Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Tere baghair.......zindagi

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Tere baghair.......zindagi

    Assalaam-O-alaikum

    Aaj bohat dinoo baat kuch likhnay ki himmat kar raha hoon, umeed hay pasand aayay ga... kisi bhi ghalti ki paishgi maazrat.

    TERE BAGHAIR...... ZINDAGI

    Jaan hay tou jahaan hay.... bachpan say iss jumlay ko sunta aaya hoon aur kayii baar iss jumlay ka istimaal bhi kia hay.... najaanay kiyon kuch dinoo say yeh jumla meri soch ka markaz bana hua hay.... aur sahi baat kahoon kay jab say pious_fairy kay
    saath paish huway haalat ko sochta hoon tou yeh fikar aur bhi gheri hojaati hay~!

    Kuch log aisay hotay hain jo zindagi say aisay mansoob hojaatay hain kay hum unhain bazat-e-khudh JAAN pukarna shuroo kardaitay hain aur yehi jumla JAAN hay tou JAHAN hay kitna bhala lagta hay..... aur agar woh JAAN hi na rahay tou...!!?? yeh saara Jahan kitna soona soona lagta hay aur insaan mehfil main reh kar bhi apnay aap ko tanha mehsoos karta hay...!!

    Main nay phir iss per ghour kia aur apnay aaas paas basnay waaloon logon ki zindagi per nigaah daali aur iss nateejay per poohancha hoon kay Iss maamlay main insaan bohat hi khudhgharz saabit hua hay, kehtay hain kay duniya main koi bhi shakhs
    itna important nahin hota jiss kay baghair zindagi na guzaari jaa sakay.... marnay waloon kay peecha mara nahin jaata..... aur bhi bohat say aisay dilaasay hain jo insaan apnay aap ko day kar apni zindagi jeeta hay... magar yeh bohat hi takleef aur
    aziyat bharay lamhaat hotay hain jiss main aik saans laina bhi aik boujh lagta hay magar guzarta waqt har zakhm ka marham bann kar gham ko ghalat karta rehta hay aur jaanay waloon ki yaad srif unki barsi tak mehdood reh jaati hay....!!

    Kisi shayer nay aisay moqay per kia khoob kaha hay.
    Guzar tou jaayay gii teray baghair bhi laikin
    Bohat udaas, bohat bayqarar guzraay gii....!


    Likhna tou bohat kuch magar iss waqt dimagh intishaar ka shikaar hay.....! jald hi iss per mazeed likhoon ga.....~

    Fi amaan ALLAH


    sigpic

  • #2
    Re: Tere baghair.......zindagi

    Guzar tou jaayay gii teray baghair bhi laikin
    Bohat udaas, bohat bayqarar guzraay gii....!


    .......................!!!!!

    Comment


    • #3
      Re: Tere baghair.......zindagi

      @

      و عليكم السلام

      buhut kuch kehna chahti hoon ...magar.............

      Allah sub par reham farmaye...
      .......................!!!!!

      Comment


      • #4
        Re: Tere baghair.......zindagi

        Ameen
        sigpic

        Comment


        • #5
          Re: Tere baghair.......zindagi

          وعلیکم اسلام ورحمتہ اللہ
          میں نہیں چاہ رہا تھا کہ "فیری "کے غم کو پھر سے ابھاروں لیکن آپ کے تھریڈ نے مجبور کر دیا کہ وہ دن پھر سے یاد کروں ۔۔۔۔۔اس اندوہناک خبر کے بعد میرا پیغام پر آنے کو بالکل بھی دل نہیں کرتا تھا اور جانے انجانے یہی سوچتا رہتا تھا کہ غم؟؟؟؟؟؟؟ لفظ غم کے معنی اگر بتانے ہوں تو فیری کا تزکرہ کر دو پتھر سےپتھر دل کو بھی معلوم ہوجائے گا کہ "غم "کس عزاب کو کہتے ہیں۔

          پنکج ادھاس کی گائی ہوئی یہ غزل اکثر میں سنتا رہتا ہوں آپ کی اس تحریر کی مناسبت کی بنا پر یہاں شئیر کر رہا ہوں

          مجبوری کے موسم میں بھی جینا پڑتا ہے
          تھوڑا سا سمجھوتہ جانم کرنا پڑتا ہے

          کبھی کبھی کچھ اس حد تک بڑھ جاتی ہے لاچاری
          لگتا ہے یہ جیون جیسے بوجھ ہو کوئی بھاری
          دل کہتا ہے روئیں، لیکن !!!!!!ہنسنا پڑتا ہے

          مجبوری کے موسم میں ۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔

          کبھی کبھی اتنی دھندلی ہو جاتی ہیںتصویریں
          پتہ نہیں چلتا پیروں میں کتنی ہیں زنجیریں
          پاوں بندھے ہوتے ہیں ، لیکن!!!!!!!!!!!!چلنا پڑتا ہے

          مجبوری کے موسم میں ۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔

          روٹھ کے جانے والا بادل ،ٹوٹنے والا تارا
          کس کو پتہ کن لمحوں میں بن جائے کون سہارا
          دنیا کیسی بھی ہو، رشتہ!!!!!!!!!!رکھنا پڑتا ہے

          مجبوری کے موسم میں بھی جینا پڑتا ہے
          تھوڑا سا سمجھوتا جانم کرنا پڑتا ہے

          اللہ جی ہم سب کے حالوں پر رحم فرمائیں آمین
          Last edited by S.Athar; 23 June 2011, 11:41.
          :star1:

          Comment


          • #6
            Re: Tere baghair.......zindagi

            mujhe nahi malom Qissa kia hai par koi buhat bare dukh ki baat lagti hai

            Allah sab ko apni hifzo amaan main rakha
            ameen..

            Comment


            • #7
              Re: Tere baghair.......zindagi

              thefire1
              aapki tehreer paRhi,
              ek khaas kaifiyat aur dil ki gudaazi meN ye alfaaz qalamband huwey haiN.
              har chand ke maiN ek arsa ghair-haazir rahaa, lekin aapki mukhtasar tehreer meN ye ishaara paaya
              ke kisee rukn ke saath pesh aaney waaley haadisey ko le kar aap ranjeeda haiN.
              aap ne logoN ke hansney ki baat kahee...ek saanhey ke baad phir ek baar maamol ki zindagi guzaarney ki baat ki.
              insaan ko Allah ne apni neAmatoN meN se ek neAmat 'bhoolney/ bhulaaney' ki dee hai. iss par hameN uss ka shukrguzaar hona chaahiye. agar aesa na hota toa hum ek ke baad ek, guzrey logoN ka maatam kartey baiThtey aur hum par jo zimmedaari hai, unn logoN ki jo hum se mansoob haiN, wo jin ki zindagi ka inhisaar hum par hai, sab kuchh pas-e-pusht Daal kar hum sirf jaaney waaloN ke gham ka bojh uThaaye phirtey.
              '
              wo diye bujh gaye toa kya, unki raushnee nigaahoN meN toa hai. tum ab naye chiraaghoN ki parwarish karo. unheN hawaaoN se bacha sako toa bacha lo.

              Nadir Khan Sargiroh

              Comment


              • #8
                Re: Tere baghair.......zindagi

                aap kay qeemati alfaaz ka bohat bohat Shukriya SAZ, Life and Nadir sahab, khush rahyeh
                sigpic

                Comment

                Working...
                X