Assalaam-O-alaikum
Aaj bohat dinoo baat kuch likhnay ki himmat kar raha hoon, umeed hay pasand aayay ga... kisi bhi ghalti ki paishgi maazrat.
TERE BAGHAIR...... ZINDAGI
Jaan hay tou jahaan hay.... bachpan say iss jumlay ko sunta aaya hoon aur kayii baar iss jumlay ka istimaal bhi kia hay.... najaanay kiyon kuch dinoo say yeh jumla meri soch ka markaz bana hua hay.... aur sahi baat kahoon kay jab say pious_fairy kay
saath paish huway haalat ko sochta hoon tou yeh fikar aur bhi gheri hojaati hay~!
Kuch log aisay hotay hain jo zindagi say aisay mansoob hojaatay hain kay hum unhain bazat-e-khudh JAAN pukarna shuroo kardaitay hain aur yehi jumla JAAN hay tou JAHAN hay kitna bhala lagta hay..... aur agar woh JAAN hi na rahay tou...!!?? yeh saara Jahan kitna soona soona lagta hay aur insaan mehfil main reh kar bhi apnay aap ko tanha mehsoos karta hay...!!
Main nay phir iss per ghour kia aur apnay aaas paas basnay waaloon logon ki zindagi per nigaah daali aur iss nateejay per poohancha hoon kay Iss maamlay main insaan bohat hi khudhgharz saabit hua hay, kehtay hain kay duniya main koi bhi shakhs
itna important nahin hota jiss kay baghair zindagi na guzaari jaa sakay.... marnay waloon kay peecha mara nahin jaata..... aur bhi bohat say aisay dilaasay hain jo insaan apnay aap ko day kar apni zindagi jeeta hay... magar yeh bohat hi takleef aur
aziyat bharay lamhaat hotay hain jiss main aik saans laina bhi aik boujh lagta hay magar guzarta waqt har zakhm ka marham bann kar gham ko ghalat karta rehta hay aur jaanay waloon ki yaad srif unki barsi tak mehdood reh jaati hay....!!
Kisi shayer nay aisay moqay per kia khoob kaha hay.
Guzar tou jaayay gii teray baghair bhi laikin
Bohat udaas, bohat bayqarar guzraay gii....!
Likhna tou bohat kuch magar iss waqt dimagh intishaar ka shikaar hay.....! jald hi iss per mazeed likhoon ga.....~
Fi amaan ALLAH

Comment