

                          FeaamnAllah
                          Meri Taqdeer Main Likha Tha Khuda Ny Aik Din
                          Tu Jisay Cha-hyga Wo Shaks Paraya Ho Ga


                          Comment


                          • #14
                            Re: Ik Khwaab jo dekha Na Kabhi

                            Originally posted by baykamal
                            Assalaam o alaikum
                            wo kehtay haiN na k jab kisi jaanwar ki shaamat aati hay to wo sheher ki taraf dauRta hay aur jabb kisi insan pay shaamat aati hay to wo apnay pinD ki taraf dauRta hay!!!! abhi takk maiN pinD nahi gya!! yaani k theek hooN!!
                            fikar not!!!! maiN abhi takk iss nazm-e-nasr k beech maiN hi hooN k yai hay kya !!!! kya aania nay kuch naee sinf e sukhan to nahi eejaad kar li?? waisay inn ki sinf e sukhan, sinf e sukhan kamm aur sinf e dukhan zyada hoti hay!!!
                            ab haso tumhaiN maan jaooN ga!!!
                            wassalaam
                            Baykamal
                            bahir aa jao Raza ji.... :khi::tauba:lpop:
                            Visit My Early PS Work
                            You Are Welcome To Comment

                            Comment


                            • #15
                              Re: Ik Khwaab jo dekha Na Kabhi

                              hmmmmmmmmm nice one aaina ji

                              Comment

                              Working...
                              X