Ik Lamha Khyal e zindagi rukhsat hua mujh se....aur yun hua ke dil kisi gehri soch mein hai....yaa phir maut ke hosh mein hai...har wadi har aangan kitnaa soona soona sa hai...jesey aankhen band huii hon...Ik aahat kisi khauf ke hisar mein chupi..har simt khamoshiyon ki chadar tani hai...har raah umeed ki kirnon se bekhabar..... Ab zindagi nahen hai...to phir ye kia ehsas hai... ya tum jaa chukey ho...kitab e zindagi band kar ke...ya saanson ka rishta nahen koi khyalon se wabastaa.... ye ajab kasak dil mein hai...koi kami hai...ya kuch aur hona baaqi thaa....zindagi rukhsat honey se pehley..
Ik Lamha Khyal e Zindagi roshan hua hai... har pal dil se ji loon yunhi aawaz aati hai har khuwahish har dharrkan se...bohat kuch sochney samajhney aur ho janey ki tamanna hai...har saans dil se wabasta har khuwab se jurri hai... bohat si khushyan manzilon ki raah takti hein....bohat se khuwab raah-e-manzil pe hein gamzan... koi bhi khauf nahen...bas itnaa...ke tum saath hi chalnaa... in saari khushyon mein...aur in umangon mein...har roz naya josh nayee aarzoo ka aa jana...fitrat hai...kion ke bohat kuch honey ko baqi hai. ....tasalsul rabton mein hai..jo har dil se jurr ke aankhon mein sapney sajatey hein..kahin rabtaa zindagi se..aur kahin...khushyon se...phir chotey chotey khuwabon se.... abhi bohat kuch honey ko baaqi hai.....
by, Me ( A )

Comment