Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

wo kehtey hain..!!!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • wo kehtey hain..!!!

    wo kehtey hain..Meri Maan mar gayii
    wo kehtey hain k Wo wahan us qabar main hai..

    Jhoot..........main nahii maantii..Merii Maan xinda hai..wo nahiin marii..
    mera weham nai hai..ye such hai..yeh un ka sirf ehsaas hi nai hai..kyunki ehsaas ki awaaz nahii..ehsaas bolta tu nahii...
    Meri Maan sirf koi kahanii tu nahiin jo qalam se likh k miTa dii jaye..or phir usey bhula diya jaye..
    Wo har raat atii hai..nangey pair buhut door sey..........merey aansoo poonchtii hai....muskura k mera maatha choomtii hai phir .............phir main so jati hoon..

    Maan.......tu din main ghayab jub hojati hai..or apney peechey sirf wo khushboo chorr deti hai..mujhey yaqeen honey lagta hai...un ki baatoon par..
    Maan kya such main tu wahan Qabar main jeeti hai???wahiin tera din wahiin terii raat guzartii hai..????

    Wo muskura dii or main ne un ki aankhoon main Jawaab parrh liya..
    "Betii main tera weham nahii..main koi saraab nahii..Betii main wahan zameen k neechey apney mehal main rehtii hoon.."

    phir achanak....tamam qandelein bujh gayein......andhera hogaya......KYA RAAT HO CHUKII??? ...........HAAN.......... un ki aankhoon main doobtey sooraj ki si laali thii..un k gaaloon par chamktey aansoo behney lagey..
    main jaan gayii k yeh aakhrii mulaqaat thii.....or Ammi janey wali hain.....aj aik khiley phool k bajaye unhoon ne merey haath main aik murjhaya howa phool rakha.....

    "Alvida meri Betii"......Yeh akhri lafz bijlii ki tarah mujh par girrey...

    Chali gayein ........wo chalii gayein......
    Us sooraj ki tarah jo samundar k peechey chup jata hai.....
    main royii......un ko pukartii rahii.....Taiz baarish baras rahi thii.....main ne us ki parwaah na ki.....Ammi ko dhoondney lagii.....
    Ammi louT aao......louT aao...Kyunki agar phool murjha jayein tu shehad ki makhiyaan mar jatii hain......
    Ammi....agar parindey urr jayein tu un k ghonsley bhi khatam hojatey hain..
    Ammi....terey bina main aik aisa pat'a hoon jissey hawa jidher chahey urra k phaink dey..

    Main ne aik awaaz sunii..........Haan......... yeh tu ammi ki awaaz hai..
    "Betii...mujhey na dhoondo...main humesha k liye chali gayi hoon..aik aisii jagah jahan se koi louT k nahii ata..
    Betii teri dunya main mera koi wajood nahii...
    main aik khwaab hoon..saraab hoon...terey dil ka weham hoon...Main wo maan hoon jo dhuwein ki tarah aa k ghayab hogayii...merii bachii main ja chukii hoon...mujhey na dhoodoo..."

    ***************************
    Last edited by BhaTaktii RooH; 5 July 2010, 13:00.
    .......................!!!!!

  • #2
    Re: wo kehtey hain..!!!

    :salam: Is Ka jawab Tasali Say Urdu Main Likhon ga Insah ALLAH
    :star1:

    Comment


    • #3
      Re: wo kehtey hain..!!!

      Originally posted by S.A.Z View Post
      :salam: Is Ka jawab Tasali Say Urdu Main Likhon ga Insah ALLAH
      theek...
      .......................!!!!!

      Comment


      • #4
        Re: wo kehtey hain..!!!

        bohut hee pyari tehreer hai aur udaas bhi , duniya mei hrr chez k bghair rehne ka tswr kia ja skta hai but maa baap k bghair...hrgiz nhi, Maa jaise khubsurat dolat ka koi naim ul bdl nhi hai

        Comment


        • #5
          Re: wo kehtey hain..!!!

          Originally posted by Passionaire View Post
          bohut hee pyari tehreer hai aur udaas bhi , duniya mei hrr chez k bghair rehne ka tswr kia ja skta hai but maa baap k bghair...hrgiz nhi, Maa jaise khubsurat dolat ka koi naim ul bdl nhi hai
          sahee kaha ap ne....MaaN ka koi na'em'ul'badal nahii...aik baar jo kho diya tu wapas paa na sako gey...

          thnx dear...
          .......................!!!!!

          Comment


          • #6
            Re: wo kehtey hain..!!!

            chhoTeee bahen
            achhee koshish hai jaaree rakhiye ...meree jaanib se daad
            Ismail Ajaz (Khayaal)

            muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
            Khayaal aap kee maiHfil meN aaj phir aayaa

            Comment


            • #7
              Re: wo kehtey hain..!!!

              Originally posted by Ismail Ajaz View Post
              achhee koshish hai jaaree rakhiye ...meree jaanib se daad
              :rose
              .......................!!!!!

              Comment


              • #8
                Re: wo kehtey hain..!!!

                Bohut hi khoobsoorat aur dil ku choo lenay wali tehreer hai.....:rose

                Main aik baat zaroor kahoon ga....jab insaan aik dossray insaan say piyaar kerta hai...sachha piyaar aur ho bhi wo muslsmaan (chahe baap, beta, maan behen ya bhai)...tu ye mumkin nahi k Allah hamesaha k liye unn main judai daal day....ye sirf aur sirf 02 duniyaoon (worlds) ka faasla hai..jo humain aik dossray say milnay nahi deta....jab hum bhi uss duniya main pohuch jain gay tu apnay piyaroon say mil sakain gay dekh sakain ga...duniya main guzray lamhatt k baray main guftugu karain gay..aur phir kabhi aik doosray say juda nahiu hongay...ye Allah Rabb-ul-izzat ka wada hai..her muslman momin say..aur Allah apnay waday k khilaaf nahi kerta..bus naik amaal humaree sawaari hai..jiss per beth ker hum apnay unn piyaroon say mil sakain gay jo hum say iss duniya main hum say pehlay juda ho gaye..bilkul iss terhan jaisy koi aik mulk say dossray mulk chala jata hai...hum uss ko na bhi dekhain na baat ker sakain tu bhi aik ummed hotee hai..k kabhi na kabhi mulaaqat zaroor ho gee....tu kia muk-e-adan main hum apnay piyaroon say nahi mil sakain gya...asia mumkin nahi...In sha Allah zaroor milain gay...kabhi juda na honay k liye....!!





                Allah-o-Akbar Kabeera, Wal Hamdulillaah-e-Kaseera, Subhan Allah-e-Bukratan-wa-Aseela

                Comment


                • #9
                  Re: wo kehtey hain..!!!

                  thanks 4 sharing

                  Comment


                  • #10
                    Re: wo kehtey hain..!!!

                    Beautiful
                    sigpic

                    Comment


                    • #11
                      Re: wo kehtey hain..!!!

                      very nice, beautiful





                      Comment


                      • #12
                        Re: wo kehtey hain..!!!

                        "There are truths which are not for all men, nor for all times."

                        bus itna hi kehna tha

                        Comment


                        • #13
                          Re: wo kehtey hain..!!!

                          Originally posted by Muhammad Ali Jawad View Post
                          Bohut hi khoobsoorat aur dil ku choo lenay wali tehreer hai.....:rose

                          Main aik baat zaroor kahoon ga....jab insaan aik dossray insaan say piyaar kerta hai...sachha piyaar aur ho bhi wo muslsmaan (chahe baap, beta, maan behen ya bhai)...tu ye mumkin nahi k Allah hamesaha k liye unn main judai daal day....ye sirf aur sirf 02 duniyaoon (worlds) ka faasla hai..jo humain aik dossray say milnay nahi deta....jab hum bhi uss duniya main pohuch jain gay tu apnay piyaroon say mil sakain gay dekh sakain ga...duniya main guzray lamhatt k baray main guftugu karain gay..aur phir kabhi aik doosray say juda nahiu hongay...ye Allah Rabb-ul-izzat ka wada hai..her muslman momin say..aur Allah apnay waday k khilaaf nahi kerta..bus naik amaal humaree sawaari hai..jiss per beth ker hum apnay unn piyaroon say mil sakain gay jo hum say iss duniya main hum say pehlay juda ho gaye..bilkul iss terhan jaisy koi aik mulk say dossray mulk chala jata hai...hum uss ko na bhi dekhain na baat ker sakain tu bhi aik ummed hotee hai..k kabhi na kabhi mulaaqat zaroor ho gee....tu kia muk-e-adan main hum apnay piyaroon say nahi mil sakain gya...asia mumkin nahi...In sha Allah zaroor milain gay...kabhi juda na honay k liye....!!



                          thnx chacho for ur beautiful words...:rose

                          Originally posted by sana khan View Post
                          thanks 4 sharing
                          Originally posted by ptclevo View Post
                          Beautiful
                          Originally posted by baniazkhan View Post
                          very nice, beautiful
                          thnx..:rose
                          .......................!!!!!

                          Comment


                          • #14
                            Re: wo kehtey hain..!!!

                            Originally posted by MeemSheenAlif View Post
                            "There are truths which are not for all men, nor for all times."

                            bus itna hi kehna tha
                            jitna kaha utna hi kafi tha...; )
                            .......................!!!!!

                            Comment


                            • #15
                              Re: wo kehtey hain..!!!

                              is tahreer par comment dena soraj ko chirag dekhana hay...bas ye tahreer nahi ahoo siskio may doba aik karb hay aik pukar a...Rania zabardast you are best of best sach jasay jasay parha app ki salhiat ko man-na para :rose jasi ye dard o karb may dobi tahreer hay wasi app khabi dekhi nahi buhat chupi hui ho app ...
                              ہے الف و لیلہ سی زندگی درپیش
                              سو جاگتی ہوئی ، اک شہر زاد ہے دل میں

                              Comment

                              Working...
                              X