Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Khudkalamii

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Khudkalamii

    Bhattak raha hoon,,,,,,,,khoo giya hoon shaher kii bheer mein,,,,,,rah chaltey her kisi ko barii hasrat sey takta hoon koii pukarey koii aawaaz lagaeyey koii apnaa ban key milley,,,,,per aankheyn mayoos hoo kar namm hooney lagttii heyn,,,,,per aansoo bhee too naheyn girtey,,,,tehar gaeyey heyn palkoon per,,,,bohut azeyat hootii hey,,,,,lagtaa hey andar hi andar dill key weeraan khandar mein qatra qatraa girr rahey hoon,,,,,rooh ghayal hoo key rah jaatii hey,,,,,per koun hey aysa joo marham rakhey,,,her gaah her gaam neyey sey naeyey zakham baanheyn pheylaeyey saath lipatney koo beytaab rahtey heyn keysey daaman bachaaoon bhalla,,,,her chahraa hii ajnabii ,,,,sabhii anjaan beygaaney,,,,,khoojtaa hoon inn chahroon koo bhee,,,,,muskurahat too sajjii hootii hey per aankheyn jaaneyn koun koun sey dukh sameytey matam kunnan nazar aatii heyn,,,,,per khud koo deykhta hoon too hountoon pey tabbasam bhee naheyn miltaa,,,,,khoo giyaa hey jaaneyn kahaan?
    tanhaii key sannatey sey tang aa kar chaand kii oor deykhtaa hoon too tamaneyat kii jagha wehshat sii hooney lagttii hey,,,,,keysey ye tanhaii ka dard sah raha hey azal sey abad tak sahtaa hii rahey gaa,
    nazreyn churra leyta hoon iss sey,,,,phir sey shaher kii bheer mein khud koo gumm kar leyta hoon.
    Qaffas-e-hijr mein
    saansoon ka amal
    jarii tou hey magar
    zindagii hey kahaan
    dhoondh raha hoon
    sagarkhan:rose

  • #2
    Re: Khudkalamii

    Sagar bohat umdah likha hai aap ney - apni hi socho mein gum insan kahi se kahi nikal jata hai aur kuchh sey kuhh sochta hai. Har chehra aik kahanai hai aur har kahani key peechey aik chehra hai... magar phir bhi bheer mein gum sum na tera pata na mera :)

    Nice :rose
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment


    • #3
      Re: Khudkalamii

      Originally posted by Masood
      Sagar bohat umdah likha hai aap ney - apni hi socho mein gum insan kahi se kahi nikal jata hai aur kuchh sey kuhh sochta hai. Har chehra aik kahanai hai aur har kahani key peechey aik chehra hai... magar phir bhi bheer mein gum sum na tera pata na mera :)

      Nice :rose
      iss izzat afzaii kaa tah-e-dill sey mamnoon hoon masood bhaii,,,,,khush raheyey sadda:rose
      Qaffas-e-hijr mein
      saansoon ka amal
      jarii tou hey magar
      zindagii hey kahaan
      dhoondh raha hoon
      sagarkhan:rose

      Comment


      • #4
        Re: Khudkalamii

        wow mashaAllah kia likhtey ho Sagarkhan .... zabardast :rose
        Visit My Early PS Work
        You Are Welcome To Comment

        Comment


        • #5
          Re: Khudkalamii

          Woww boaht umdah likhtay hain aap ..SagarKhan:thmbup:
          sigpic

          Comment


          • #6
            Re: Khudkalamii

            bohot khoob jee.
            Hamain Khabar hai K ham Hain churag Akhir shab
            ~~~HamaraY Baad Andaihra nahi Ujala Hai ~~~

            Comment

            Working...
            X