Bhattak raha hoon,,,,,,,,khoo giya hoon shaher kii bheer mein,,,,,,rah chaltey her kisi ko barii hasrat sey takta hoon koii pukarey koii aawaaz lagaeyey koii apnaa ban key milley,,,,,per aankheyn mayoos hoo kar namm hooney lagttii heyn,,,,,per aansoo bhee too naheyn girtey,,,,tehar gaeyey heyn palkoon per,,,,bohut azeyat hootii hey,,,,,lagtaa hey andar hi andar dill key weeraan khandar mein qatra qatraa girr rahey hoon,,,,,rooh ghayal hoo key rah jaatii hey,,,,,per koun hey aysa joo marham rakhey,,,her gaah her gaam neyey sey naeyey zakham baanheyn pheylaeyey saath lipatney koo beytaab rahtey heyn keysey daaman bachaaoon bhalla,,,,her chahraa hii ajnabii ,,,,sabhii anjaan beygaaney,,,,,khoojtaa hoon inn chahroon koo bhee,,,,,muskurahat too sajjii hootii hey per aankheyn jaaneyn koun koun sey dukh sameytey matam kunnan nazar aatii heyn,,,,,per khud koo deykhta hoon too hountoon pey tabbasam bhee naheyn miltaa,,,,,khoo giyaa hey jaaneyn kahaan?
tanhaii key sannatey sey tang aa kar chaand kii oor deykhtaa hoon too tamaneyat kii jagha wehshat sii hooney lagttii hey,,,,,keysey ye tanhaii ka dard sah raha hey azal sey abad tak sahtaa hii rahey gaa,
nazreyn churra leyta hoon iss sey,,,,phir sey shaher kii bheer mein khud koo gumm kar leyta hoon.

Comment